ICC World Cup 2019: Is World Cup 1992 Repeating Itself?

Young_Blood

Minister (2k+ posts)
That overrated Inzi managed to score some 225 runs in 10 matches @22.50 Avg. His only fifty was against NZ in semi-final. 10 matches me to koi bhi railu katta uth kr ek fifty kr jaayega. Babar Azam and Haris Sohail are far better and more consistent than the likes of Inzamam and Saleem Malik of that time.
Cricket mein ye nahi dekha jata k uss ne series mein kitne runs baney,, cricket mein ye dekha jata hai k bari team aur barey match aur crucial stage per kis ne kya performance de.. Cricket main wahi hero banta hai jo bare match main perform kare.. Babar Azam ke chahey 100 ke average ho jaey magar wo kisi kaam ke nahi jab tak uss ke team match na jeetay,, Babar Azam ne ab tak iss worldcup mein kon sa aik b match jitwaya hai? Babar Azam uss waqt great batsman bane ga jab wo apne liay nahi team ko jitwane k liay khaile ga, jesa k Aron Finch, Kane Williamson , Mushfiq ur raheem, shakib ul hasan khail rahe hein,,,
Jahan Tak Haris Sohail ke baat hai to yes he perform well aur pakistan ussi ke innings ke waja se match jeeta,, jis player ka credit banta hai ussey dena chahiay,,,
 
Thunderstorm

Senator (1k+ posts)

Semi-final se pehle jo Pakistani team haarti rahi usme Inzi k flop hone ka bhi haath tha. Baray match k player ko phir baray match me hi khilaaya jaaye. Us waqt Babar Azam wala role Ramiz Raja k pas tha jisne 2 centuries to score ki theen lekin tha wo mediocre player. Babar se pehle 3rd no. pe Younis Khan khelta tha usne ODIs me Pak ko kitne matches jitwaaye? Match finish krne ka role 3rd No. ka nahi hota blkay wo innings ko anchor krta hai aur dusre batsmen uske ird gird tez khelte hain. Babar ne ek end se wicket rok kr 69 runs bnaaye jis ki wajah se Haris Sohail ko khul kr without pressure khelne ka moqa mila. Hr match aapko Babar ne hi finish krke dena hai to phir neeche k batsmen achaar daalne k liye team me hote hain? Isse pehle Umar Akmal aur Asad Shafiq type k players hote thay jo ek 2 shots lagaa kr wicket throw krdete thay. Pakistan ko innings stable krne waala ek consistent performer mila hai to tb bhi awaam ko problem hai k ye 150 200 k strike rate se q nahi khelta etc. 40 overs tk wo innings ko le jaata hai uske baad neeche hitters ka kaam hai bara target set krna. Isse pehle aap ko achi tarah yaad hoga k Pakistan ka koi opener jaldi out hojaata tha to middle order collapse hojaata tha aur hr waqt 20-3, 32-5, 64-6 jaisa scorecard dekhne ko milta tha jb Misbah tuk tuk kr k score ko kuch competitive bna deta tha. Babar k aane k baad kitne batting collapses howe hain?
 
Back
Top