Darhi Katwanay Walon K Liye Tambeeh

sdmuashr

Senator (1k+ posts)
Bismillah
Assalam o Alaikum,

33632400_1354171991.jpg

34166400_1354171991.jpg

alquran301112.gif

Mughal1

Chief Minister (5k+ posts)
islam deen hai mazhab nahin hai. deen main shakhsiyat parasti nahin ho sakti balkeh dastoor aur qanoon ki paasdaari karni padti hai. isi liye har kisi ki woh baat ghalat hai jo islam ko deen nahin mazhab ke tor par pesh karti hai.

dastoor aur qanoon ki zaroorat insaanu ko is liye mehsoos hoti hai takeh aik achha insaani maashra qaaim kiya jaa sake. quran isi zaroorat ko poora karta hai agar log is ko ghor se paden aur bila soche samjhe mulaanu ke peechhe na chalen.

quran insaanu ke liye khudayee manshoor aur dastoor hai jo islami qanoon ki bunyaad hai. baghair qurani maqsad aur un sharaait ke jin ko quran insaanu ke saamne pesh karta hai apne diye gaye maqsad ke liye aik achha insaani maashra qaaim karna insaanu ke liye mumkin hi nahin. yahee quran ka challenge hai.

quran daadhi saadi ki baat nahin karta balkeh usool aur tareeqe deta hai. un hudood ke andar reh kar insaan jo bhi apne liye behtar samjhe karen quran aur islam ko us par kuchh bhi ehtraaz nahin hai besharte ke nateejah insaanu ke liye amno salaamti ho, tabahee barbaadi na ho.
 
khamosh awam

MPA (400+ posts)

​yeh saari philosphy sambhaal ker rakhe ,maidan e hashr me kaam aaey gi.
 
Ali raza babar

Chief Minister (5k+ posts)
Yaar maar do baghair darhi walon ko .......

Maar do jo namaz nahi perhta ... Baki Tum reh jao dunia mein ... Lannnaat hai yaar kasam say ... Darhi kay peechay aisay paray ho jaisay Deen sara ka Sara Darhi per hi hai ..

Darhi to yahoodi bhi rakhtay hien ... wo jannati ho gaye ? Darhi to Harley Davidson Chalatay babay bhi rakhtay hein wo Muslim hein ?

Yaar kamal kertay ho ksam say .. Jis ki darhi nahi wo kafir .
Ab to kalay kapray pehnnay wala bhi kafir ? Kal aik thread daikha mein nay jis mein yeh tha ...

Khuda ki panah .. Hum kahan ja rahay hein ?
 
Mughal1

Chief Minister (5k+ posts)
​yeh saari philosphy sambhaal ker rakhe ,maidan e hashr me kaam aaey gi.

jin ko aakhirat ki sachi fikar hai unhi ko duniya ki bhi sahee tarah se fikar hai is liye ke duniya aakhirat ki kheti hai. agar yahan ham kisi kaam ke nahin hun ge to wahan kis kaam ke hun ge?

kuch kar ke rakhna insaaniyat hai kuchh bagaar kar duniya se jaana aakhirat main khasaare ka bais ho ga. isi liye quran duniya aur aakhirat dono ko khair bataata hai un logoon ke liye jo dono jagun main khair ke taalib hen aur is ke liye bahot mehnat karte hen.

insaanu ko insaaniyat sikhaana aur un ki zindagiyun ko behtar se behtar karne ki koshish main sar gardaan rhena hi islam hai. jo log insaaniyat se hat kar kisi aur mazhabi nazriye ya zehniyat main jannat talaash karte hen woh ehmaqun ki duniya main rehte hen. musalmaan ki asal rah hi amno salaamti hai aur woh isi ka dars deta hai.

Allah darne waali shai nahin hai balkeh appreciate karne waali zaat hai, is waja se keh us ne insaanu ko ilm haasil karne ki salahiyat bhi di aur ilm bhi aur us par amal karne ki salahiyat bhi.

ab yeh khud insaan par muhasir hai woh apni salahiyatun ko kis tarah istemaal karta hai aur isi ka us ko nateeja milta hai aur mile ga. karamand maqsado amaal ka nateeja karamand aur bekar maqsado amaal ka nateeja bhi ghalat aur nuqsaan deh. isi qanoone fitrat ke mutaabiq hamara kia dhara hamare saamne laaya jaata hai.
 
onlykami

MPA (400+ posts)
upar k artical main kafir ka fatwa dikha dijya ................ Anti-Islam propaganda machine

Yaar maar do baghair darhi walon ko .......

Maar do jo namaz nahi perhta ... Baki Tum reh jao dunia mein ... Lannnaat hai yaar kasam say ... Darhi kay peechay aisay paray ho jaisay Deen sara ka Sara Darhi per hi hai ..

Darhi to yahoodi bhi rakhtay hien ... wo jannati ho gaye ? Darhi to Harley Davidson Chalatay babay bhi rakhtay hein wo Muslim hein ?

Yaar kamal kertay ho ksam say .. Jis ki darhi nahi wo kafir .
Ab to kalay kapray pehnnay wala bhi kafir ? Kal aik thread daikha mein nay jis mein yeh tha ...

Khuda ki panah .. Hum kahan ja rahay hein ?
 
paki-muslim

Minister (2k+ posts)
islam deen hai mazhab nahin hai. deen main shakhsiyat parasti nahin ho sakti balkeh dastoor aur qanoon ki paasdaari karni padti hai. isi liye har kisi ki woh baat ghalat hai jo islam ko deen nahin mazhab ke tor par pesh karti hai.

dastoor aur qanoon ki zaroorat insaanu ko is liye mehsoos hoti hai takeh aik achha insaani maashra qaaim kiya jaa sake. quran isi zaroorat ko poora karta hai agar log is ko ghor se paden aur bila soche samjhe mulaanu ke peechhe na chalen.

quran insaanu ke liye khudayee manshoor aur dastoor hai jo islami qanoon ki bunyaad hai. baghair qurani maqsad aur un sharaait ke jin ko quran insaanu ke saamne pesh karta hai apne diye gaye maqsad ke liye aik achha insaani maashra qaaim karna insaanu ke liye mumkin hi nahin. yahee quran ka challenge hai.

quran daadhi saadi ki baat nahin karta balkeh usool aur tareeqe deta hai. un hudood ke andar reh kar insaan jo bhi apne liye behtar samjhe karen quran aur islam ko us par kuchh bhi ehtraaz nahin hai besharte ke nateejah insaanu ke liye amno salaamti ho, tabahee barbaadi na ho.

Pervezi ftnay main Darhi ki ahmiyat nahi ho gi likin Islam main ahmiyat hai aur is ki misaal ye hai k ab tak jitnay Anbia karam (peyghamber) is duniya main ai un sab ki darhi thi.
 
Last edited:

Sohraab

Prime Minister (20k+ posts)
Yaar maar do baghair darhi walon ko .......

Maar do jo namaz nahi perhta ... Baki Tum reh jao dunia mein ... Lannnaat hai yaar kasam say ... Darhi kay peechay aisay paray ho jaisay Deen sara ka Sara Darhi per hi hai ..

Darhi to yahoodi bhi rakhtay hien ... wo jannati ho gaye ? Darhi to Harley Davidson Chalatay babay bhi rakhtay hein wo Muslim hein ?

Yaar kamal kertay ho ksam say .. Jis ki darhi nahi wo kafir .
Ab to kalay kapray pehnnay wala bhi kafir ? Kal aik thread daikha mein nay jis mein yeh tha ...

Khuda ki panah .. Hum kahan ja rahay hein ?

Khuda ka shukar hai , main to wahan nahi ja raha , jahan aap ki SOCH ja rahi hai
 
paki-muslim

Minister (2k+ posts)
Yaar maar do baghair darhi walon ko .......

Maar do jo namaz nahi perhta ... Baki Tum reh jao dunia mein ... Lannnaat hai yaar kasam say ... Darhi kay peechay aisay paray ho jaisay Deen sara ka Sara Darhi per hi hai ..

Darhi to yahoodi bhi rakhtay hien ... wo jannati ho gaye ? Darhi to Harley Davidson Chalatay babay bhi rakhtay hein wo Muslim hein ?

Yaar kamal kertay ho ksam say .. Jis ki darhi nahi wo kafir .
Ab to kalay kapray pehnnay wala bhi kafir ? Kal aik thread daikha mein nay jis mein yeh tha ...

Khuda ki panah .. Hum kahan ja rahay hein ?

Itnay jazbati kion ho rahay ho?kis ney kaha hai poori thread main k baghair darhi walo ko maar do.
 
OnlyPK

Chief Minister (5k+ posts)
Molana sab, darhi rakh kr b kertoot kaalay ho to bad naam darhi hi hoti hy
kya faida asi darhi ka jb dil me munafqat ho
 
Typhoon

Senator (1k+ posts)
Kya darhi darhi lagai hoi he?

Kahan ka islami shuar he ye? Darhi mein islam he na Islam mein darhi. Darhi mein Islam hota to Abu Jehel bhi musalman hota. Islam mein darhi hoti to Quran mein is ka wazea hukm hota.

Ye darhi ke bhoot kab jaan chorhe ge humari. Mazhabi badmash !!!!!

Isal aik universal deen he, jisko kazhabi peshwayat ke deemak ne chat chat ke khokhla kar dia he. Yehi to waja he ke aaj musalman har jaga khwar he aur musalmano ke mulk sab se peeche hein aur zillat ki zindagi guzar rahe hein.

Ya khuda is qoum ko inse nijat dila aur inke farsoda aur beemar zehno se aazad kar.
 
Typhoon

Senator (1k+ posts)
​yeh saari philosphy sambhaal ker rakhe ,maidan e hashr me kaam aaey gi.

Maidane hashar mein apki darhi bhi kaam nahi aani.
Darhi to Abu Jehel ki bhi thi. Moun pe baal uga kar koi musalman nahi ban jata.

Islam ka maqsad darhi nahi. Jo ye samajhte hein unho ne Universal Islam ko aik kooze mein band karne ki koshish ki he jiska hisaab khud unko maidan e hashar mein dena parhe ga. Ke islam to aisi khurafat ko mitane aya tha, lekin jahiliyat ki chadar abhi tak kuch log nahi utar sake.
 
Typhoon

Senator (1k+ posts)
Ye darhi wale na Islam ke thekedar hein aur na hi Allah ne inko koi degree di he jiski bunyad pe ye dosro ko Islam sikhane ki koshish karein. Quran har ghar mein moujood he, aur is mulk ke qawaneen bhi moujood hein. Humein na kisi mullah ki banai hoi shariat ki zarorat he aur na hi inke fatwo ki aur drame bazio ki.

Mullah ko Iqbal bhi khoob samjhe the.

Mullah ki azaan aur he, mujahid ki azaan aur.....parwaz he dono ki isi fiza mein....kargas ka jahan aur he, Shaheen Ka Jahan Aur !!!

Jao koi shave karo aur decent huliya banao. Muslaman hone kelie zarori nahi ke insaan wo fashion kare jo 1400 saal purana he. Darhi to Abu Jehel ki bhi thi.

Islam waqt aur zaman se mawraa he, Islam na to kisi culture ke tabey he aur na hi kisi darhi ya khaas libaas ke. Islam deen he mazhab nahi.

Isko mazhab mein change karne wale cult minded people ne iska aur qoum ka satyanas kia hoa he.

Apne mazhab ko aur apne khyalat ko apni had tak rakho, aur dosro pe impose karne ki koi zarorat nahi.
 
Back
Top