baqi kisi ka to mujhe pata nahin lekin main apna bata sakta hoon k main nain 9 saal pehle LAHORE se laser karwaya tha aur mera number ''-2''tha aur aaj tak Alhamdulillah bilkul theek hoon aur haan last year apni wife kar bhi karwaya tha wo bhi theek hai .is k ilawa aur bahot saray frnds ko main nain recomend kia tha sab nain karwaya tha aur sab hi mashAllah se theek hain..haan aik banda jis nain meri baat nahin mani aur aaj tak nahin manta hai wo mera apna bhai hai ..lol.usay laser ka kehta hoon to us ki AGAR MAGAR hi nahin khatam hoti .agar aisa hua agar waisa hua aur isi chakar main glasses hi use kar raha hai aaj tak .bhai jaan jis nai bhi karwana hai wo pakistan aa kar karwa lay inshAllah kuch bhi nahin hoga..agay taadi marzi:P