Main agly elections myn imran khan ko nhi tahreek-e-insaaf ko vote don ga

Mere topic shayed ajeeb lagy lakin jo loog nazriyaat pe yaqeen rakhty hain un ko ajeeb nhi lagy ga. Main us din se imran khan k sth hon jis din imran khan ne first time elections myn hissa lya tha. Ye wo dour tha jab main ek school going kid tha ur us waqt mujhy sirf imran khan ki personality achi lagti thi ur main bus ye janta tha k imran khan humara qoumi hero ha so agr ye elections myn ana chahta ha to humain is ka sath dyna chahye. Nazriya kia hota ha is ki shayed definition b nhi pata thi. Lakin waqt k sth sth realize hua k humary han politics hoti hi personalities pe ha kisi ko nawaz sarif pasand ha is liye muslim leaque ko vote dy dyta ha kisi ko benazir pasand ha is liye peoples party ko vote dy dyta ha kabhi b kisi ne muslim leaque ye peoples party k manshoor ko ya nazriye ko na to parhne ki zahmat ki na hi kisi se nazriye ko discus kiya ur phr in parties ne b apne andr se nazriyaat khatam kr diye bus rah gyi personality jo b ziyada taqatwar hua usi ko election myn ticket dy diya ur isi tarhan sub chalta rha marshal laws b isi liye lagty rahy k politics myn nazriyaat thy hi nahi. Myne jis ghr myn aankh kholi wo peoples party k jealy ka ghr tha so main b bachpan myn peoples party ka jeala hi tha lakin phr main sirf nazriyaat ki base pe peoples party se ikhtilaaf krny laga. Ur imran khan k nazriyaat mujhy achy lagny lagy is liye main us ka supporter ban gya.

Lakin kuch arse se main feel kr raha hun k tahreek-e-insaaf b usi typical siasat pe chalny lagi ha urr is myn kasoor hum logon ka b ha jo imran khan k supporters hain kiun k hum b muslim leaque urr peoples party k supporters ki tarhan personality k pechy bhagny lag gye hain. Mere father ne last elections myn peoples party ko vote diya urr ab wo unhi ki government ko bura kahty hain jab main kahta hon k app ne b to inhi ko vote diya tha to app in ko kaise bura kah sakty hain to wo kahty hain k myne to benazir ko vote diya tha to mujhy hasi aa jati ha main un se kahta hon k jb app ne bb ko vote diya tha tb to us bechari ki death ho choki thi ye baat is liye likh raha hon k hum is qadar personalities myn kho choky hain k humain us personality se agy kuch nazar hi nhi ata mere father ya un jaise loog to ab burhy ho choky hain to un se kiya gila krna ya kiya behas krni lakin hum jo khud ko jawan kahty hain kia hum b unhi k naqson pe nahi chalny lagy?

Myne apny topic myn kaha k main imran khan ko nahi tahreek-e-insaaf ko vote don ga is ka matlab ye ha k han mujhy imran khan bhot pasand ha us ki personality b bht achi lagti ha ur main us ko apna qoumi hero b manta hon lakin when it comes to politics to main imran khan k sth nahi bal k ek political party k sth hon jis ka naam imran khan nahi tahree-e-insaaf ha urr mujhy is party k leader janab imran khan sahib k nazriyaat achy lagty hain is liye main un ko apna leader manta hon lakin kal ko agr ye leader nahi rahy ga to kiya humri party khatam ho jye gi nahi hum is party ko isi tarhan INSHAALLAH chalyn gye. Yahi kuch peoples party k sth hua k benazir ki death hoi to logon ne kahna suro kr diya k ye party ab kaise chaly gi is myn to ab koi leader hi nahi raha agr hum loog democratic hoty ya humari political parties personalities ki bajaiy nazriyaat pe chaltin to ek leader k baad dusra leader aa jata party myn voting hoti ur party workers kisi urr ko apna leader bana lyte jaise k jamat-e-islami myn hota ha main kabhi b jamat ka supporter nhi rha lakin mujhy ye dekh k khushi hoi k qazi hussain ahmed kitna bara leader tha apni party ka kitna naam tha us ka lakin party myn elections huy urr syed munawer sahib party k president ban gye urr un ki party k loog ab jis tarhan qazi sahib ko apna leader maan k un ki izzat kerty thy waise hi syed sahib ki izzat kr rhy hain kuch b change nahi hua this is good.

To dosto humian b tahree-e-insaaf ko ek nazriyati party banana ha na k ek personality ki party kiun k personalities ati jati rahti hain nazriyaat solid hony chahyain urr main imran khan sahib se b request kron ga k apni personality se ziyada apni party ko promote krain jis tarhan ap k nazriyaat achy hain usi tarhain ap ki politics b dusron se different honi chahye ur wo tab hi ho gi jab app dusron ki tarhan personalities se ziyada focus nazriyaat pe krain gy urr apny workers urr supporters ko educate krain gy k wo ap k sth nahi bal k tahreek-e-insaaf yani apni political party k sth loyal hon

Note: Mere koi baat kisi dost ko buri lagi ho to us k liye mazrat

Na main barelwi na main wahabi na main dubandi na main siya main hon sirf Musalman

Na main punjabi na main balochi na mian sindhi na main pathan main hon sirf Pakistani

Islam mera deen
Pakistan mera watan

Tahreek-e-Insaaf zinda baad
 

jony1

MPA (400+ posts)
Waqas mehmaood shaib I am sorry I am sorry to say, me pehla banda hon jo ap se ikhtlaf karon ga. kion ke Me neutral hon our me ap pe shak nehi kar rha ke ap bi kisi political party ka hisa hain jo PTI ko badnam karnay ki nakam kishesh kar rha hon kion ke comming comments you willl see they will direct reject your post.
Pehli bat to ye hai ke agar imran khan ko ap pasand kartay hain our wo ap ki soch ke mutabik kal nehi rehian ge? our party boht khrab hain bahi meray pyaray pyaray bahi. Nazria hi hai jis ne ham ko akatha kia hai leader ko Inshallah kuch nehi honay walla kion ke mera Us zat pak pe yakeen hai our me apany leader ke leaye roz dua karta hon shaid ap kis k lye na kartay hon. Imran khan ne jo soch di hai is qom ko wo hi is mulk ka ab isasa hai.
bahi ye poll kei bar post kia ja chuka shaid apki nazar se bi guzra ho ke ab "AB NEI TO KAB IMRAN NEHI TO KON?" Ab qom aik agendy pe akathay ho chuki hai ap apnay walid sahib ko to kos saktay ai leken is qom ko gumrah na karain. Me Imran ko nehi janta leken misaal us fiqir si hai jis ne se aik jernoulist ne pocha tha jab qaide azam taqrir kar rehay thay minnare pakistan pe ke apko pata hai ye kia taqriri kar rehay hain usnay muskra ke kaha mujay ye to nehi pat magar itna pata hai ke ye sach keh rha hain to bahi ap diwar se sir takra rhay hain. ab kuch nehi honay wala in leaderon ko boht wakt mila leken kuch nehi howa. apko agar party leadership se shkayat nehi to mere jan Imran khan aaj bi ider hai our kal bi iski ap fikar na karain our ye bi bta don ham log koi bharirh bakrian nehi k leader jo marzi karay us ko puchnay wala koi nehi. agar khuda na khwasta gara qom mulk our kis bi tara meray mulk ki khilaf ho ga to ham khud pooch lain ge ham kisi leader ke paon ka talway nehi chaat te hain. ap khatar jama rakain. our agar party me agar kisi se apko ikhtlaff hai to please muj se rabta karain apki takleef door ki jain gi inshallah.
Pakistan zinda bad
tahreek insaaf zinda bad

http://www.siasat.pk/forum/showthread.php?72822-Woh-Ek-Shakhs...Imran-Khan...By-Amir-Nawaz-Niazi.

http://www.**********/2011/07/14/imran-khan-in-khari-baat-lucman-ke-saath-14th-july-2011/
 
Last edited:

juttji

Politcal Worker (100+ posts)
Wqas mehmaood shaib I am sorry I am sorry to say, me pehly banda hon jo ap se ikhtlaf karon ga. kion ke Me neutral hon our me ap pe shak nehi kar rha ke ap bi kisi political party ka hisa hain jo PTI ko badnam karnay ki kishesh kar rha hon kion ke cooming comment you willl see they will direct reject your post.
Pehli bat to ye hai ke agar imran khan ko ap pasand kartay hain our wo ap ki soch ke mutabik kal nehi rehian ge? our party boht khrab hain bahi meray pyaray pyaray bahi. Nzria hi hai jis ne ham ko akatha kia hai leader ko Inshallah kuch nehi honay walllah kion ke mera Us zat pak pe yakeen hai our me pany leader ke leaye rot dua karta hon shaid pa kis k lye n kartay hon. Imran khan ne jo soch di hai is qom ko wo hi is mulk ka ab isasa hai.
bahi ye poll kei bar post kia ja chuka shaid apki nazar se bi guzra ho ke ab "
you made me emotional.
 

shamsheer

Senator (1k+ posts)
Jab tak imran khan Jageerdari kay khilaf awaz nahin uthata I am not with him. Jaggerdari is the root cause of all of our failures (in terms of system). Even if Imran looses elections it will be becuase of this system.
 

shaheer

Minister (2k+ posts)
ek baat ko is dil ko bahut yaqeen ha k khan kabhi "match fix" nahe kare ga.baqi imran ko hum jo marzi kahtay rahain,mulk ko yahan tak pohnchany myn sab se zyada qasoor hum(awaam) ka ha.hum haqeeqat my personalities,figures,braderies ko vote detay hyn.laik zara soch lain k candidate kasa ha?candidate ki party kasi ha?leader kasa ha?pti k ilawa tamam parties fully exposed ho chuki hyn.ab bhi agar hamein kuch nazar nahe ata to kya kia jaye!jo leadership ya all politicians maujood hyn khan is the best option from every aspect.MAY ALLAH GIVE HIM STRENGTH & GIVE US HADAYAT.
 

drkjke

Chief Minister (5k+ posts)
agar aglaa election huwaa (jo mujhay mushkil lagtaa hai) to main imran khan ko vote nahin doon gaa naa hi tehreek e insaf ko vote doon gaa balkay islam ko vote doon gaa
 

susspense

Voter (50+ posts)
mere dost shaid ap ny imran khan ki logics or solutins ko kbhi smjhny ki koshish nhi kri ..bs ftaft apna coment de dia...usky agennda py amal kr k ye jagerdaari ki inshallah is mulk ki 1eent b koi idhr se udher nhi krega inshallah...soo smjh k phir koi topic choose koo..{Imran Khan IS little Quaid E Azam** jst match both history.........
 

chegado

MPA (400+ posts)
I really enjoy when you youth write some rubbish things about imran. Remember when he was a cricketer, never ever thought or showed interest in Pakistani people. After leaving cricket, he thought lets have a fun and came in politics. He will always be like this to be in news.
 
thnx jony bhai i dont feel bad when sum1 criticise me infact i appreciate positive criticism main politics ka student hon (kitabi student nahi bal k practical student) myne sirf Pakistan ki politics ko nhi study kiya bal k mujhy kuch arsa England myn rahny ka moka mila ha to myne western politics ko b study kiya ha urr sirf Pakistan myn hi nahi bal k mujhy puri duniya myn Mahtatir Mohammad urr Imran Khan jaisa leader nazar nhi aya

app ko meri ye baat buri lagi k kal ko imran khan nahi rahy ga to is se mera hargiz matlab ye nhi tha k i am waiting for his death (ALLAH na kary) INSHAALLAH Imran Khan ko kuch nahi ho ga all I wanted to say k yes mout to barhaq ha hum sub ko ani ha to jo b humary leader ne vision diya ha jis ki waja se hum aik ho rahy hain us vision ko khatam nahi hona chahye

app ne fakeer wali misaal b bhot achi di main b tahreek-e-insaaf ko apni party ofcourse imran khan ki waja se samjhta hon mera maqsad ye topic likhny ka sirf ye tha k humain bakiyon ki tarhan personality oriented nahi hona chahye humain imran khan ko support krna ha us ki personality k liye nahi bal k us k vision k liye

baki main kisi aisi party ka hissa nahi hon jo imran khan ko badnaam karma chahty hain main agr kisi party ka hissa hon to wo sirf tahreek-e-insaaf ha urr main apna leader agr kisi ko manta hon to wo sirf imran khan ha
 

Back
Top