Saad Bhai aap ki bataai hui hadees say mein ittifaq karta hon lekin is ko idhar istimal karna meray nazriyea mein bilkul ghalat hai. Mobile phone ko ya us ki awaz ko aap band bhi tu kar saktay hain namaz ya masjid mein jaanay say phelay. Azan ki awaz ya qurani ayaat ko bhi tu istimal kia jaa sakta hai apnay phone ki ring tone par.
Tu ghalat yeah cheez (phone) nahin balkay ghalti us fard ki hai jo ganay ya mausiqi ki awaz kay ring tone ko band na karay namaz ya masjid mein jaanay say phelay.
Hamaray piyaray rasool sal lallahu wa’alay wasallam nay farmaya kay ilm hasil karnay ki rah mein nikalnay walon kay uppar fareshtay apnay par phela detay hain.
Ilm ki ahmiat isliye itni ziyada hai kay achai bruai ka farq pata chalay, mazhab ko samhajnay aur zindagi ko guzarnay ki roshni milay, koi bhi dehshatgard tanzeem ghalat mazhabi nazriat ki aar mein hamari nasal ko istimal na karay apnay maqsad kay liye, aur saath kay saath ilm kay tajurbay say insaani zindagi ko asaan bhi kia jai, jis ki misaal yea phone bhi hai aur aap tak is phegham ko pohchaanay wala yea computer aur internet bhi.
Allah hum sab ko naik hidayat ‘ata farmai aur apnay hifz-o-iman mein rakhey; Aameen.