Hashi Khan
MPA (400+ posts)
Re: PTI ki Anti Punjab policy..Alarming Situatuation for PTI in Punjab . Must Read Article.....
پھر میرا اس کالم کا مقصد صرف اور صرف تحریک انصاف سے ہمدردی تھا کہ انھیں اپنا اصولی سیاست کرنی چاہے نہ کہ ہمیشہ پنجاب پر تنقید کرنئی چاہے،
مگر تحریک انصاف کے ان نام نہاد سپورٹر کے لئے سیاست گالی سے شروع ہو کر اور کسی کو لفافہ اور حرام کہ کر ختم ہوتی ہے
ایسے لوگوب سے اپ ملک بدلیں گے تو اگیا انقلاب۔
شکریہ
پیارے بھائی تحریک انصاف کا کیا نظریہ ہے میں اپ کو بتاتا ہوں کہ میں 2006 سے تحریک انصاف کے ساتھ تھا جب یہاں پر موجود یہ لوگوں میں سے کوئی بھی نہیں تھا، مگر اکتوبر کے جلسے کے بعد جب نئے لوگ پارٹی میں ائے تو پرانے لوگوں کی قربانیوں کو بھلا دیا گیا، جیل میں ہم لوگ گئے ماریں ہم نے کھائیں۔Bhai agar Ap article likhte ho tau pooray Pakistan ko samne rakh ke likha karo aur aik Pakistani bun kar socha karo.
Yaqeen jano Ap ka mandarja bala article paRh kar bohat dukh hua hai k punjab mein bhi aise log hain jo tasub ki nazar se cheezoon ko dekhte hain.
Sindh mein balochistan aur kpk mein tau subaai tasub phelane wale log paay jate hein magar Punjab mein? Ameed nahin thi. Haan pmlN waloon se kuch bhi tawaqo ki ja sakti hai. woh aqtidaar keliye sub kuch kar sakte hein.
Sindh mein ppp ki hakoomat hai jo hamesha se bhuto ke nam par vote lete aye hein kaarkardagi par nahin. unhoon ne kuch nahin kia sub ko maloom hai bataane ki zaroorat nahin.
Anp KPK mein nasal parasti aur subaaiyat par vote leti hai sub jante hein. Agar woh deliver nahin kar sake tau log MMA ki tarha unko bhi mustarad kar denge.
Lekin bhai pmlN tau hakoomat bhi kar rahi hai aur opposition opposition ka khel bhi khel rahi hai. Isliye uspar tanqeed jaaez hai,kiyonke woh markaz mein apni baari lena chahti hai. Aur chahti hai k uski kaarkardagi par usko vote diya jaay jiski wajah se yeh baRe baRe nazar aane wale projects dekaa rahi hai. Metro bus,laptop,danish school sub dekhawa hai.
Such such bataana agar PTI youngsters mein itni maqbool na hoti tau kia laptop hota?
Bhai agar Ap PTI ke suporter thay tau hamaari wajah se choRi kiyoon? Agar Apka nazriya PTI se milta tha tau badal kese gia? Imran Khan bhi wahi hai aur nazriya bhi tau Ap kiyoon badal gay.
Ap ko chahye tha k PTI mein reh kar hum ko tameez aur tehzeeb sikhaate bhaag jana tau koi himmat ka kaam nahin hai. Aur woh bhi opposit camp mein? Jahan asool naam ki koi cheez hi nahin hai. wahan tau ab yeh haal hai k jo bhi chor uchakka wadera jageerdaar jali degree wala sub Ajaao bus kici tarha kursi mil jaay.
Mehrbaani kar ke ainda aisa tasubaati article phir na likhen agar Ap Pkistan se muhabbat kate hein tau. Shukriya.
پھر میرا اس کالم کا مقصد صرف اور صرف تحریک انصاف سے ہمدردی تھا کہ انھیں اپنا اصولی سیاست کرنی چاہے نہ کہ ہمیشہ پنجاب پر تنقید کرنئی چاہے،
مگر تحریک انصاف کے ان نام نہاد سپورٹر کے لئے سیاست گالی سے شروع ہو کر اور کسی کو لفافہ اور حرام کہ کر ختم ہوتی ہے
ایسے لوگوب سے اپ ملک بدلیں گے تو اگیا انقلاب۔
شکریہ