No replied required for such idiotic and moronic assumptions.No reply necessary
Hazoor ka tarz amal siraf Quran may hay. Allah nay apna Deen Quran may mukammal kar diya hay.daarhi rakhna ko zarori nahi
hazoor ka tarz amal zaroori hai
Munkarin e Hadith Logic
No Namaz
No Roza
No Haj
No Zakat
No Jihad
only love and fresh air, enjoy , maadar piddar aazad, shadi bhe q krni bus live in relation main raho , shadi ka Islam sy kia talaq
parda to bus dil main hona chayea, jo marzi aai kapray pahno . absolte freedom
bus angraizoo ko khush krna hy nothing else
No reply necessary
Jazak ALLAH Khair , Jazak ALLAH Khair , Jazak ALLAH Khair for sharing this video
mujhe ab dr israar jaise logoon per bhi shak guzarta hai keh aise log idaarun ke hi bande the aur hen. warna aise padhe likhe logoon ki betuki baaten kerne ki koi khaas wajah samajh main nahin aati.
in ko promote kerne waale kon log hen jo ummat ko aisi haalat main hi rakhna chahte hen keh woh ahmaq hi rahe? is ke log kisi kaam ke na rahen.
mujhe ab dr israar jaise logoon per bhi shak guzarta hai keh aise log idaarun ke hi bande the aur hen. warna aise padhe likhe logoon ki betuki baaten kerne ki koi khaas wajah samajh main nahin aati.
in ko promote kerne waale kon log hen jo ummat ko aisi haalat main hi rakhna chahte hen keh woh ahmaq hi rahe? is ke log kisi kaam ke na rahen.
غلام احمد پرویز اداروں کا بندہ تھا. جنرل ایوب کی عیاش طبع سے کون واقف نہیں اسے غلام احمد پرویز ہی ملا تھا نوازنے کے لئے
"Though Parvez’s idea was initially supported by the Ayub Khan regime (1958-69), the government soon backed out when Parvez was vehemently attacked by conservative religious parties and scholars"
https://www.newageislam.com/islamic...l-spiritual-rebel-ghulam-ahmed-parvez/d/99206
bayfikar raho , tum ko lag pata jae ga kon sahi tha or kon kis ky propaganda pr kaam kr raha tha, Hedayat ky talab gaar ko hedayat mil jate hy wrna vo phatakta he phirta hy or kehta hy hum to Islah kr rahay hain,
main befikar nahin ho sakta issi liye logoon ke liye apne afkaaro nazriyaat ka izhaar kerta rehta hun deene islam ke baare main. quraan ka yahee farmaana hai keh is ke paighaam ko khud theek tarah se samajh ker aage pohnchaao. taa keh insaaniyat raaste per aa jaaye aur woh maqsad poora karne main lag jaaye jo khudaa ne us ke liye muqarar kiya hai aur jis ke poora kerne ke liye hi us ne insaanu ko raasta bhi bataaya hai jis ko ham log deene islam ke naam se jaante hen.
khudaa ne paighambar aur kitaaben is liye nahin bhaije keh logoon ko agli duniya main drust baatun ka pata chale wahaan to woh maloomaat kisi kaam na aayen gi. us ne kitaaben aur paighambar issi liye bhaije taa keh insaanu ko issi duniya main drust aur ghalat ka faisla kerne main pakka mayaar mil jaaye.
yahee wajah hai asal deene islam sirf aur sirf wohee hai jo aqlo fikar aur haqaaiq ki roshni main drust saabit ho sake aur drust saabit kiya jaa sake.
asal deene islam logoon ko aankhen band ker ke deegar logoon ke peechhe chalne se rokta hai chahe woh log logoon ke apne baap daada hi kyun na hun. jis din aap in quraani baatun ko samajh jaayen ge aap bhi haqaaiq ki talaash main nikal khade hun ge. agar nahin niklen ge to phir aakhirat main to jo ho ga woh to ho hi ga magar jo issi duniya main aap ke saath ho ga woh bhi aap dekh len ge jaise bahot se pehle logoon ne dekha tha.
jis maani main aap samajh rahe hen keh hidaayat khudaa deta hai us maani main hidaayat khudaa nahin deta balkeh hidaayat khud leni padti hai apni mehnat se. khudaa ne hiyaadat de di hai apni kitaab de kar ab logoon ka apna kaam hai us ko theek tarah se samajhne ke liye us per mehnat kerna.
khudaa ne raasta bataa diya hai us per chalna insaanu ka apna kaam hai us manzil tak pohnchne ke liye jo khudaa ne insaanu ke liye muqarar ki hai.
agar aap munaasib samjhen to mujhe apne ulemaa ki madad se sunnat ki saheeh taareef bataa den. ye bunyaadi baat hai dekhta hun main keh aap isse kia samjhe hen aur kia aap ki woh samajh drust hai sunnat ke baare main. yahee matlab hai mera keh asal deene islam ko haqaaiq ki roshni main samajhna padta hai. haqaaiq se hat ker bebunyaad aqeedun ki bunyaad per nahin. issi liye aap dekhen ge ham issi duniya main faisla ker len ge drust baat kia hai.
آپ اپنے نقاط ذرا مختصر بیان کیا کریں. لیکچر پڑھنے کے وقت کسی کے پاس نہیں ہوتاaap apne naqaat zara khul ker bayaan kiya karen taa keh mujhe bhi pata chal sake keh aap kehna kia chahte hen. taa keh main bhi aap ko munaasib jawaab dene ki koshish ker sakun.
mere nazdeek parwez sb ne jo kaam kiya islam ke naam per us main bhi bahot si ghalatiyan hen. woh islam ko sirf deen nahin samajhte the balkeh mazhab bhi samajhte the. haan us qadar nahin jis qadar modoodi sb aur dr israar sb samajhte the.
yahee wajah hai main deegar logoon ke muqaable main parwez sb ko behtar samajhta hun drust nahin.
main aap ki tarah lakeer ka faqeer bilkul nahin hun. jin baatun ko main usoolun ki bunyaad per drust samajhta hun un ke mutaabiq mujhe kisi ki drust baat bhi drust hi lagti hai. chahe koi barailvi ho, deobandi ho, wahaabi ho, muslim ho ya ghair muslim.
is liye keh drust baat drust hi hoti hai chahe woh baat koi shaitaan hi kahe ya kare.
© Copyrights 2008 - 2025 Siasat.pk - All Rights Reserved. Privacy Policy | Disclaimer|