محترم نعمان غوری صاحب
کیا اھلبیت رسول صلی اللہ علیہ و آلہ وسلم کے فضائل کو، جو کہ اللہ کے رسول صلی اللہ علیہ و آلہ وسلم نے امت کی ھدایت کیلیے بیان کیے ہیں، بیان کرنا فرقہ واریت ہے؟؟؟؟؟
مجھے حیرت ہے آپ کے رویے پر کہ جب بھی پاک ہستیوں کے اُن فضائل کو بیان کیا جائے جو کہ اللہ کے رسول صلی اللہ علیہ و آلہ وسلم نے خود بیان فرمائے ہیں اور ساری امت اُن کو صحیح بھی تسلیم کرتی ہے تو پھر آپ کو فرقہ واریت کا خطرہ کیوں ہے۔ ہاں جو لوگ بجائے آنکھیں ٹھنڈی کرنے کے اس طرح کا کام کریں گے تو وہ بس اپنے آپ کو ہی بے نقاب کریں گے۔ اور دنیا و آخرت کا خسارہ اُٹھائیں گے۔ حالانکہ میں نے کُھلی دعوت دی ہے کہ اس عنوان (امت کے سردار) پر جو بھی صحیح حدیث (جو قرآن اور دوسری ثابت شدہ سُنت رسول صلی اللہ علیہ و آلہ وسلم سے نہ ٹکرائے) کے ریفرنس سے مزید کُچھ بیان کرے گا تو میں اُس کو بھی اپنی اصل تھریڈ میں شامل کردوں گا۔ اب اگر اس کے باوجو کوئی یہاں پر فرقہ ورانہ بحث کو چھیڑ کر الجھانے کی کوشش کرے گا تو اُسکی پوسٹ ڈیلیٹ ہونی چاہیے نہ کہ یہ تھریڈ۔
Mohtarim Zoq_elia Sahib,
Ehl-albait al athaar per hamaray maan baap qurban!
Mein yahan per yeh kehna zaroori samajhta hun keh Mujhey aap hamari ehl-e-tashaiyyu baradri se ma'loom hotay hein!
Agar aap ki post ko tafseelan dekha jaye to meri nazar mein yeh Ehl-albait ki shaan se zyada Ehl-e-sunnat k sahabi ki nafi mein dalaail deti mehsoos hoti hai.
Dekhiye, Aik baat mein apnay nuqta e nazar se yahan per waze' ker dena chahta hun, jis turha aap parhosio'n ko to tabdeel ker saktay hein magar sath walay makaan ko tabdeel nahin ker saktay, issi turha aap kisi shakhs-e-wahid ki soach ko tabdeel ker saktay hein magar pooray maslak ko nahin lalkaar saktay.
Yeh behes kam-o-besh 1400 saal se jari hai, aur jari rahay gi, kyunkay
Shia sunni ikhtilaaf nazriati ikhtilaaf nahin hai, yeh aik shakhsiaati ikhtilaaf hai, aur shakhsiaati ikhtilaaf sirf tabhi khatam ho sakta hai jab woh shakhsiaat iss ki wazaahat karein.
Ehle tashayyu hazraat k paas bhi ehle sunnat ki turha apni baat k dalaail mein chand kitaabob k siwa aur koi saboot nahin hein, mein yeh jaanena chahta hun keh kia woh kutub kisi Nabi ne likhi hein ya kisi masoom ne? Hum sab yeh jaantay hein keh donon masaalik ki kutub kuch raawiyo'n per bharosa kerti hein aur woh raawi laakh perhezgar sahi magar Nabi/Sahabi/Masoomeen k barabar nahin hain, lehaza kisi fareeq per lazim nahin k doosray k rawi ki baat ko maanay.
Mein apni baat ko saaf ilfaz mein yun kahunga, keh iss amr ko samajhnay ki zaroorat hai keh ahle sunnat Hazrat e Umar R.A aur Hazrat e Abu bakar R.A ko kyun maantay hein, aur Ehle tashayyu kyun nahin maantay? Kia in Hazraat R.A ki zaati wajoh ki bunyaad per ya keh Rasool Allah Sall Allah o 'alaihe wa aalehi wasallam ki wajah se? Jawab yaqeenan donon janib se yehi hai keh Rasool 'Allah' sall Allah o 'alaihe wa aalehi wasallam ki wajah se. Aik yeh jaantay hein keh yeh Rasool Allah Sall Allah o 'alaihe wa aalehi wasallam k sachay sahabah thay aur dosray iss k baraks.
doosri ehem baat yeh hai keh ehl albait sirf ehle tashaiyyu hazraat k nahin hein, ehle sunnat bhi ehl albait ko ussi shaan k sath maantay hein, iss liye yeh taasur dena keh ehl albait sirf aap k hein, yeh bhi ghalt hai aur aisa koi sanad aap k haan mojud nahin jis ki bunyaad per aap kisi ko yeh haq de sakein ya le sakein keh ahl albait ko kon maan sakta hai aur kon nahin.
Sawaal peechHay yeh reh jata hai keh ab iss ikhtilaf ki haqeeqat ko tasleem kerte hwe hum ne aagay kis turha rehna hai,
zabita-e-ikhlaq aur zabita-e-hayat kia hona chahiye?