Tabassum baji Mein to Imran ko daad deita hoon. Us ne apne ander kai khaamion ke bawajood khud ko leader saabit kia hai.
Dharney ki move nakaam ho chuki thi magr IK ne usey apni Quwwat e Iradi se kaamyaab kr dia. Ayaz Amir bilkul thik kehta hai
Ab is ka sab se ziada nuqsaan Nawaz Sharif ko nahi balkeh PPP ko ho raha hai
Log kehte hain jin mein hamare Sohraab bhai bhi shaamil hain keh jaise koi martial law lagne ja raha tha ya pata nahi koi technocrats aa rahe they. Asl mein yeh sab propaganda tha
kisi ne kaha keh fauj thi peechhey aur hamare baba g Khalifa Haroon Rasheed sb unhon ne to Amrika aur Bartaania ki saazish qaraar dey dia
Waqt ne saabit kia keh na amrika ya hakoomat hataana chahta tha aur na Fauj
Asl baat yeh hai keh fauj aur PPP ne mil kr Nawaz Sharif ko bachaya.
Ab PPP ko Imran ke rise ka sab se bara nuqsaan hai aur mujhe lagta hai keh Sohraab bhai is nuqsaan ko jaan gaye hain aur aik jayala hone ki haisiat se IK ki sakht mukhalfat kr rahe hain
Nawaz Sharif ki to kabhi koi siasi haisiat hi nahi thi. karobaari tabqey aur maangey tangey ke electables mila kr hamesha is party ko banaya gia takeh PPP ki threat ko counter kia jaye. Is jamaat ki na to koi organization hai aur na koi awaami roots.
Asl mein to Pakistan mein politics PPP ke gird ghoomti thi....un ke haamion aur un ke mukhalifon mein
Aaj PTI ne kam se kam Punjab aur KP mein PPP ka yeh Aizaaz chheen lia hai
Nawaz Sharif ki to koi auqaat hi nahi. Aaj nahi to kal us ne khatm ho jana hai. Magr jo inqalaab aa raha hai woh yoon lagta hai keh politics anti aur pro PPP se anti aur pro PTI ho jaye gi
Magr is ke liye PTI ko bhi PPP ki trah apni aik ideological base banani chahiey warna yeh urooj waqti ubaal saabit ho ga
IK tumhaari Quwwat e Iraadi ko salam
@
Sohraab