Salat ki Iqamat kya hay

Mughal1

Chief Minister (5k+ posts)
منکرین قرآن و حدیث کسی شیدے میدے کی کہی بات کو قرآن مجید کا اصل مقصد و مطلوب مانتے ہیں لیکن صاحب وحی کی بات کو تسلیم کرنے سے انکاری ہیں. انکار حدیث کے لئے دلیل دیتے ہیں قرآن نے کہا وہ آسان عربی ہے تو اس کے لئے کسی حافظ کسی پروفیسر نتھو خیرے کو کیوں سنتے ہیں. خود عربی پڑھ کر سمجھا کریں​

aap phir ghalat baat ker rahe hen. baat qurano hadis ke inkaar ki hai hi nahin. asal baat ye hai keh kisi aayat ya hadis ka asal matlab kia hai ya kia ho sakta hai.

ye keh dena kitna drust hai keh falaan aayat ka ya hadis ka ye matlab hai jab keh aayat ya hadis main mojood aik aik lafz ke kayee kayee mataalib ho sakte hen? issi liye kisi bhi aayat ya hadis ka drust matlab maloom kerne ke liye aik drust over all context ki zaroorat hai jis ke baghair usse kisi bhi tarah samjha hi nahin jaa sakta.

sirf aur sirf woh drust context hi teh ker sakta hai keh asal deene islam hai kia. agar aap kisi aayat ya hadis ka baghair woh drust context jaane matlab bataayen ge to woh kisi soorat bhi drust ho hi nahin sakta. jab tak aap is bunyaadi baat ko khud main samajhne ki ehliyat peda nahin kerte aap confused hi rahen ge asal deene islam ke maamle main deegar mullaan ki tarah.

aap bataayen aap islam kis cheez ko kehte hen, us islam ka maqsad kia hai aur kia aap us maqsad ko drust saabit ker sakte hen qurano hadis aur haqaaiq ki roshni main? woh maqsad poora kaise kiya jaa sakta hai? agar aap ke paas in sawalaat ka jawaab hai to shuroo kijiye apni baat. albatta main aap ko pehle hi bataa deta hun keh aap ke paas in sawalaat ke drust jawabaat bilkul hi nahin hen. aap hi nahin kisi bhi mullaan ke paas in sawalaat ke drust jawabaat nahin hen.

main ne aap se aik sawaal pehle bhi poochha tha keh aap sunnat ki drust tareef bayaan ker den. main janta hun aap nahin ker sakte. agar main aap ko baat samjhaane ke liye kuchh ziyaada likh dun to aap kehte hen main lecture de rahaa hun jis ke liye aap ke paas waqt nahin hai. mere bhai agar aap ko asal deene islam ko jaanana hai to aap ko is ke liye waqt nikaalna pade ga aur mullaan se hat ker apni soch se kaam lena ho ga.