Dastoor - Mein Nahi Manta - Habib Jalib

Unorthodox

Senator (1k+ posts)
Dastoor by jaalib [ Main Nahi Manta ]

[video]http://www.youtube.com/watch?v=bOMnZe2U1c8[/video]









:mrgreen: :mrgreen: :mrgreen: :mrgreen: :mrgreen: :mrgreen: :mrgreen:





[video]http://www.youtube.com/watch?v=nA29j9B-0SI[/video]
 
A

arshad_lahore

Guest
Shabaz Sharif Habib Jalib nazm with tarannum

Dastoor - Habib Jalib
 
Last edited by a moderator:

sher_khan

Senator (1k+ posts)
DASTOOR - Recited by Habib Jalib himself

The complete poem recited by Jalib himself. Excerpts of this poem were taken by GEO.

I like his anecdote.

 
Last edited by a moderator:

Mujahid

MPA (400+ posts)
Re: Habib Jalib .............. Main Nahin Manta..

[video]http://www.youtube.com/watch?v=z617iqvmC30&feature=related[/video]
 

Malik495

Chief Minister (5k+ posts)
Main nahi maanta....Habib Jaalib

Main habib jaalib ki yeh nazm parh raha tha aur present situation men iss nazm ko parh kr ankh se ansu nikalnay lagtay hain.. aaj mera mulk jis gahray fishaar men hay shayad iss se pahlay kabhi nahi hua.. Khuda naraz hay ham se .. zindagi jahannum ho gaee mere mulk k logon ki.. hukmurano ki kaan pe joon nahi raingi... iss nazm ko parh k dil krta hay k inqalab buss kareeb hay...socha aap se bhi share kron..

Deep jis ka sirf mehellaat hi main jalay,
Chand logon ki khushyon ko lay ker chalay,
Wo jo saye main har maslihat kay palay;
Aisay dastoor ko,
Subh e bay noor ko,
Main naheen maanta,
Main naheen jaanta.

Main bhee khaif naheen takhta e daar say,
Main bhee Mansoor hoon, keh do aghyaar say,
Kyun daraatay ho zindaan ki divar say,
Zulm ki baat ko,
Jehel ki raat ko,
Main naheen maanta,
Main naheen jaanta.

Phool shaakhon pay khilnay lagay tum kaho,
Jaam rindon ko milnay lagay tum kaho,
Chak seenon kay silnay lagay tum kaho,
Iss khulay jhoot ko,
Zehan ki loot ko,
Main naheen maanta,
Main naheen jaanta.

(Habib jalib)
 

rajakhanmd

Senator (1k+ posts)
This great and ever green poem has one more stanza.

Tum nay loota hai sadyon hamara sakoon,
Ab na hum per chalay ga tumhara fasoon,
Chara gar main tumhain kiss tara say kahoon?
Tum naheen charaagar,
Koi maanay magar,
Main naheen maanta,
Main naheen jaanta.
 

LeftBrain

MPA (400+ posts)
by the way this Nazam was written against MILITARY DICTATOR, the same hypocrate breed people want to rule Pakistan.......
 

sangeen

Minister (2k+ posts)
jisam nikle hoe amraaz ke tanoron se
peep behti hoi ghalte hoe nasooron se

loat jati hae udhar ko bhi nazar kia kijie
ab bhi dilkash hae tera husan magar kia kijie..

Faiz...
 

United4Pak

Minister (2k+ posts)
Habib Jalib and Your Change of Opinion

Habib Jalib, a revolutionary poet, died exactly 18 years ago from today and while in college I always felt that guys like Faiz, Jalib were anti Pakistan, traitors etc. who only spoke out against Pakistan because they were stooges of communism but now I feel that they were way ahead of their time wanting a change which most of us couldn't see. He was put in jail by General Ayub Khan and Zia as well as by Zulfiqar Bhutto.

When asked if he felt any change after democracy when Benazir came to power, he said:

"Haal ab tak wahi hain ghareeboan kay (The status of the poor is still the same)
Din phiray hain faqat waziroan kay (the days of the ministers have indeed changed)
her Bilawal hai Dais ka maqrooz (every kid of of the country is under debt)
paoon nangay hain Benazeeroan kay (while poor or women of the country walk without shoes)"

I have changed my opinion now and don't have the same views that I used to have before about him and feel that if the kind of change that he wanted was achieved at that time then we won't have the situation in Pakistan that we have now. You can read more about him at http://en.wikipedia.org/wiki/Habib_Jalib

I wonder if you have changed your opinion about anything related to your politicals views and would you care to share.
 

FaisalLatif

Councller (250+ posts)
Habib Jalib singing his poerty himself

While watching Jalib reciting his masterpieces, just remember that he is saying all this while under strict censorship of Zia's Era. We should not take his courage for granted and judging his words by today's scales of freedom of expression.

[video=google;-7992173788748993874]http://video.google.com/videoplay?docid=-7992173788748993874#[/video]
 
Last edited:

ealtaf

Minister (2k+ posts)
Dastoor by Habib Jalib

[video]http://youtu.be/V2muWwwmq9c[/video]

habibjalibdastoor.jpg
 

ealtaf

Minister (2k+ posts)
Dastoor by Habib Jalib

The poem was originally written In 1962, when Field Marshal Ayub Khan formulated the new constitution and was playing the flute of his administrative capabilities, Jalib called it faulty. He called it a tool of exploitation and wrote his most memorable poem Dastoor which shattered the manipulated intentions of the government.

Urdu

Deep jis ka sirf mehellaat hi main jalay,
Chand logon ki khushyon ko lay ker chalay,
Wo jo saye main har maslihat kay palay;
Aisay dastoor ko,
Subh e bay noor ko,
Main naheen maanta,
Main naheen jaanta.

Main bhee khaif naheen takhta e daar say,
Main bhee Mansoor hoon, keh do aghyaar say,
Kyun daraatay ho zindaan ki divar say,
Zulm ki baat ko,
Jehel ki raat ko,
Main naheen maanta,
Main naheen jaanta.

Phool shaakhon pay khilnay lagay tum kaho,
Jaam rindon ko milnay lagay tum kaho,
Chak seenon kay silnay lagay tum kaho,
Iss khulay jhoot ko,
Zehan ki loot ko,
Main naheen maanta,
Main naheen jaanta.

Tum nay loota hai sadyon hamara sakoon,
Ab na hum per chalay ga tumhara fasoon,
Chara gar main tumhain kiss tara say kahoon?
Tum naheen charaagar,
Koi maanay magar,
Main naheen maanta,
Main naheen jaanta.

English

The light which shines only in palaces
Burns up the joy of the people in the shadows
Derives its strength from others weakness
That kind of system,
like dawn without light
I refuse to acknowledge,
I refuse to accept

I am not afraid of execution,
Tell the world that I am the martyr
How can you frighten me with prison walls?
This overhanging doom,
this night of ignorance,
I refuse to acknowledge,
I refuse to accept

Flowers are budding on branches, thats what you say,
Every cup overflows, thats what you say,
Wounds are healing themselves, thats what you say,
These bare-faces lies,
this insult to the intelligence,
I refuse to acknowledge,
I refuse to accept

For centuries you have all stolen our peace of mind
But your power over us is coming to an end
Why do you pretend you can cure pain?
Even if some claim that youve healed them,
I refuse to acknowledge,
I refuse to accept.
 

Bombaybuz

Minister (2k+ posts)
main nahi janta hum kis jamhoriyat ka leya sisaak rahey hain... humara tarz a amal jamhoori hai he nahi ...jamhoriyat humaray leya bani he nahi hai ... humhain subha shaam paat parhaya jata hai ka badtareen jamhoriyaat bahtareen amriyaat sai bahter hai ... per tab zardariyoon ki miyoon ki bibiyon ki badtareen jamhoriyaat he kiyon humaray hisay main aate hai... mujha bhe aap bhe 3rd option saaf wazah nazar a raha hai koe 18wen tarmeen koe azad adliaya us ka rasta nahi rook saktee ... isleya bhe k jamhoori loghon ka mizaj aur amal khud amrana hai.. balkey us sai bhe zallel-ter ka logh mush ka daur ko aacha kahney lagay hain.