mujhe kisi aur ka to nahi pata , main zaati noohiyat ki baatain karna sakht na pasand karta hoon mujhe nafrat hai is cheez se lekin aaj aap se aik personal baat karta hoon
meri aik bohut kareb taren dost hai bohut purani jis k saath meri la tadad laraiyan hui hain lekin woh ab bhi meri dost hain , main ne us ki kisi bhi ghalti yah dil dukhane par us k saath waqti taur par laraiyan ki hain lekin koi bhi baat dil main nahi rakhi , mera dil us k liye saaf hai lekin agar us ka dil mere liye saaf na ho to main kch keh nahi sakta , main ussay apna sacha dost samajhta hoon lekin woh mujhe itne saal guzar jane k baad aik jhoota dost samajhti hai lekin mere dil main us ki kisi bhi ghalti yah larai ki wajha se us ki respect aur ahmiyat kam nahi hui .............. ab dekhain jo kuch main ne likha hai yakeen jane mujhe likhte huay apni jaan bohut hi buri buri si lag rahi hai kuin k is type ki baatain karna mujhe nahi pasand :)
main ne zindagi k aik maur par aa kar yeh faisla kia tha k chahe kuch bhi ho jai main zaati noohiyat ki is type ki jazbati baatain kisi k samne nahi karon ga
Har shaks ki apni aik nafsiyat hoti hai
Aur meri Nafsiyat hai mujhe is type ki baatain likhte huay aur karte huay apni Jaan bohut sakht buri lagti hai , aur issi chakaar main aur is k ilawa bhi kuch baatain hain jis ki wajha se meri aik bohut kareb tareen dost muj se bad zann ho chukki hai , mujhe apna jhoota dost aur bura dost samajhti hai , yeh post bhi sirf aap ko samjhane k liye thi jo likhte huay mujhe bohut bura laga