hum Pakistani agay ka nahi soochtay , lakir peetna shru kr daytay hain, dua ka interview bhe aa gaya, aab agay ka soochain
ais main koi shak nahi ky rishta hum palla nahi tha maagr aab rishta qabool karain larky ky ghar jain us ky ghar walo sy milain, make sure karain baiti waqai khush rah rahe hy ya nahi,
yea jo loog batain kr rahay hain, jub larkia pub g khaelte hain wahan dostian krte hain us waqat kuch nahi kehtay , jub bhag jain to deen imaan suub yaad aa jata hy,
larke ka boycott krna haal nahi, agar larka ya us ky ghar walay waqai buray loog huay to phir vo bachi or mushkil main aa jae ge,
again sach kia hy or jhoot kia kuch pata nahi , Allah hum suub ke maghfirat farmai or hum pr reham farmai aamin