Beautiful Quotes of HAZRAT ALI (R.A)

zaigham

Senator (1k+ posts)
subhan allah ... .. yon hi tu nahe keh diya gaya ... ali ilm ke shahar ka darwaza hai.... nara haq 4 yar .. abu bakar . umar .. usman .. ali .. long live spiah sahaba
 

riverblue

MPA (400+ posts)
jab haq par rehtay huay tumhari mukhalifat had se barhnay lagay,tou samajh lo k ALLAH tumhe koi buland maqam denay wala hai.......... IMAM ALI AS


bohot se log is waja se fitnay mei mubtila hojatay hain k in k baray mei achay khyalat ka izhar kia jata hai.........IMAM ALI AS


He who recognizes Allah accurately will fear Him. He who fears Allah accurately will disregard the worldly pleasures......... IMAM JAFER AS



The most preferable adornment is graceful manners.........IMAM ZAIN UL ABIDEEN AS
 

riverblue

MPA (400+ posts)
har ek baat mei haan mei haan milana munafiqon ki aadat aur har baat mei ikhtilaf karna dushmani ki nishani hai.....


dua dastak ki tarha hai.....musalsal dastak dainay se darwaza khul hi jata hai..........


teen rishtay teen waqton par pehchanay jatay hain
1- aulad burhapay mei

2- dost musibat mei

3- biwi ghurbat mei.........
 
Last edited:

shamsheer

Senator (1k+ posts)
This is the best post ever. I wish all of us can understand what he has said and incorporate that in our life. I wish I had read some of these quotes earlier.
 

Newt0n

Politcal Worker (100+ posts)
I read in Tazkiratul Khuwaas by Allama Sibte Ibn e Jozi tht...

Maula Ali(as) say koi mulaqat k liay aaya to dekha k aap simple aik chatai may bethay hain... aur aik matki aur aik paani ka glass para hay saath... un saahab (jo galiban koi Sahabi thay naam mujay bhul raha hay) nay arz ki k Hz. Ali aap khalifa-e-waqt hain aur aap say wafad milnay k liay aatay hain thora say iss area ko sanwarain... to Hz. Ali(as) replied (un sahabi ka naam lay k) k, "Aqalmand aadmi apna sarmaya waha nahi rakhta jaha say ussay muntaqil hojana ho."

Zindagi rahi to poori riwayat exct alfaaz may quote karu ga....