Momin apnay eman say sari umar larsakta hai, lekin momin hona shart hai. Hum bahesiat ummat is shart per poora nahin utartay hain. Hamari misal Quresh-e-Makkah jaisee hai jo kabay ki chadar pakar pakar kar Allah say duain mangtay thay leking Muhammad PBUH ki baat sunna gawara nahin kartay thay. Momin tareekh main kabhi apni askari bartari ki bunyaad per nahin jeetay. Hamesha tab he jeetay hain jab bharosa Allah per ho. Hamari fooj ka tamam tar bharoosa maslihat per hai, ghairat napeed, munafiqat urooj per aur Allah say ziada amerika ka khoof hai. Aisay main 30 saal nahin 3 ghantay bhi nikal lain tou badi baat hai.