Malik495
Chief Minister (5k+ posts)
Allah k siwa kisi se bhi yeh ummed rakhna k wo Allah k kisi hukum ya Taqdeer k against madad kr sakta hay to yeh shirk hay.. Allah ki Zaat aur siffaat men kisi bhi tarha kisi au rshakhs Nabi ya farishtay ko samjhna shirk kahlata hay.. Jasa k Bhai pakistan 1947 ne bataya k kuch log jab wo madad mangtay ghairullah se to unhain jab kaha jata hay k yeh to shirk hay to wo jawab men yehi kahtay hain k ham in se mangtay nahi balkay yeh log Allah k kareeb hain so iss liye Allah ki qurbat ki waja se ham asa kartay hain.. Yaad rahay yeh bhi shirk ki hi kisam hay.. Pukaar sunnana sirf khuda ki sift hay aur koi zee rooh pukaar nahi sunta aur na hi asi koi sift Allah k siwa kisi aur men hay.. yeh umeed rakh kr kisi ko pukaarna k wo hamari sunta hay to iss se bara shirk kia ho ga..Nabi Wali ya koi bhi muqarrab banday Allah k hukum k paband hain aur hamari tarha insaan hi hain lakin darjaat men kahin ziada baray hain.. Allah ta'ala ko sab se ziada ghussa shirk pr ata hay k koi uss ki buzurgi uss ki siffat men kisi ko uss ka hissaydaar banaye....
kuch log yeh bhi kahtay hain k rohani ataee aur zaati sift men farq hay .. asi koi tojeeh Allah ne bayan nahi farmaee insan kisi mojzay kisi karamat ko dekh kr sahib-e-mojza aur sahib-e-karamat k agay ser jhukana shuru kr de aur uss se umeed rakhay.. Allah ta'ala ne mojzaat aur karamat ko bhi apni marzi k taabay kia tha.. Koi Nabi koi wali apni marzi se koi mojza ya karamat zahir nahi kr sakta tha.. asay chand wakeaat kutb-e-hadees aur doosri books men maujood hain...