Pakistani awaam ka mas'ala yeh hai keh woh deen o mazhab ka farq nahin samajhte.
deen aur mazhab main ulema ka ikhtilaaf bhi isi waja se samajh main nahin aa sakta.
ziada tar molvi hazraat mazhabi khiyalaat ke maalik hen aur den ka tasssawaur hi un ke zehno main nahin hai.
deen aik siasi dastoor hai mulki nizaam chalaane ke liye
mazhab khuda aur bande ka niji maamla hai
agar islam ko deen maana jaaye to phir is ka mazhabi pehlo deen ke neeche dab jaata hai aur agar is ko mazhab maana jaaye to deen is main se bilkul hi nikal jaata hai, yani siasi nizaam alag ho jaata hai aur mazhabi baaten alag aur yun imperialism aur mullaism alag alag do raaste ban jaate hen jo aage chal kar secularism aur religion ko ilehdah kar dete hen.
© Copyrights 2008 - 2025 Siasat.pk - All Rights Reserved. Privacy Policy | Disclaimer|