Khan Sab
MPA (400+ posts)
Dr Zakir Naik ne yahan bohat khubsurat aayat paish ki ha jis mein un logon ke liye bohat khubsurat jawab hai jo yeh kehte hain ke Allah ne hamein kyun peda kya, yeh imthehan kyun hai, hamari choice kahan hai, Islam aisa kyun hai waisa kyun hai, yeh saza kyun hai woh saza kyun hai, kisi ko muslim aur kisi ko kafir ke ghar kyun peda kya. Is forum pay bhi aksar karte rehtay hain to un k liye Allah ne jawab day diya ke is imtehan mein insaan ne khud apne aap ko apni Choice se dala. Jis mein yeh sab kuch imthehan k tor pe mojood tha ke Allah ka khud ko parday mein rakhna, Insan ki Aalam Arwah ki yadasht bhula dena phir rahnumai ke liye apne Paighambar aur Quran jesi nishania utarna (Jin ko Science ne bhi taslim kia), Deen mein jaza saza ka nizam hona, Nafs o Shetan ka sath hona, insaan ko Free Will dena Etc Etc r phir Akhir mein Jannat ya Jahanum ( kisi ke liye waqti r kisi ke liye daimi )
Is imthehan mein Allah ki taraf se koi zabardasti ya ???????? ziadti nahi hui. qayamat ke din yeh sara mamla Allah khol day ga
Duniya mein har bacha Fitrat e Islami pay peda hota hai, is ka mahol usay muslim ya kafir banata hai. is liye jo musalmanon ke ghar peda huve us mein kisi ka koi kamal ya Achai nahi balkay yeh Unper Allah ka ahsan aur intekhab hai aur un pay yeh zimedari hai ke woh un logon par Allah ka deen paish karen jo kufar pay hain. Kisi kafir ko jahanum mein nahi dala jaye ga jab tak ke us pay hujat tamam nah ho jaye Allah ke deen ki shakal mein. Is ke Mutaliq Dr Zakir ne aik aur aayat pesh ki k qayamat ke din koi Allah ke faislay aur insaaf pay aitraaz nah kar paye ga,Sab taslim karen ge
Is liye mein apne Atheist bhaiyon se kahun ga ke agar ab bhi aap k Dil o Dimagh men koi Shaq o Shuba baqi rehta ha to phr bhi men kahun ga k Apni akhrat ki hamesha hamesha ki zindagi khatray mein nah dalen, Farz kar len ke agr mar ke matti ho jana hai to phir nah Allah ke man'ne walay ke liye koi khatra hai nah aap ke liye sab mar ke matti ho jayen ge lekin agar akhirat waisi hui jaisay quran keh raha hai to phir aap ke liye hamesha hamesha ki jahanum ka khatra hai. Phir aqal to yahi kehti hai k ap ko chahe kuch samajh aye chahe nah aye aap ko Allah se hidayat ki dua karni chahiye aur Allah ka deen Islam Qabool karna chahiye, yeh Risk nahi lena chahiye, Allah hum sab ko hidayat day
Surah Ahzaab aayat 72 73 ka mukhtasar Tarjuma aur Tafseer