Is thread mein sawalaat de kar baat ko asaan bana dia gaya hai. magar us se pehlay yeh wazahat laazim hai keh Lal Masjid operation ki tafseel mein janay se beshak Musharraf ka naam samnay aanay lagta hai, magar Lal Masjid jaisi Ka'aba ki beti ko ek paapi insaan k barabar rakh kar koi tajziyyah karna khud hamaray eemaan ki babat sawalaat peda kar day ge. Baat Lal Maskjid ki honi chahiyay aur phir kisi ka lihaaz kiay bagher sach ki talash ki koshish honi chahiyay.Agar dimagh mein pehlay se hi koi target rakha ho tu saari mashaq garam hawa k ghubaray phulanay se ziada nai ho sakti.
Ab dekhiyay sawalaat aur un par ek aam adami ka tabsara !
1. woh log bilkul musalah thay aur operation se qabal maaloom tha keh bhari miqdaar mein asleha jama kia gaya hai.
2. Bahut waqt mazaakarat mein laga, hatta keh Imam-e-Ka'aba tak ko mulawwas kia gaya.goya kaafi waqt tha duno
fareeqon k pass kisi qabil-e-qabool hal k liay.
3. same as above.
4. same as above.
5. Masjid k andar se bharpoor mazahamat ki gai.
6. Commandos ki shahadat yaqeeni baat hai, kisi musalah operation k dauran.
7. same as above no.1
yahan tak tu baat theek hai, lekin is par tu koi bhi ikhtelaf naheen karta, etiraazat ka rukh kuchh aur hai.
1. Mazakaraat mein jin siasi logon ne hissa lia, un sab ne tasdeeq ki keh ibteda mein hakoomat ghabrahat ka shikar
thi, muaamilay ka pur aman hal nikalnay ko tayyar thi. lekin batadreej Americans ki taraf se dabao mein izafa hua
aur Musharraf ne masalihat karanay walon ko side par karna shru kia.
2. Hakoomat ko maaloom tha keh Masjid mein musalah logon k ilawa taalibaat ki kaafi ta'adaad maujood hai, jin ko
imkaani taur par dehshat gard dhaal k taur par yarghamaal bana saktay hain.
3.Operation karnay walon k paas duno option thay. pur aman qabza ya khoon rez karawai.
4.Hakoomati halqay is khayal par yakja huay keh soorat-e-haal se kis tarah ziada faeda uthaya ja sakta hai. khoon
rez karwai k haq mein daleel thi keh ek tu hakoomat ki taqat se dehshat gardon ko wazeh paighaam milay ga aur
woh aaenda black mailing ki koshish nai karen gey. Yehi policy Israel ki security regime ka bunyadi nuqta hai aur
Russians ne bhi aisa hi kia tha jab Chichen baghiyun ne ek cinema ghar mein 250 se zyada logon ko yarghamal baya
tha.
5.Agar pur aman qabza karna hota tu hafta bhar Masjid ka muhasira kar k, bijli, pani. ration ki farahami rok kar kia ja
sakta tha. lekin hakoomati hikmat-e-amali "shock and awe" par mabni thi.
6.Na sirf masjid k andar bahut si begunah taalibaat fauji karwai k dauran shaheed huein balkeh waheen se inteqaam ka
woh silsila shru hua jo aaj tak Pakistaniyun ko nigal raha hai.
7.Badqismati se Lal Masjid operation par baat kartay huay hum log fauj ki bataur idara ezzat ko dhiyan mein rakhtay
hai, Musharraf ki naam nihaad mardangi ki tehseen kartay hain, magar bhool jatay hain keh bunyaadi nuqta tu ek
masjid ko hamlay ka nishaqna banana hai.Quran-e-Pak k un nuskhon ka kia kahein gey jo is operation mein shaheed
ho gaye ?
8. Aakhir mein Musharraf k baray jo baat saaf saaf ek aam insaan ko bhi samajh ati hai woh yeh keh Musharraf ehsaas-e-kamtari ka mara hua keena parwar insaan hai. Kargil War is ka saboot hai keh kuchh kar guzarnay ka aadi shakhs mulk ki salmiyyat kis tarah khatray mein dalta hai.Hamari fauj ka yeh qabil-e-reham kirdaar Napoleon sani honay k khabt mein mubtila tha, tareekh yaad rakhay gi keh baqi naqabil-e-bayan zaati kamzoriyun k saath, yeh shakhs Pakistan ko dehshat gardi k na khatam honay walay azaab se duchaar karnay wala, Balochon ko azaadi ki jang par majboor karnay wala aur Pakistan ko India se ek khuli jang mein dhakelnay ki koshish karnay ka mujrim tha.