Bhai saheb, yeh "Qur'an aur Hadith" ka ratta laganay say behtar hai kay kuch parh likh leejiye is mu'aamlay kay baray main.
Aapki yeh baat theek hai kay maslak (jisko 'araby may
madhdhab kaha jata hai) kay lihaaz say Barelwi aur Deobandi Hanafi fiqh key ittiba' kartay hain. Jahan tak Jamaat-e-Islami ka mu'aamla hai, woh sirf aik political jamaat hai. JI main hanafi, shafi'i aur ahl-e-hadith hazraat mil jayengay. Isi tarha Egypt main Noor Party aur Ikhwaan Al-Muslimeen sirf political jamaat hain jamaat-e-islami key tarha.
Jahan tak Qur'an aur Hadith ka mu'aamla hai, har aik maslak/madhdhab Qur'an aur Hadith par hee mabni hai. Fiqh naam hee ushi science ka hai jo Qur'an aur Hadith ko samajhnay key aik baqa'ida science hai.
Shafi'i bhi Qur'an aur Hadith follow kartay hain.
Hanafi bhi Qur'an aur Hadith follow kartay hain.
Hanbali bhi Qur'an aur Hadith follow kartay hain.
Maliki bhi Qur'an aur Hadith follow kartay hain.
Salafi/Ahl-e-Hadith bhi Qur'an aur Hadith follow kartay hain.
Faraq sirf itna hai kay ahl-e-hadith bus aik aisa maslak hai jiskay followers ajeeb jahalat main mubtala hain aur yeh kehtay hain kay SIRF wohi Qur'an aur Hadith key sahih tarjumani kartay hain. Yeh muslim ummah key sab say bari bid'at hai jo 20th century say shuru huwi hai kuch tabqon main. Inki jahalat key asal inki 'simplicity' hai jo kay aaj tak yeh samajh nahin paye kay Qur'an aur Hadith say jo bhi masa'il ka hal milta hai, uski aik say zyada tashreeh hosakti hai. Salafi/ahl-e-hadith yeh samajhtay hain kay hamesha AIK HEE VERSION nikalna chahye. Ab inkay ulama main khud hee ikhtilaaf shuru hogaya hai (jo kay honay hee tha).
Is jahalat ka ahista ahista asar khatam horaha hai, walhamdolillah.
Tags: [MENTION=23319]Temojin[/MENTION], [MENTION=14890]mrk123[/MENTION]
JI lal topi waley Ap k hi molviyoun ko follow karty hain.( sheikh nizam/qadri )
Jin ka maslak Quran aur Hadiith ho woh kasay dhelay ho sakty hain ?