Munkarin e Hadith Logic
No Namaz
No Roza
No Haj
No Zakat
No Jihad
only love and fresh air, enjoy , maadar piddar aazad, shadi bhe q krni bus live in relation main raho , shadi ka Islam sy kia talaq
parda to bus dil main hona chayea, jo marzi aai kapray pahno . absolte freedom
bus angraizoo ko khush krna hy nothing else
No reply necessary
asal baat munkareene qurano hadis ki nahin hai. asal baat ye hai keh jin ilfaaz ko insaanu ne suna hai unhune un ka matlab kia liya hai aur unhune aisa matlab liya kyun hai?
koi insaan jo khud ko muslim kehta ya kehlaata hai woh quran ka munkir ho hi nahin sakta. albatta behs is baat per hai keh kia jo matlab us ne quraan ke ilfaaz ka suna hai woh drust ho sakta hai? kis bunyaad per?
ye baat arbi zabaan jaanane se pata nahin chalti balkeh is baat se pata chalti hai keh quraan ke nazool ka asal maqsad kia hai? aur quraan ke mutaabiq woh maqsad insaan poora kaise ker sakte hen? issi tarah ke sawalaat ka jawaab maloom kerne ka naam quraan ki drust samajh hai. warna jis tarah hamaare bache bache ko apni maadri zabaan aati hai arab bachun ko bhi apni zabaan aati hai magar bache ki apni samajh hoti hai aur bade ki apni. unjaan ki apni aur jaanane ya ilm waale ki apni.
kyun unpadh jahil mullaan ke peechhe log aankhen band ker ke chale jaa rahe hen bhaid bakriyun ki taran? hai naa sochne ki baat ya nahin? mullaan unjaan aur jahil is liye hen keh woh peda unjaan huwe aur apni haqaaiq se mutaliq jahaalat per date huwe hen. haqeeqat ko maloom hi nahin kerna chahte. yahee to kaafir logoon se quraan ko gila hai. to kufaar aur mullaan main farq kia huwa? balkeh mullaan kufaar se bhi bahot aage hen is liye keh ye log quraan ko tod marod ker pesh kerte hen logoon ke saamne.
rahee baat namaaz ki to jis ne quraan se namaaz saabit kerni hai woh aaye aur saabit ker ke dikhaaye. quraan ke lafze salaah ka maani namaaz kerna bikul ghalat hai. agar ye drust hai to kis bunyaad per ye baat saabit kerni pade gi.
her zabaan ke aik aik lafz ke kayee kayee maani hote hen aur arbi zabaan ke aik aik lafz ke hazaarun hazaarun maani ho sakte hen. kaise maloom huwa keh quraan main salaah ka maani namaaz hai? ya hajj ka maani kaabe ki ziyaarat hai, ya zakaat ka maani woh hai jo mullaan ne kiya hai? yaa sowm ka maani roza rakhna hai bhook payaas ka waghera waghera?
sab se bad ker ye sawaal hai keh in rasumaat se insaaniyat ko haasil kia hota hai siwaaye waqt ke ziyaa ke? ham ko mullaan bataate rahe insaan pooja paat ka aadhi hai aur woh pooja paat ke baghair reh hi nahin sakta. agar mullaah ka ye dawa drust hai to aaj ham dekh rahe hen keh aksar log pooja paat nahin kerte. un ko pooja paat karwaane ke liye un per zulmo ziyaadati ki jaati hai. jisse saaf zahir hai log pooja paat nahin kerna chahte.
ye duniya aik maadi shai hai aur is main maadi qawaneene qudrat hi chalte hen. agar koi jahil hawaee baaten yani ghair mantaqi aur ghair haqeeqi baaten kare ka to jahil hi kehlaaye ga.
quraan ka koi aik hi tarjma ya tafseer bataa den jo quraan ki saheeh maanu main tarjumaani kerte hun? ye jahil logoon ki likhi hui baaten maloom hoti hen. is liye keh ye ghair mantaqi aur ghair haqeeqi baatun se bhari padi hen. in logoon ne aur kuchh saabit kiya ho ya nahin magar khudaa ko bahot badaa bewaqoof zaroor saabit kiya hai apni betuqi mehnat se, ya ye zaroor hi sabit kiya hai keh quraan khudaa ki kitaab ho hi nahin sakti kyunkeh is main ehmqaana baaten hen aur khudaa to ahmaq nahin hai aur na hi ho sakta hai.