waqasmehmood
Citizen
Mere topic shayed ajeeb lagy lakin jo loog nazriyaat pe yaqeen rakhty hain un ko ajeeb nhi lagy ga. Main us din se imran khan k sth hon jis din imran khan ne first time elections myn hissa lya tha. Ye wo dour tha jab main ek school going kid tha ur us waqt mujhy sirf imran khan ki personality achi lagti thi ur main bus ye janta tha k imran khan humara qoumi hero ha so agr ye elections myn ana chahta ha to humain is ka sath dyna chahye. Nazriya kia hota ha is ki shayed definition b nhi pata thi. Lakin waqt k sth sth realize hua k humary han politics hoti hi personalities pe ha kisi ko nawaz sarif pasand ha is liye muslim leaque ko vote dy dyta ha kisi ko benazir pasand ha is liye peoples party ko vote dy dyta ha kabhi b kisi ne muslim leaque ye peoples party k manshoor ko ya nazriye ko na to parhne ki zahmat ki na hi kisi se nazriye ko discus kiya ur phr in parties ne b apne andr se nazriyaat khatam kr diye bus rah gyi personality jo b ziyada taqatwar hua usi ko election myn ticket dy diya ur isi tarhan sub chalta rha marshal laws b isi liye lagty rahy k politics myn nazriyaat thy hi nahi. Myne jis ghr myn aankh kholi wo peoples party k jealy ka ghr tha so main b bachpan myn peoples party ka jeala hi tha lakin phr main sirf nazriyaat ki base pe peoples party se ikhtilaaf krny laga. Ur imran khan k nazriyaat mujhy achy lagny lagy is liye main us ka supporter ban gya.
Lakin kuch arse se main feel kr raha hun k tahreek-e-insaaf b usi typical siasat pe chalny lagi ha urr is myn kasoor hum logon ka b ha jo imran khan k supporters hain kiun k hum b muslim leaque urr peoples party k supporters ki tarhan personality k pechy bhagny lag gye hain. Mere father ne last elections myn peoples party ko vote diya urr ab wo unhi ki government ko bura kahty hain jab main kahta hon k app ne b to inhi ko vote diya tha to app in ko kaise bura kah sakty hain to wo kahty hain k myne to benazir ko vote diya tha to mujhy hasi aa jati ha main un se kahta hon k jb app ne bb ko vote diya tha tb to us bechari ki death ho choki thi ye baat is liye likh raha hon k hum is qadar personalities myn kho choky hain k humain us personality se agy kuch nazar hi nhi ata mere father ya un jaise loog to ab burhy ho choky hain to un se kiya gila krna ya kiya behas krni lakin hum jo khud ko jawan kahty hain kia hum b unhi k naqson pe nahi chalny lagy?
Myne apny topic myn kaha k main imran khan ko nahi tahreek-e-insaaf ko vote don ga is ka matlab ye ha k han mujhy imran khan bhot pasand ha us ki personality b bht achi lagti ha ur main us ko apna qoumi hero b manta hon lakin when it comes to politics to main imran khan k sth nahi bal k ek political party k sth hon jis ka naam imran khan nahi tahree-e-insaaf ha urr mujhy is party k leader janab imran khan sahib k nazriyaat achy lagty hain is liye main un ko apna leader manta hon lakin kal ko agr ye leader nahi rahy ga to kiya humri party khatam ho jye gi nahi hum is party ko isi tarhan INSHAALLAH chalyn gye. Yahi kuch peoples party k sth hua k benazir ki death hoi to logon ne kahna suro kr diya k ye party ab kaise chaly gi is myn to ab koi leader hi nahi raha agr hum loog democratic hoty ya humari political parties personalities ki bajaiy nazriyaat pe chaltin to ek leader k baad dusra leader aa jata party myn voting hoti ur party workers kisi urr ko apna leader bana lyte jaise k jamat-e-islami myn hota ha main kabhi b jamat ka supporter nhi rha lakin mujhy ye dekh k khushi hoi k qazi hussain ahmed kitna bara leader tha apni party ka kitna naam tha us ka lakin party myn elections huy urr syed munawer sahib party k president ban gye urr un ki party k loog ab jis tarhan qazi sahib ko apna leader maan k un ki izzat kerty thy waise hi syed sahib ki izzat kr rhy hain kuch b change nahi hua this is good.
To dosto humian b tahree-e-insaaf ko ek nazriyati party banana ha na k ek personality ki party kiun k personalities ati jati rahti hain nazriyaat solid hony chahyain urr main imran khan sahib se b request kron ga k apni personality se ziyada apni party ko promote krain jis tarhan ap k nazriyaat achy hain usi tarhain ap ki politics b dusron se different honi chahye ur wo tab hi ho gi jab app dusron ki tarhan personalities se ziyada focus nazriyaat pe krain gy urr apny workers urr supporters ko educate krain gy k wo ap k sth nahi bal k tahreek-e-insaaf yani apni political party k sth loyal hon
Note: Mere koi baat kisi dost ko buri lagi ho to us k liye mazrat
Na main barelwi na main wahabi na main dubandi na main siya main hon sirf Musalman
Na main punjabi na main balochi na mian sindhi na main pathan main hon sirf Pakistani
Islam mera deen
Pakistan mera watan
Tahreek-e-Insaaf zinda baad