Re: لندن میں دھرنا، مظلوم لڑکیاں اور رکشے وال&
oh bhai kia humain kafiron ki misalain de rehe ho, aik to siri lankan kafir, doosra angraiz gora kafir. oos se hi to hum ne azadi li thi ab oos ki pairvi ker ke kia hum phir se ghulami ko apnay sar per sawar ker lain????? aji hum muslim hain, humain zaib nehi deta kisi kafir mulk ke kafir logon ki tarah ki harkaat kerne ka. humain corruption bhi manzoor hai zulm bhi manzoor, kia hua jo chand insaan qatal ho gay, aakhir jaan to aani jani hai, izzat luti to kia hua, rape huay to kia hua ye bhi to maghrab ki saazish hai ke fahashi ke zariay hum main ye cheezain phaila din. aman nahi to kia hua acha hai na log awara gardi se bach jaatay hain. chor dakoo loot rehe hain to kia hua hum waisay hi zakat nahi dete iss tarah hamaray maal saaf ho jaatay hain (or waisay bhi maal to ummat ka fitna hai, jitna kam ho acha hai), har cheez main milawat hi hoti hai na, acha hai hamara jism mushkil halat main resist kerne ki salahiat hi berha raha hai. or bhi hazar buraioan hongi hum main or hamaray system main magar kia itna kafi nahi ke hum Islami Jamhoorya Pakistan ke azad awam hain???? tum kia jano azadi kia hoti hai... democracy kia hoti hai... chaar jamatain kia perh lin maghrabi kasafat zada taleemi nizam main or chala hai hamari rahnumai kerne. bhai molana theek hi kehte hain ke ye kafirana nizam-e-taleem ne issi tarah ke danashwar paida kerne thay. waisay bhi iss se ziada azadi mil gai to pata nahi kia kia na gul khilain gay ye azad log.
bhaar main jaay tumhari naseehat or tumhara ilm or mashwara. hum jaisay hian waisa hi rehne do. waisay bhi last tim eelection main main ne 200 ka card recharge kerwaya tha or tum mujh se namak hara.mi kerne ka keh rehe ho??? kia ye jayaz hai ke main oon se paisay bhi loon or oon ke khilaf awaz bhi uthaaoon. bhai k.utt.a bhi malak ka wafa daar hota hai or tum humain kutton se bhi bura banenay ki naseehat ker rehe ho.
jao tum apna aik alag mulk bana lo (africa ya europe main kahin) jahan tum or tum jaisay kuch or sar phiron ki suni jaay. hum yahan hi theek hai aisay hi theek hain or aisay hi rahain gay.
na cheez
aik adna siasi worker