insaani masaail ka hal salaat main hai namaaz main nahin. namaaz ka lafz apne andar lafze salaat ki wussat nahin rakhta. namaaz padhne ki cheez hai aur salaat qaayam karne ki. amal ko mustaqil tor par karne se amal qaayam nahin ho jaata. nizaam qaayam kiya jaata hai yaa hota hai ya ho sakta hai. insaan khudaa ki kibrayee ko tab dil se yaad karta hai jab us ko kuchh lene ki khwaaish hoti aur phir woh cheez us ko mil jaati hai. salaat ka nizaam qaayam karne se insaanu ke masaail hal hote hen jis ke nateeje main khudaa ki badayee ko teh dil se tasleem karte hen aur isi liye un ke dil se khudaa ki badayee ke bol nikalte hen. woh woh aap aaise hi nahin karte kuchh kamaal dekh kar karte hen. sachi tareef wohee hai jo dil se nikle.
ham na azaan ke maqsad ko hi nahin samjha na salaato hajj, sowmo zakaat ke maqsad ko. sach to yeh hai ham kalmae tawheed ko samjhe hi nahin aur shaayad samjhne ki zaroorat bhi mehsoos nahin karte. isi liye hamaare halaat aaj ham ko yahan tak le aaye keh aaj is ummat ki koi izzat hi nahin hai. ham log sirf rasmi tor par amal karte hen aur pedaaishi tor par musalmaan hen. jin logoon ko quran main musalmaan kaha gayaa hai un se hamaari kon se cheez milti hai jo milni chahiye?