Hazrat Ayisha (r.a) say riwayat hay kay RASOOL ALLAH (sallallahu alaihi wa'alaihe wasallam) jab APNAY bistar par araam kartay tou har raat APNAY dono hatho ko ikhat'ta kar kay un main Surah Akhlas, Surah Falaq aur Surah Naas parh kar dam kartay, phr inhay tamam badan par jahan tak mumkin hota pher letay lekin hath phernay ki ibtida sir, chehray aur jism kay aagay kay hissay say hoti. Teen martaba yeh amal kya kartay thay.
(Bukhari, H: 5017)