Re: Miya Biwi Zaroor Sunay
meri samajh ke mutabiq islam aik deen hai is ko mazhab ke bator lena drust maloom nahin hota.
mazhabi zehniyat ne hi ham ko aaj yahan tak pohnchaaya hai jahan ham apne aap se khafa hen magar aqal se phir bhi kaam nahin le rehe.
hamen seedhe raaste ki taraf waapsi karni ho gi warna ham tabahi se bach hi nahin sakte.
kabhi apne aap se sawaal kijiye aakhir deen aur mazhab main farq hi kia hai.
mazhab yeh sikhaata hai duniya achhi cheez nahin hai issi liye jis mazhabi perokar ko dekho apne aap ko duniyaa se door rakhne ki koshish main apna aap tabah kar raha hai.
islam ka raasta mazhab se alag raasta hai.
mazhab laadeeni nizaame zindagi ki taraf pehla qadam hai is liye keh yeh khudaa ki hakoomat ko insaanu ke hawaale karne ki saazish ka naam hai. yahee wajah hai mazhab ki nazar main duiya aik karobaar hai. issi liye is main munaafa kamaana drust hai. issi liye is main insaani malkiyat ko drust samjha gayaa hai aur yun ham sarmaayadari ki daldal main jaa pase hen jisse ham kisi tarah bhi peecha nahin choraa paa rehe.
deene qurani ham ko sikhaata hai is jahan ka peda karne waala sirf aur sirf Allah hai. issi wajah se is par hakoomat ka haq bhi ussi ko hai. insaanu ko us ke bataaye hue raaste ke ilaawa zindagi nahin guzaarni chahiye.
ab sawaal peda hota hai us ka btaaya huwa raasta kon saa hai? istesaali nizaam yaa ahamahangi aur bhaichaargi ka nizaam? yahee baat ham log samajh nahin paa rehe kyunkeh ham is baat ko samajhne ki koshish hi nahin kar rehe kyunkeh ham khud apna dimaagh istemaal karne ki zehmat gawaara nahin hai. bas issi ka nateejah hai ham zaleel se zaleeltar hote jaa rehe hen aur soch nahin rehe keh ham jis raaste par chal rehe hen woh ghalat hai. ham ko apna raasta aqal ki roshni main quran se talaash karne ki sakht zaroorat hai.
ham jab tak bebunyaad aqaaid ki taareeki main gu8m rehen ge raasta milne ka sawaal hi peda nahin hota.
is liye main to yahee kahun ga apne aqli ehliyato salahiyat ko zaroor kaam main laiye warna halaat isse bhi badtar hote dikhayee de rehe hen musalmaan kehlwaane waalun ke liye. issi wajs se deegar duniya bhi pareshaan hai hai keh raasta dekhaane waale khud raasta gum kar ke idhar udhar bhatak rehe hen andhun ki tarah.
http://www.jangforum.net/index.php?PHPSESSID=q49fqk4jktgcutk3tfcg1t6fv3&topic=5206.0