Young_Blood
Minister (2k+ posts)
Cricket mein ye nahi dekha jata k uss ne series mein kitne runs baney,, cricket mein ye dekha jata hai k bari team aur barey match aur crucial stage per kis ne kya performance de.. Cricket main wahi hero banta hai jo bare match main perform kare.. Babar Azam ke chahey 100 ke average ho jaey magar wo kisi kaam ke nahi jab tak uss ke team match na jeetay,, Babar Azam ne ab tak iss worldcup mein kon sa aik b match jitwaya hai? Babar Azam uss waqt great batsman bane ga jab wo apne liay nahi team ko jitwane k liay khaile ga, jesa k Aron Finch, Kane Williamson , Mushfiq ur raheem, shakib ul hasan khail rahe hein,,,That overrated Inzi managed to score some 225 runs in 10 matches @22.50 Avg. His only fifty was against NZ in semi-final. 10 matches me to koi bhi railu katta uth kr ek fifty kr jaayega. Babar Azam and Haris Sohail are far better and more consistent than the likes of Inzamam and Saleem Malik of that time.
Jahan Tak Haris Sohail ke baat hai to yes he perform well aur pakistan ussi ke innings ke waja se match jeeta,, jis player ka credit banta hai ussey dena chahiay,,,