Yeh Mohajar sirf Mohajar hein bewakoof ban rahay hein, pata nai kia maza aata hai inhein badnam ho kay, parhay likhay akalmand log ho, jaan churaoo iss stupid altaf say, tum logon ka jeena mushkil kia hua hai, koi aacha aur emaandar leader lay kay aao jo tumhara image aacha karay , khao piyo mauj karo pakistan mein, khud b sukhi raho bakioon ko b aram say rehnay do
Bhai jaan. Mein Pashtun ho jitna is MQM fitna nai Pashtoono ka khoon Karachi mein bahaya hai uthna kisi oar kom ka nahin. Oar jitnay bedardi se bahaya yai woh qabil e bayan nahin hai. Mein Karachi mein kaafi arsa raha hoon.
Lekin MQM ka Karachi mein support samjhna mushkal nahin hai.
Farz karay app ka gaon aik nihayat hi khatrnak jagan par ho. Har din badmash aakar logon ko loot lein,tang karay.
Kuch arsay kai bad app kai khandan kai kuch log mil kai apna badmashon ka garoh bana lein.
Yeh garoh kartay kartay saaray dosray badmashon se zyada zalim oar jabir niklay .
App kai maal sei hisa lein lekin isey kai saath app kay kuch kaam bhi karay.
Agar app poori zindagi is kefiyat mein guzaray In zalimon kai liye app ka support fitri ho ga.
Ho sakta hai app kai dil mein in kai zoor par fakhr bhi ho.
MQM aik fascist jamaat hai. Fascist jamaat apna zyada tar time logon kai zehno mein apnay liye jagah bananay mein guzarti hai. Karachi mein yeh zindagi kai har shobay mein mojoood hai.Student unions, deeni tanzeem, professional unions. Kam oar besh Urdu speaking logon kai har khandan mein in kay worker pai jaatay hai.Har so ghar mei aik unit, 100 unit ka aik sector. Yeh sab kuch isey community ko control karany kai harbay hai.
Pooray community ko inhon nai tarah tarah kai jhoot mananay par amada kiya hail. Jhootay kisey, zulm kai jhootay dastaan waghera waghera. Mehwish Ali ko is forum mein app nei dekha hoga.
Koi in kai soch sai halqa pulka ikhtalaf karay woh in aik radar par ajata hai.Agar aik had par karlein tou dedardi sei mara jata hai.
Mein app ko wasooq kai sath keh sath keh sakta hoon kai ithna dehshat TTP ka nahin hai jitna MQM ka hai.
Yeh jamaat tasub pe phalta hai. Apnay members ka bakio kai liye oar bakion ka in kai liye. Is liye is threadh pai jo log Urdu speaking logon ko bili tafreek MQM kai kartootan ka zimaidar thehra rahay hai woh dar asal MQM hi kai hath mazboot kar rahay hai.
In mein oar video walay MQM walay chawal mein kuch khaas farq nahin hai.
MQM kabhi kisi operation waghera sai khatm na hoti. Lekin in kai apnay kartoot ab in kai galay par gai hai.
Abb in ki ulti ghinti shoro ho gai hai Inshallah.