ح
حکایت جنوں
Guest
Aaj ke Hamid Meer ke column ko dekhiey jis mei Hamid meer nei pakistani fauj ke general head quarters ki aik taqreeb ka maajra likha hai. Is taqreeb mein Bashir Bilour ki shahadat ko khiraaj e tehseen peish kia gia aur un ke bete ko (jo KPK ke us provincial assembly se umeed waar hai jahan ki National Assembly ki seat se Imran khan election larr raha hai) ko khitaab ki dawat dee. Kia yeh Army ki traf se pre poll rigging nahi?? Mujhe Bashir Bilour ki shahdat per un ke khandaan se hamdardi hai magar un ke aezaaz mein aisi kisi taqreeb ko ya to bohat pehle kia jana chahiey tha jab woh shaheed huye they ya isey election ke baad kia jata. Election se mehez 10 din pehle aisi taqreeb kerna aur Haroon Bilour ko wahan khitab ki ijazat deina NA-1 ke election per negative asar daaley ga aur Bilour family isey Peshawar mei apne halqey mein apney haqq mei istimaal krey gee. Mazeed yeh keh Military establishment ka kisi khas umeed waar ke liye election se zara pehle aisa inclination un ki ghair jaanibdaari ko sakht shubhaat mei daal deita hai aur meri nazar mein Imran khan ka yeh bayan isi taqreeb ke reaction mein saamney aaya. Yeh matt bhuliye keh Bashir Bilour ki khidmaat ka eteraaf durust magar unhi ke bhai Ghulam bilour nei Railways ka kia hashar kia hai.
پاکستان تحریک انصاف کے چیئرمین عمران خان نے کہا ہے کہ سابق وزیراعظم بینظیر بھٹو کو طالبان نے قتل نہیں کیا بلکہ ان لوگوں نے قتل کیا جو ان کے اقتدار میں آنے سے خوفزدہ تھے۔ لاہور: (ویب ڈیسک) ایک برطانوی اخبار کو انٹرویو دیتے ہوئے عمران خان کا کہنا تھا کہ سابق وزیراعظم بینظیر بھٹو کو طالبان نے قتل نہیں کیا بلکہ ان لوگوں نے قتل کیا جو ان کے اقتدار میں آنے سے خوفزدہ تھے۔ ان کا کہنا تھا کہ سٹیٹس کو کے ساتھ مل کر پاکستان میں انقلاب نہیں لایا جا سکتا۔ کسی سے کوئی ڈیل نہیں ہو گی۔

Last edited by a moderator: