Bismillah ir Rahman ir Raheem,
Alhamdulillah... aap dono ki reply ne aik baar phir sabit kerdiya k aap Quran se ilm hasil kerna tu dor ki baat os k saath khail rahey hien. aur apnee apnee merzi chala rahey hien aur aap dono ki reply mazeed is baat ko pokhta kerti hai k bagher Ahadeeth e Mubaraka k Quran ko samjhna naa mumkin hai, warna haal wesa hee hoga jaisa indono ka howa hai naa teen mien na tera mien.
Quran ka bayan Hadeeth Rasool (sallal laahu alaihi wasallam) hai aur jis terha Allah ne Quran ki hifazat ki isi terha Quran k bayan yaani Hadeeth ki bhi hifaazat ki aur aaj alhamdulillah hamarey paas Saheeh ahadeeth ka zakheera mojood hai jis se hum Allah k Nabi (sallal laahu alaihi wasallam) ko Allah ne jis terha Quran samjhaya woh samajh saktey hien.
Dono mosoof typhoon and patriot Munkireen hadeeth k (Pervaizi group) se taaluk rakhtey hien. Munkireen e hadeeth k buhat saarey groups hien yeh in mien se sub se jadeed hien. Baki Aslam Jairaaj poori, Allama Mashriqi, Sir Syed waghera bhi qabil e ziker hien. Yeh sub apni apni merzi aur aqal se quran ka tarjuma aur tafseer kertey hien aur dawaa kertey hien k inki tafseer ko qabool kiyajaye... in sub hazraat ne qurani ehkaamaat ko mukhtalif tareeko se bayan kiya hai. aur jo matlab aur tafseer aur amli tabeer hamien Ahadeeth e Mubaraka se milti hai os baarey mien kehtey hien k yeh sub Ajmi/Irani Saazish hai. Naaozobillah....(ager koi insaaf pasand kholey zehen k saath tadween hadeeth ki saari taarikh ko perhley aur os ilm k hawaley se ulema ki mehnet dekh ley tu woh yeh maaney bagher nahi reh sakta k yeh aik moajza hai aur Allah ki mashiyet bhi)
Chon k yahan naa tu itni tafseel di jaa sakti hai na hee kitaabo ki asal ibaaraat is liye meree guzarish hai k jo hazraat is baarey mien jaanna aur samjhna chahtey hon woh ulema e huq (jo quran aur hadeeth ki dawat detey hon kisi firqa ki nahi) onsey rabta kerien.
Wese aik baat aap ki maaloomaat k liye arz hai k Quran k jo maani/meanings jin lughaat/dictionaries se liye jaatey hien woh der hakeeket ulema ne hee Lughaat (dictionaries) tayyar ki hien aur onhi dictionaries se se yeh hazraat Quran k meanings lete hien aur yeh dictioneries Allah k Nabi (sallal laahu alaihi wasallam) likh k nahi gaye balki balkey osee dor ki yaa os k baad ki hien jub hadeeth ki tadween howi aur on dictioneries ko tayyar kerney k liye bhi Ahadeeth se madad lee gayee hai. Aur in dictioneries k mudawwineen bhi Ajmi/arabi ulema hien.
In sawalaat ka jawab abhi tuk nahi diya dono hazraat ne:
1) Namaaz/salat:
Salat ka tareeka kiya hai???? hum kahan se lien gey salat ka tareeka? Ager is namaaz mien Rukoo sajda Qayam hai tu kub konsa amal hoga aur os amal ki shakal kiya hogi os mien khaamosh raha jaiga yaa kuch perha jaiga, sajda aik hoga yaa 2 yaa 3. aap koi tu tareeka bataain.... aur quran se hee batain.. hadeeth tu aap maantey nahi. (aur aap kiyo fiqa e hanafi k mutabik namaaz perhtey hien) jub k yeh namaaz tu 5 wakt (farz) hai jo k kisi yehoodi ki garhi howi riwayet hai aap k mutabik, kahin aap ne yehoodi sazish pe amal kerney ka faisla tu nahi kerliya?
Mr. Patriot likhtey hien:
Lagta hay kisi yahoodi ki ghaRi huwi baat hadeeth ban gaee hai.
Mr. Typhoon likhtey hien:
Parsio ki panch waqt ki namaz ne nizam-e-salah ki jaga le li, parsi aj bhi 5 waqt ki namaz parhte hein. Ye kissi bhi parsi se poocha ja sakta he.
hahahaha... wese aap logo ki Quran fehmi ka pol tu yehin pe khol raha hai....mujhey samajh nahi aata k jub 5 wakt ki namaaz yehoodi sazish hai patriot k mutabik aur persian saazish hai typhoon k mutabik tu phir Quran kis salat ka hukum de raha hai? woh kiya cheez hai? (hadeeth k ilaawa samajh nahi aayegaa aur ager samjhney ki koshish bhi ki tu kisi k kiya samajh aayega aur kisi k kiya... isi liye kaha k Quran apnee tashreeh k liye Hadeeth yaani Rasoolullah (sallal laahu alaihi wasallam) ka mohtaaj hai aap jaisey jahilo (pervaizi muqalideen) ka mohtaaj nahi. Aap chahtey hien k aap jaisey maghrib pereston k haathon mien Quran ki tashreeh de di jaye jo Quran k saath mazaak kerna shoro kerdien aur os mazaak ko Quran Fehmi aur Tafaqoh fiddeen ka naam dien)
Wese Mr. Patriot ka jo jawab hai woh ain Ghulam Ahmed Pervaiz k jawab ki nakal hai jo Ghulam Ahmed Pervaiz ne apnee kitaab Qurani Faisley page 32 pe diya hai... jis se sabit hota hai k yeh log kis kader aik hee shaks ki raaye aur jawabaat pe makkhi maartey hien aur Ghulam Ahmed Pervaiz ko woh mukaam de diya hai jo Allah ka Nabi (salla laahu alaihi wasallam) ka thaa yaani Quran ki tashree aur amli tabeer.
Yeh log jitna bhi dawa kerien Namaz perhney ka meger yeh log namaaz nahi perhtey is ka soboot hai Akhbaar e Jahan., Karachi 8 January 1969. Jis mien mazkoor nomaindey ne Bazm e Toloo e Islam ki Eid Milan Party ka aankho dekhaa haal paish kiya jo Karachi mien howa thaa... jis mien Magherib ki namaaz nikal gayee aur aik sahib ki shikayat pe ailaan howa k namaaz perhee jai os wakt tuk yeh log Qurani Inklaab burpa kerney k liye takaareer ker rahey they aur Ciggaretes ka dhowan Hall mien buland ho raha thaa... aur jub namaz perhee gayee (woh bhi Qaza) tu total paanch afraad they.
Aik aur baat mr. patriot kehtey hien k jub Quran ne lafz Salat istamaal kiya tu os wakt jo log salat qaaim ker rahey hongey onhien is lafz k meaning pata hongey isl iye inhien pata chal gaya hoga k salat kaaim kerney se kiya morad.... tu bhai mien bhi tu yehee pooch raha hon k os dor mien salat qaaim kerney k kiya matlab thaa??? aaya yeh matlab quran se milega ya os dor k kisi shuks se tumhara baraa e raast raabta hai??? yeh guthee tu soljhaao....
Baar baar mr. patior likh raheyh hien k meree baat tumharey ser se guzer gayee... zahir hai baat hee betuki hogi tu ser se guzer jaaigee.
2) Saum:
Ab aap dekhien Hadeeth ko naa maan k aur Quran Fehmi ka jhoota dawaa ker k aap ne Quran k kitney ghalat meaning liye hien. Mr. Patriot ne kaha k Saum k meaning hien Rok jaana, baaz rehna. yaani ye kehna chahtey hien k Ramazaan k 30 dino mien apnee biwi se alehda rehna Roza hai, aur jo ijmaayee haisiyat hai Roza ki yaani Sehree se le k iftaar tuk kuch khaana peena nahi yeh Ajmi saazish hai (kiyo k hadeeth mien hai).
Ab dekhiye Quran kiya kehta hai:
Aey logo jo emaan laaye ho tum per Soum (Rozey) isi terha fardh kiya gaya hai jis terha in logo per fardh kiya gaya thaa jo tum se pehley they taakey tum Muttaqi bun jao.
(Rozey) ginti k chund din hien phir tum mien se koi beemaar ho yaa safer per ho tu dosrey dini se ginti poori kerley
aur jo log roza rakhney ki takat rakhtey hon (phir na rakhien) tu iska fidya aik miskeen ko khaana khilaana hai phir
ager koi shuks apni khoshi se (ziyada) naiki kerey tu yeh is k liye behter hai aur tumhara roza rakhna tumharey liye kahin behter hai ager tum ilm rakhtey ho.
Al Quran Sorah Bakara Ayet 184
Ager aap Saum k meaning woh lien jo Hadeeth mien yaani khaaney peeney se perhaiz (aur saath hee saath dosri boraiyo se bachney ki bherpoor koshish kerna) tu in ayaat ka samjhna intihaayee asaan hai. Zahir hai beemaari mien aur Safer mien bhooka piyaasaa rehna intihaayee mushkil hai is liye yahan Allah Taalaa khaaney peeney ki rukhsat de raha hai. Is k ilawa jo Ehkaam aur Masaail hamien Ahadeeth se Roza/Soum k baarey mien miltey hien woh intihaayee Rational, fitret k ain mutabik aur Taqwa k hosool ka hakeekee zariya hien.
Meger ager aap meaning woh lien jo Mr. Patriot (pervaizi fiker k mutabik) ker rahey hien yaani din k aukaat mien biwi se dor rehna tu phir in ayaat ka samjhna naa mumkin hai.
-Roza ka maksad quran ne Taqwa bayan kiya hai ab ager is ka meaning Din mien biwi se dor rehna hai tu is mien koi kamaal nahi aur din mien tu wese bhi insaan apney kaam kaaj mien mashghool hota hai tu phir is dori se taqwa ka hosool kis terha mumkin hai?.
-Musafir aur beemaar se kaha jaa raha hai k woh ginti baad mien poori kerley. yaani woh roza na rakhie, aur pervaizi meaning k mutabik musafir aur beemar Ramadhan mien apni biwiyo k paas din mien jaa saktey hien.
-Ji Janab dekha aap ne pervaizi shahkaar apnee aqal k mutabik Quran Fehmi ka!!!! Musafir aur beemar ka tu wese bhi doraaney safer din tu kiya raat mien bhi biwi k paas jaana mushkil hota hai (yaani woh tu mustakil roza mien hota hai pervaizi tafseer k mutabik) tu phir onhien yeh rukhsat dene ka kiya maksad? yaani kiya Musafir aur Beemaar ko kaha jaa raha hai k woh chahien tu apnee biwiyo k paas din mien bhi jaa saktey hien? beemaar aur musafir k saath aisee kiya majboori howi hai jo isey rukhsat dee jaa rahee hai? yeh kiya ajeeb baat hogayee? aur inhien yeh kehna k woh ginti baad mien poori kerlien ka kiya maksad?
In logo ne apni khod sakhta tashreeh se Quran ka jo hulya bigaara hai os se Allah ki panah.
3) Zakat:
Quran mien zakaat dene aur wasool kerney ka hukum hai. aur kinhien dee jai os ki bhi tafseel mojood hai, aur na dene walo ko Azaab ki dhamki dee gayee hai.
-ab yeh zakaat kis terha dee jai?
-aal mien aik dafa?
-Umer mien aik dafa?
-Kitney maal pe?
-Kis nisaab se?
-Ghalley (anaaj) pe kitni?
-Soney chandi pe kitni?
Wese Pervaizi nazriya Zakat k baarey mien yeh hai k yeh Hukumet wasool kerey aur hukumet na ho tu zakat nahi... jo inki apnee tashreeh hai Quran mien aisa koi ziker nahi k hukumet ki ghair mojodgi mien zakat sakit hojati hai... balkey Zakat ka hukum tu on sorton mien bhi aaya hai jo Nazool k aitbaar se makki dor mien otri jub k Makki dor mien Hukumat e Islamiyah nahi thee tu phir kis zakat ka hukum kihien diya gaya aur onhon ne kis terha is hukum per amal kiya?
yeh saari tafseel Quran se dee jai Ahadeeth se nahi. Kiyo k Ahadeeth tu Saazish hien aap k hisaab se. Ab yeh mut kahiyega k Mr. Pervaiz ki tashree ko hujjet tasleem ker liya jai.
4) Huj aur Umrah
Quran Huj aur Umrah ka hukum deta hai. Patior sahib se jub is farz adaa kerney ka tareeka poocha gaya tu kehtey hien:
Es ka jawab bhi agar Ap samajheN tau oopar hi hai.
Kahan opper hai? Yeh Umrah aur Huj alag alag alfaaz k saath bayan howa hai Quran mien aap bataaiye k inkey alag alag kiya meaning hien. aur kis terha adaa hongey.. ,
Baitullah k Tawaf ka bhi hukum hai, yeh baitullah kahan hai? Makkah mien? Masjidul Haram kahan hai? Makkah mien? kese pata chalega? Hosakta hai Masjidul Haram kahin aur ho..Yeh Makkah wali masjidul haram hee masjidul haram hai is ka kiya soboot hai? Quran se bataiye... Hadeeth, taareekh yaa tawatur se nahi. kiyon k aap in sub ko naa kabil e hujjet samjhtey hien. Hadeeth pe hamara eemaan hai, aap k nazdeek yeh ajmi sazish hai.
5) mazeed mr. patiot kehtey hien
Ahadeeth ki kitaabeN tareekh ki hasiyat rakhti heN jin say us zamanay kay kuchh ahwaal maloom hotay heN,lekin yeh deen ka hissa nahiN ho saktiN.Ap in ko waHi mantay heN lekin meray nazdeek Allah ki bheji huwi waHi meN agar aik baat bhi ghalat ho jaey tau phir who waHi nahiN rehti.KiyooN k Allah say ghalti nahiN ho sakti.Ap bukhari,muslim, Ibn majja meN likhi tamaam ravayaat ko waHi mantay heN tau yeh bhi mantay hoongay k sangsaar wali ayet BiBi Aisha kay takiye kay nichay paRi huwi thi jis ko bakri kha gaee.isliye who ayet ab quran meN nahiN hai.Agar yeh waHi hai tau Allal TaAla ka quran ki hifazat ka wada kia huwa?
jub yeh kitaabien hien hee ajmi aur iraani sazish aur yehoodi saazish tu phir in kitaabo se taarikh ki hud tuk bhi istafaada kiyo? Jub 5 wakt namaaz bhi yehoodi yaa iraani saazish hai jis ka ziker in Ahadeeth ki kitaabon mien mojood hai tu phir in kitaaboo se os dor ka kuch hawaaley kese mil jaatey hien?.
6) Quran mien Salatul Jummah ka ziker hai
"Aey imaan waloo jub Azaan dee jai Salat/Namaz k liye jummah k din tu tum Allah k ziker ki teref doro aur khareed o farokht kerna chor do yeh tumhare liye behter hai ager tu jaantey ho" 62:9
Ager oper wali ayet ko Ahadeeth ki roshni mien dekhien tu koi confusion nahi rehtee balkey aik aik lafz nikher k saamney aajataa hai.. lekin ager Ahadeeth ka inkaar ker diya jaaye aur sirf Quran ko hujjet tasleem kiya jai aur Hadeeth ko Ajmi sazish k jhotey propagandey ki bhent charhaaya jaai tu phir confusion hee confusion hai jis k koi jawab nahi maslan:
1) Jummah k din kub pukaara jaiga?
2) Salatul Jummah k kiya meaning hien?
3) Salat k liye pukaarna k kiya meaning hien?
4) Kin Alfaaz se pukaara jai?
5) Allah k ziker ki teref kahan dorien?
6) Allah ka ziker Salat ul Jummah mien kis terha kerien?
in tamam baaton k jawabat Quran se dijiye Ahadeeth se nahi.... kiyo k aap k nazdeek Ahadeeth hujjet nahi.
7) Mr. Patiort kehtey hien:
YahodiyooN ki sazish kab ki kaam kar bhi chuki Ap ko patta bhi na chala. Isi tarha nasraniyooN ki bhi.
Ap ki taqreeban saari shariah Bible say li gaee hai.Sangsar karna,murtad ki saza,sar ko Dhanpna,mayet ka soam aur chaliswaN waghaira sub bible ki taleem hai.Agar reference chahye tau keh dena.
Wese ager Hadeeth pe amal kerna Yehoodi aur nasraani saazish hee hai tu phir Yehoodiyo aur Chrisitians ko musalmaano se khosh hona chahiye k musalmaan inki saazish pe amal ker rahey hien aur aap logo se naraaz jo is saazish ko faash ker rahey hien... Lekin yahan tu ulti ganga beh rahee hai... Musik, Dance, Sharab noshi, Sood khori, be pardagi aur is k ilawaa jitni kharaafaat hien jo Quran aur Hadeeth k zariye se kabil e mazammet hien aur ummet k jo afraad in Gunaaho se ummet ko roktey hien onsey tu Maghrib aur Yehoodi naraaz hien aur jo in cheezon pe amal kertey hien yaa inko jawaaz mohayya kertey hien Ahadeeth ka rud ker k onsey tu yeh log barey khosh hien... Yeh kiya maajraa hai??? Sazish k Ittehadiyo se naraaz aur mukhalifeen se khosh??
8) mazeed inki mooshagafiyan dekhien:
Mushrikeen barhana tawaf kartay thay ,yeh jan-nay keliye tareekh paRh lena kafi hota hai eskeliye waHi ki kia zaroorat hai? RasoolAllah S nay quran ki authority say unko manna kiya. Quran meN hai k libaas ka maqsad kia hay. Allah nay usool bataa diye heN baqi adami khud soch sakta hai Allah nay aql isilye di hai.Allah ka shukar bhi isi tarha ada hota hai k uski di huwi cheez ka istamaal kiya jaaey.
Mushrikeen hamesha hee barhana nahi rehtey they... Libaas ki kuch na kuch ehmiyat inhien bhi pata thee..Khaas ker Tawaf k mokey pe barhana hona exception hai jo mushrikeen ne apne liye paida kerlee thee....is terha ki exceptions tu hamarey deen ne bhi di hien... Insaan khalwat mien, apnee biwi k saath, aur ghusal kertey wakt berhana hota hai yeh exceptions hien... inki ijaazat hamien Allah k Nabi (sallal laahu alaihi wasallam) se milti hai...
sawal yehee hai k Tawaf berhana na kerney ki momaniyet k liye koi quran ki ayet tu honee chahiye... Kiya Quran na mukammal hai?
Ager aap kehtey hien k Quran mien hai k Libaas ka maksad kiya hai is lihaaz se berhana tawaf os maksad k khilaaf jaata hai ... tu phir apnee biwi k samney berhana hona bhi os maksad k khilaaf jaata hai. ye exception aap kahan se laaye, yeh sawal os wakt hai ager aap ki shaadi hogayee hai tu ager nahi howi tu kisi dosrey munkir e hadeeth se pooch lien k aaya munkireen e hadeeth k nazdeek apni biwi k samney berhana honey ki kiya daleel hai? alhamdulillah hamien in tamam baato ki tafseel Saheeh Ahadeeth Mubarka se mil jaati hai.
Haan Mr. Aqalmand aik aur baat... yeh Tawaf kiya cheez hai??? kese kiya jaata hai??? koi daleel Quran se?
9) Mr. Aqalmand k mazeed aqwale zarin
Hadeeth wohi saheeh hai jiski tasdeeq Quran karay, us ko meN ji jaan say mantaa hooN. Jo Quran kay khilaaf jaaey who sub jhooT ka palandah hai.
Jub hadeeth chahey wo Quran k mutabik ho yaa na mutabik (aap k nazdeek), kiyo k jamaa kerney waley tu wohee hien... aisa tu nahi Quran k mutabik (aap k nazdeek) wali ahadeeth jama kerney waley koi aur hien aur jo Quran k mutabik (aap k nazdeek) nahi hien woh jama kerney waley koi aur... jub sub Aaima e Hadeeth (rahimahumullah) aap k nazdeek hien hee saazishi (naozobillah) tu phir ji jaan se kiyo maantey hien???
Aap nashaa tu nahi kertey.. kabhi kiya kehtey hien kabi kiya... dosron ko ghor o fiker ki dawat dete hien khod hee apnee baaton pe ghor o fiker kerlien tu aap ko takleef se nijaat milegee. Itna tazaad kiyo hai???
10)
Meray bhai, RasoolAllah S ka difa Bukhari aur Muslim waghaira kay difa say nahiN hoga siraf Quran say hoga.Kisi baat kay waHi honay ka saboot yeh hota hay k us meN tazaad na ho.Magar afsos k ahdeeth ki kitaabeN tazaadaat say bhari paRi heN.
tazaad aap ki baaton aur aqal mien hai.. jo oper mien sabit kerchuka hon.. Alhamdulillah Saheeh ahadeeth mien koi tazaad nahi... Modho aur Zaeef ahadeeth is baat ka soboot hien k Saheeh ahadeeth mojood hien... ager saheeh ahadeeth mojood hee naa ho tu mozoo aur zaeef ki kiya behes...
Baki rahee ye baat k Hadeeth sonee sonayee baato ka majmoa hien tu janab ager aik khaber sacha aadmi laaye tu os ki baat pe yakeen kiya jaata hai yehee Quran kehta hai:
Aey Imaan walo ager tumharey paas koi fasiq khaber laaye tu os ki tehqeeq kerliya kero (Al Quran) yaani ager khaber laaney wala fasiq na ho aur saccha ho tu tehkeek ki zarorat nahi... Aap ki ittela k liye arz hai k Alhamdulillah saheeh hadeeth kehtey hee osey hien jis k riwayat kerney waley sub sachey hon aur sodook hon... aur Alhamdulillah inkey sachey honey ki gawahee os dor k saikron ulema de chukey hien isi waja se os dor mien aur os dor k baad aaney waley tamam ulema ne saheh Bukhari aur Muslim ko majoyee tor per hujjet tasleem kiya aur is k ilawa tamam ahadeeth e saheeha ko bhi... Gawahee se mutalik bhi Quran ka hukum perh lo Sora e Maaida Ayat 106-108 mien gawahee ki tafseel dee hai jis k mutabik tamam adaalti cases (siwaye zina k) ki bunyad Islam mien 2 Aadil/just/sachey gawaho pe rakhee gayee hai....Alhamdulillah in Raawiyaan e Hadeeth ki sachaayee pe beshumaar gawahiyaan mojood hien aur inhi rawiyo ne hadeethien jama ki....
Tum chahtey ho 1400 saal baad tumharey is jhootey propaganda ko hum tasleem kerlien aur on hazaaron gawahiyo ko pash e pusht daal dien???? Kiya tum Imam Bukhaari k dor k kisi taarikhee hawaley se imam bukhaari ko jhoota sabit kersaktey ho????
11)
Agar christians dawa kartay heN tau Ap bhi tau hadeeth ko waHi samjhnay ka dawa kartay heN koi daleel tau ab tak di nahiN.Aur shiya ka agar Quran meN 30 paarooN ka dawa hai tau iski wajha bhi hadeeth ki kitaabeN hi heN.Lagta hai Ap nay tau hadeeth ki kitaabeN bhi nahiN paRheN jin ki Ap pooja kartay heN.
Mr. Patriot Hadeeth ko Wohee nahi maantey... hamara dawaa hai k Hadeeth der hakeeket Allah k Nabi ki itteba ka raasta hai aur Quran ki itteba Hadeeth ki itteba k saath jori howi hai. Quran k alfaaz ko mehfooz rakhney ka koi faida nahi ager oski amli tabeer aur tashree jo Sahaba ko mayyasir thee woh mehfooz na rahey. Quran bhi is tabeer aur tashree ko hujjet karardeta hai. Aaiye Quran kiya kehta hai Allah k Nabi (sallal laahu alaihi wasallam) ki Itteba se mutalik:
a) Aey hamarey perwadigaar hum os kitaab pe imaan laaye jo tu ne otaari aur Rasool ki itteba ki pus tu hamien maanney waloo mien likh le. 3:53
is ayet mien Rasool ki itaa'at aur Quran/Kitab ki ata'at ko alag alag bayan kiya gaya hai. Ager sirf Quran ki ata'at kaafi hoti tu Rasool ka ziker kiyo kiya gaya.
b) Hum ne jo Rasool bheja wo is liye bheja k allah k fermaan k mutabik os ka hukum manaa jai. 4:64
yaani ye Allah ka hukum hai Rasool k hukum manaa jai. yaani jo bhi Rasool ho chahey osey kitaab dee gayee ho yaa naa dee gayee ho. Rasool apni kulli haisiyet mien laaik e itteba hota hai. is liye ager Rasool k oper nazil ki gayee kitaab ko qayamet tuk k liye hujjet banaya gaya hai aur mehfooz kiya gaya hai tu os k aqwal ko bhi kiyaa jaanaa chahiye taakey Rasool ki itteba hosakey. Aur yeh mokaam Allah k Nabi (sallal laahu alaihi wasallam) ka hai jo aakhri Rasool hien.
c) Jis ne Rasool ki ata'at ki os ne beshuk Allah ki ata'at ki. 4:80
Yahan kitabullah/Quran ki ata'at ki baat nahi ki jaa rahee Rasool ki ata'at ki baat ki jaa rahee hai (Rasool ki ata'at mien Quran aur Hadeeth dono shamil hien Ager sirf quran hota tu Rasool ka ziker kerney ki zarorat nahi thee. yaani Rasool ki ataa'at Allah ki ata'at hai. Allah ki ata'at k liye Rasool ki ata'at lazim hai. jis terha sahaba Allah k nabi (sallal laahu alaihi wasallam) ki ataat kiya kertey they woh ata'at hum hadeeth pe amal ker k ker saktey hien, jo derhakeeket Allah ki ata'at hee hai. (saheeh ahadeeth)
d) Aur hum azaab nahi bhejtey jub tuk pehley peghamber na bhejlien 17:15
yaani peghamber hujjet hota hai aur peghamber k hujjet honey k maaneey hien peghamber is ki ata'at ki jai os k hukum ki farmaanbardari ki jai aur os k amal ko hujjet samjha jai...yahan kitaabullah ko hujjet nahi karadiya gaya balkey peghamber ko karardiyagaya hai. (her peghamber ko kitaab nahi di gayee)
e) Mushrikeen ne boton/statues ko Allah ka shareek theraaya tu Allah ne farmaya k ager yeh bot/statues Allah k shareek hien tu:
Mere paas is se pehley ki koi kitaab ya ilmi riwayet lao ager tu sachey ho. 46:4
is ayet mien Kitab ko bhi hujjet karardiya gaya aur ilmi asaar (yaani hadeeth) ko bhi hujjet karardiya gaya hai.
f) bilashuba tumahrey liye Rasool (ki zaat mien) umdah namoona hai- is shuks k liye jo (Allah k samney hazir honey) aur akhirat k din ki umeed rakhta hai 33:21
ab jo bhi akhirat ki umeed rakhta hai chahey wo sahaba hon yaa aaj k dor k musalmaan yaa baad mien aaney waley onkey liye Allah k Nabi (sallal laahu alaihi wasallam) nomoona hien... yahan bhi Quran ka ziker kiya jaana chahiye thaa kiyo k qayamet tuk tu sirf Quran mehfooz raheyga (aap k mutabik) meger chon k Allah k Nabi (sallal laahu alaihi wasallam) ki seerat bhi mehfooz rehnee thee is liye inhien namoona karardiya gaya.
g) wohee tu hai jis ne ommee qoom pe aik Rasool bheja jo on per Allah Taalaa ki ayaat perhta hai aur inki zindagi sanwarta hai (tazkiyah) aur inhien kitab aur hikmat ki taleem deta hai halaankey is se pehley woh kholee gumrahee mien perehowethey aur Rasool ki baisat (nazool) on logo k liye bhi hai jo insey abhi nahi miley 62:2-3
Allah o Akber.... is ayet k perhney k baad kisi shuks k liiye jawaz hee nahi rehta k woh hujjiyet e hadeeth ka inkaar kerey. Yeh ayet saaf tor pe bata rahee hai k Rasool ki baisat na hee arab tuk mehdood hai aur na hee Sahaba k dor tuk balkey yeh her os shuks ka ahaataa kiye howey hai jo Rasool se nahi mila. Yahan bhi Kitab ka ziker kerna behter thaa ager sirf Quran ko hee mehfooz manaa jai... meger Rasool (salla laahu alaihi wasallam) ki ataa'at daaimee ata'at hai aur wakti yaa ilaakayee nahi jaisa k log samjhtey hien.
Is k ilaawa Manasib e Risaalat mien ayaat ka tilawat kerna yaani quran ponhchana, is k ilawa tazkiya kerna aur is k ilawa kitaab aur hikmet sikhaana bhi hai. sawal yeh hai k Rasool ka kitaab/quran ki ayaat tilawat kerney mien aur Quran/kitaab ko sikhaaney mien kiya farek hai jo Quran dono ko alag alag ziker ker raha hai? aur yeh Hikmet kiya hai. yeh saari baatien hadeeth ki teref nishaandahi kertee hien. Alhamdulillah. aur sabit kertee hien k Quran ponhchaaney k ilawa bhi Rasoolullah k kuch faraiz they jin mien kitaab ki taleem, hikmet ki taleem aur tazkiya bhi shamil hai.
h) hum ne aap ko tamam bani no insaan k liye Basheer (khoshkhabri dene wala) aur Nazeer (daraney wala) bana k bheja 34:28
yahan bhi quran ka ziker behter hota kiyo k bani no inssaan ka ziker zamaan aur makaan ki qaid se azaad hai, aur is mien tu pori insaaniyet qayamet tuk aajati hai (yaani nabi ki baisat k baad) aur ager sirf quran hee mehfooz aur laaik e itteba hai tu phir Quran ka hee ziker munasib hota meger chon k Nabi ki itteba mien Quran aur Hadeeth dono shamil hien is liye yahan Nabi ka ziker kiya gaya.
i) pus tere perwardigaar ki qasam! yeh log os wakt tuk imaandaar nahi hosaktey jub tuk woh apney tanaazi'aat mien aap ko haakim tasleem na kerlien, phir aap k faisley k mutalik apney dilon mien tangi bhi mehsoos na kerien aur porey tor per is faisley ko tasleem na kerlien 4:65
Zahir see baat hai aap (sallal laahu alaihi wasallam) ne jo faisley farmaaye woh Quran mien tu mazkoor nahi is liye in faislon ki terf rojoo kerney liye ahadeeth hee wahid raasta hien (jinhien allah ne mehfooz farmadiya hai). aur dosra is ayet se yeh bhi sabit hota hai k faisley kerney ka ikhtiyaar Allah k Nabi (sallal laahu alaihi wasallam) k paas hai yaani jo tabeer aur tashreeh Allah k Nabi kerien wohee kabil ataa'at hai aur hujjet hai her aik apnee merzi se tabeer kerey woh imaandaari nahi balkey be-imaani hai.
j) jo log Allah aur os k Rasool k saath kufr kertey hien aur chahtey hien k Allah aur os k Rasoolo k dermiyan (ataa'at) mien tafreek daalien aur kehtey hien k hum aik ko tu maantey hien aur dosrey ko nahi maantey aur kufr aur imaan k dermiyan aik raah nikaalney ka iraada rakhtey hien yehee log pakkey kafir hien.
Ji janaab moaamla bilkul saaf hogaya. aisa lagta hai yeh ayet munkireen e hadeeth k liye nazil howi hai. hum ne aaj tum aisa koi nahi dekha jo Allah ko tu naa maaney meger Rasool ko maaney... haan meger aisa zaror dekha hai jo Allah ko tu maantey hien meger Rasool ko nahi maantey. ab yeh naa manna mukhtalif tareeko se hosakta hai amli tor pe bhi aur qoli tor pe bhi, meger aik baat zaror hai k aisey log hien pakkey kafir.
k) aur jub insey kaha jaata hai k aao os cheez ki teref jo Allah ne nazil ki hai aur aao Rasool ki teref tu in munaafiqo ko tum dekhtey ho k tumhari teref aaney se pehloo tehee ker jaatey hien 4:61
ab dekhiye is ayat mien deenee ehkaam ki makhz 2 cheezien batlaaigayee hien aik kitabullah aur dosri Rasool ki Tashree aur faisley (ahadeeth) jo derhakeeket minjanib Allah hee hien. aur jo log Rasool ki teref aaney se pehlo tehee kerien yaani Ahadeeth tu wohee log munafiq hien. is se maaloom howa k sunnet e rasool bhi hujjet e sharayee hai. ab aik hujjet mehfooz ho aur dosri naa ho tu yeh deen kahan se mukammal howa Qayamet tuk k liye. phir tu yeh deen sirf sahaba k dor tuk kabil e itteba raha aur phir khatam jis terha dosrey adyaan k saath moaamla howa.
l) aur jo koi raah e raast (hidayet) ki wazahat k baad Rasool se kinaara kush rahey aur ehle imaan (sahaba) k ilawa koi raah ikhtiyaar kerey tu hum bhi osey osee teref phair deingey jidher woh khod phir gaya aur osey jahannem mien daal diengey jo badtareen thikaana hai 4:115
yaahan bhi Kitabullah ka koi ziker nahi, sirf Rasool ki adam ataat aur aur mukhalifat ka ziker hai jo jahnnam mien jaaney ka sabab bun gayee. Yahan Hidayet k wazeh honey ka matlab hee yeh hai k Rasool ki tashreeh aur tafseer jis pe Sahab bhi amal ker rahey they ager os pe koi na chaley tu woh jahnnami hai. yeh ayet Hadeeth ki hujjiyet pe wazeh daleel hai. ab aik hujjet mehfooz ho aur dosri naa ho tu yeh deen kahan se mukammal howa Qayamet tuk k liye. phir tu yeh deen sirf sahaba k dor tuk kabil e itteba raha aur phir khatam jis terha dosrey adyaan k saath moaamla howa.
m) jo log Rasool k hukum k khilaaf kertey hien inhien is baat se derna chahiye k in pe koi afat na aan parey ya inpe koi derd naak azaab nazil ho 25:63
is ayet mien bhi kitaab ka ziker nahi balkey Rasool k hukum ka ziker hai (aur Rasool ki ata'at mien dono Quran aur Hadeeth shamil hien) ager sirf Quran hujjet hota tu phir yahan Quran ka ziker munasib hota.
n) Allah farmata hai "aap apni merzi se kuch nahi boltey meger balkey yeh mehez wahee/revelation hai jo aap ki teref ki jaati hai"
Yeh Aayet Allah k Nabi (sallal laahu alaihi wasalam) ki ahadeeth ko wohee ka darja de rahee hai... jo yeh sabit kerta hai k Hadeeth bhi Wahee hai.
der asal yeh munkireen hadeeth ka guroh poori ummet bewakoof samjhta hai jo 1400 saal se Hadeeeth k hujjet honey pe muttafiq hai, aur yeh aik bhi aisaa tareekhee hawal nahi de saktey jahan musalamano k kisi aalim ne yaa kisi groh ne biljumla Ahadeeth ki hujjiyet ka inkaar kiya ho. Aur 1400 saal baad Maghrib pereston ki khowahish k mutabik yeh aaj Ahadeeth ko nakabil e amal kararde rahey hien apnee aqal k mutabik...taakey deen ki poori imaaret ko dhaa diya jaai.
o) jo log Allah pe aur roz e akhirat pe imaan nahi laatey aur in cheezon ko haraam nahi samjhtey jin ko Allah ne aur os k Rasool ne haram kiya hai onsey jung kero. 9:29
Yahan wazeh tor pe yeh bataya jaa raha hai k cheezon ko haram Allah bhi karadeta hai aur Rasool bhi (Allah k hukum se)... ager moaamla sirf Quran tuk hee mehdood hota aur itteba e Rasool ya kisi amli tabeer ki zarorat hee na rehti tu phir Rasool ka ziker alehda se kerney ka kiya jawaz?
Mere khayal mien itney daleel kaafi hein.. Alhamdulillah.
Kholaasa yeh hai Allah k Nabi (sallal laahu alaihi wasallam) sirf quran perh k sunaney k liye nahi aaye they balkey:
-Aap Kitabullah/Quran k Shahrah/mufassir bhi they
-Ummet k Moa'alim aur Murabbi bhi they
-Peshwa, Rehnoma aur Qaaid bhi they
-Shahreh, Qazi aur Judge they
-Hakim aur Farmanrawa they
Aap k yeh manasib Quran ki ro se sabit hien jo shuks in manasib ka kisi bhi satah pe inkaar kerta hai woh der hakeeket aap ki risalat ka aur Quran ka inkaar kerta hai. Ab sochney ki baat yeh hai k aap ne in manasib ki ro se jo kaam aur umoor seranjaam diye onkee tafseel hamien Quran se tu nahi milti balkey on ki tafseel hamien Ahadeeth e Nabwiya k zariye se milti hai. Aur ahadeeth bhi Quran k mutabik Deen k dosra source hien. Quran aur Hadeeth laazim aur malzoom hien.... Hadeeth ko sazishi kehney waley khod sazishi hien... Hadeeth Quran ki khilaaf nahi hosakti haan insani aqal ka rakhna hosakta hai k woh Hadeeth ko Quran k khilaf samjhey.
Ager Hadeeth ka inkaar kerdiya jaaye tu yeh saarey manasib jo Quran ne Allah k Nabi (sallal laahu alaihi wasallam) ataa kiye hien sub be maani hojatey hien.
Is se yeh sabit hota hai k hum hee der asal deen ko mukammal maantey hien aur Munkireen e Hadeeth der hakeeket Deen ko na mukammal maantey hien... Sirf Quran ka ikrar aur is ki amli tabeer ka inkaar deen ko adhora maanna hai aur nakabil e itteba maanna hai.
Reply to Mr. Typhoon
Wese tu apnee second last reply mien typhoon sahib ne koi kaam ki baat nahi ki siwaaye jumley baazi aur ilzaam terashi k aur apnee last mail mien bhi aur wo bhi bagher soboot k, haan yeh zaror howa hai k Cat came out of the bag. Mien ne aik dafa bhi Mr. typhoon ko Kafir nahi kaha balkey mien ne likha thaa..
Allah k Nabi (sallal laahu alaihi wasallam) ki saheeh hadeeth ko naa maanney waley Munkireen e Hadeeth Musalmano k nazdeek Kafir hien.
Ab batayiye mien ne typhoon sahib ko kafir kaha hai? Nahi na? tu phir typhoon sahib ne kiyo lika k:
O Islam ke thekedar, mujhe kafir kehne wale, pehle apne firke ko baki firko se musalman to karar dilwa lo.
Phir likhtey hien
Afsos ye ke tumhara zehen ye baat samajhne ke shaid kabil nahi ke, me munkare hadees nahi or na hi munkare qoul-e-rasool houn.
Ab batayiye mien munkier e hadeeth ko kafir kaho tu yeh apney opper le letey hien aur phir likhtey hien k mien mukir e hadeeth nahi hon.
Yeh tu mien bus yonhee inki badhawaasi ki aik misaal de raha thaa.. beher haal mien apney who sawal dohra raha hon jis ka jawab abhi tuk typhoon sahib ne nahi diya baawjood iskey k onhien apney perhey likhey honey aur roshan khayal honey ka buhat ghamad hai aur aqul mund honey ka bhi ab yeh aisey aqal mund hien k baatien kertien hien bila soboot aur daleel.
1) mien ne likha thaa
mien pehley keh chuka hon k Munkireen hadeeth k kitney hee guroh hien jo aksar Farz Namazon ki tadaad mien bhi mutafiq nahi aur koi 3 maanta hai koi 4 aur koi 5....is k ilawa kitni aur baatien hien. ab bataaiye yeh log beemaar howey yaa nahi.
Is baat ka mr typhoon ne jawab nahi diya aur na hee daleel se mujhey ghalat sabit kiya. k munkir e hadeeth akhir muttafiq kiyo nahi namaazo ki tadaad k baarey mien balkey kitney tu is baat pe bhi muttafiq nahi k sajda aik kerien yaa 2, ruko kerien tu kis terha qayam mien kiya kerien? Aur kiya perhien koi qayam mien khaamoosh rehta hai koi rukoo kis terha kerta hai koi kis terha.. aur namaaz koi kis terha khatam kerta hai koi kis terha.. Hadeeth chor k yeh kisi nattejey pe kiyo nahi ponchaye, jub k inka dawa hai k hadeeth ki waja se ikhtalaf hien.
2) mien ne likha thaa
Mien uzbek/persian (ajmi) propaganda ka jawab apni pichlee post mien de chuka hon meger typhoon sahib ko taufeeq nahi howi k woh is ka jawab desaktey aur dobara wohee baat dohraa rahey hie....Mien ne insey poocha thaa k Zorostian k jo alfaaz onhon ne quote kiye they exactly woh kis taareekhey kitab k hawaley se hien meger hawala nahi diya. Pehlee Quran ki tafseer Farsi mien howi is k daawey mien koi hawala nahi (keh rahey hien Imam Ahmed bin Hambal ki tasaaneef dekhlo-yeh mosoof k nazdeek hawal hai)
Is ka bhi Mr. Typhoon ne koi jawab nahi diya na daleel se mujhey ghalat sabit kiya.
Mien ne sabit kiya thaa k hadeeth ka jama kerna arbi khalifa aur arbi aaima e deen se shoroo howa aur os k baad bhi hazaaroo ki tadaad mien arabi aaima is ka hissa rahey. Imam Malik, Imam Shafai, Imam Ahmed bin Hambal, Imam Darmi yeh sub Arabi they balkey Siha e Sitta k aksar Mudwineen bhi naslan Arabi hien aur Arabi qabeelo se onka taaluk hai who alag baat hai k onka maskan Maawara un Neher thaa onmien Persian nasal k tu sirf Imam ibn e Maja hien baki Persian koi nahi.
3) mien ne likha thaa
Is k ilaaawa mien pehley sabit kerchuka hon k yeh log jhoot aur exaggeration/mubaalga-araai buhat kertey hien... meree pichlee mail mien mien ne inkey is daawey k hadeeth 300 saal baad likhee gayee thee k jawab mien sabit kiya k yeh jhoot boltey hien aur yeh k hadeeth ajmiyo ki sazish thee aur arbiyo ka is se koi taaluk nahi thaa... meger Typhoon ne is ka koi jawab nahi diya....aur de bhi nahi saktey.InshaAllah.
Is ka bhi jawab nahi diya mien ne sabit kiya thaa k Imam Malik ki Mota 95-154 k dermiyan mudawwan howi Mr. Typhoon ne 300-350 saal kiyo kaha? Jhoot aur exaggeration se kaam kiyo liya? Daleel se mujhey ghalat sabit kerien.
4) mien ne likha thaa
Aap ne mutta k baarey mien likh k meree mushkil asaan kerdee... ab yeh sabit kerna asaan hogaya hai k aap khowamakhowa ka excitement paida kertey hien aur logo ko gumrah kertey hien. Pehley tu is baat ka hawaal dijiye k kis saheeh hadeeth mien hai k Allah k Nabi (sallal laahu alaihi wasallam) ne kub aur kis k saath mutta kiya?? warna aap jhotey/kazzaab.
Is kaa bhi Mr. typhoon ne koi jawab nahi diya. Kiya aap ne tasleem kerliya k aap jhotey/kazzab hien?
5) mien ne likha thaa
Mien ne poocha thaa k kin ajmi logo ne saazish ker k 300 saal baad hadeethien jama kin? jawab mien Haroon Rasheed kese hakim bana ki tafseel de rahey hien (poocho maghrib ka jawab mashriq ka) ab bataiye is ka Hadeeth e Rasool (sallal laahu alaihi wasallam) k jama kerney se kiya taaluk??? aap ne likha 300 saal baad ahadeeth ajmi saazish k zariye se jamaa howi mien ne hawala maanga tu janab hawaley mien 786 ki behes ker rahey hien. Sazish 300 hijri mien howi aur sazish ka sarghana kon thaa kis k saath mil k ki kon kon se ulema shamil they sabit kerien...(kiya khairul quroon islam k ibtidayee dor mien saarey k saarey ulema is saazish mien shareek they?) Mien ne aap se poocha thaa k iska ilm os dor mien kisi ko howa yaa nahi howa tu kisi tu naik dil/islam k hamdard (aap ki terha) ne apni kisi tasneef mien os sazish ka ziker kiya hoga... yaa aap k mutabik Allah k Rasool (salla laahu alaihi wasallam) k baad sub beimaan hogaye Naozobillah...
Is ka bhi koi jawab nahi diya aur is k ilaawa Mr. typhoon ne zorostian ka aik qool nakal kiya thaa os ka exact hawal dien jo abhi tuk nahi diya.
6) mere mazeed sawalaat they
-Wese Mr. Typhoon Quran mien Khatna ka ziker nahi kiya aap ki khatna howi hai? (aap ne jo maaney liye hien Quran k mukammal honey k is hisab se aap ko khatna nahi kerwani chahiye na hee apnee nareena olad ki khatna kerwaiyega.
-Quran mien Nikah ki bhi sarahat nahi aap bagher nikah k reh rahey hongey apnee biwi k saath, aur nikah kiya hai tu tareeka kahan se liya? Quran mien tu nahi.
-Wese merney k baad kafan dafan ki zaroat hai aap ko? wese mera tu khayal hai aap ko aik garha khod k os mien phaink diya jaai Quran se tu itna hee sabit hota hai? Quran mien dafan kis terha hona chahiye namaaz e janaza ki koi sarahat nahi.
-Humbistri k baad ghusal kertey hien aap? Tareeka kahan se liya ghusal ka? Quran mien tu nahi.... ab jo shuks saari zindagi ghusal hee na kerey wo Quran bhi perhey aur hadeeth bhi tu osey kiya samajh aayega......Ya Allah rehem farma.
In sawalaat ka bhi jawab nahi diya.
Bhaaiyoo insaaf kerna Mr. Typhoon ne jo baatien ki thin mien ne naasirf os ka daleel se jawab diya balkey onhien rationally ghalat sabit kiya.. aur insey mutaalbaa kiya k onhon ne jo ilzaamaat lagaye hien os ka soboot dien. Meger soboot abhi tuk nahi diye. Aur mazeed ilzaamaat aur shobhaat paida ker rahey hien.
Aap zara inka andaazey kalaam dekhien:
Or Bache zyada uchlo nahi, tumhari umar itni nahi ho gi jitni umar me ne tarikhe islam or deen-e-islam ki study me guzari he.
mr. Bukhari ne lakho ke hisab se hadees mustarad ki or apni kitab me shamil nahi ki. Sab se barha munkare hadees to wo khud hoe.
Mujhe batao ke unhe kiss ne authority di thi hadees ka thekedar banene ki, Allah ne koi parchi likh ke di thi?
Tumhare sath discussion na karne ki waja ye nahi mere chand,
Khud bukhari or muslim ne bohot si rawayat ko mustarad kar dia. Aaj agar koi kehta he ke falaa falaa rawayt bhi ghalt mansoob ki gai he to kya waja he tum cheekh rahe ho?
Tumhara taluk kis firke se he? zara batao, to me tumhe us firke ki poori tafseel se tareekh batata houn. Moo chupate phiro ge.
Kuch study karo, sabaz pagrhi wale kabootar.
opper diye gaye inkey quotes se asaani se andaaza hosakta hai k yeh kisam k aur kin logo mien uthney bethney waley aadmi hien,,, inka gharelo mahol kea hoga,,, inkey apney gher walo se taalukaat kese hongey. Aur ka kis khaandan se taaluk hai.
Allah apna rehem kerey....hum sub pe.
Aameen
such bolo
P.S. Mr. Typhoon kehtey hien k Allah k Nabi (sallal laahu alaihi wasallam) ne Hazrat Aaisha se shaadi 9 saal ki umer mien ki jo k jhoot hai jo Imam Bukhari ne Allah k Nabi pe baandha hai...
Ab sunye.... Yeh Hadeeth yaa yeh hakeeket sirf Imam Bukhaari ne bayan nahi ki balkey hadeeth ki kaseer kitabon mien isi umer ka ziker mojood hai... aur aaj tuk ummet mien kisi ne is pe aitraz nahi kiya... siwaye aaj kul ki paidawaar (minkireen e hadeeth) ne aur woh bhi is liye k in logo ka Quran aur hadeeth pe aitmaad bilkul bhi nahi aur Maghrib k mushtashrikeen k ilzaamaat ka jawab dene ki ehliyet na honey ki waja se mutlakan aik taareekhee hakeeket ka inkaar ker detey hien. Aap k khodsaakhta osool k hadeeth ko quran se parakhna chahiye k mutabik tu yeh hadeeth aap k nazdeek jhooti hai meger alhamdulillah hamarey nazdeek na sirf ye hadeeth Saheeh hai balkey kum omeri/balooghat se pehley ki shaadi k izhaar tu Quran bhi kerta hai.
Allah farmaata hai:
"aur tumhari mutal'liqa (divorced) aurtien jo haiz se na umeed ho chukee hon ager tumhien inki iddet k baarey mien shuk ho tu on ki iddet 3 mahiney hai aur inki bhi jinhien abhi haiz shoroo hee naho howa aur hamal wali aurton ki iddet waza e hamal tuk hai" 65:4
is ayet mien 3 terha ki aurton ki talak k baad ki iddet ka ziker hai
1) jinhien haiz aana bund hongaye hien (beemaari ki waja se yaa bari umer ki waja se)
2) jihien haiz aana abhi shoroo hee nahi howey.
3) hamal wali aurtien
ab is mien dosrey number pe on ka ziker hai jihien haiz shoro nahi howey yaani naa-baaligh... jo is baat ka soboot hai k quran naa-baaligh aurton k nikah pe pabandi nahi lagata.
ab batao Quran pe bhi aitraaz kerogey???
Dosra yeh k ager koi aitraaz kerey k naabaligh ki shaadi mien is ki merzi shamil nahi hoti... tu yeh baat sahee hai... k os ki merzi shamil nahi hoti aur ager naabaligh chahey tu baaligh hokey apnee merzi k mutabik nikah pe kaaim reh sakta hai yaa reh sakti hai aur chahey tu nikah fasakh kerwaley.
Aik aur baat k moa'hidaat aur aqad mien islam ne wilayet ki shart ko tasleem kiya hia, yaani wali naabaligh ki teref se moa'hida aur aqad ker sakta hai:
"phir ager qarz lene wala be aqal ho ya zaeef ho mazmoon likhwaney ki ehliyet na rakhta ho tu is ka walee insaaf k saath imla kerwadey" 2:282
Yahan be aqal se murad naa-baligh bhi hai, jis se yeh saaf zahir hai k wali naabaligh ki behtree k liye naabaligh k liye qarza le sakta hai aur moa'hida bhi ker sakta hai. aur yehee dalee lhai k ager walee chahey tu naabaligh ki behtree ko dekh k os ka nikah ker sakta hai.
Der asal yeh baatien os wakt samajh mien aayingey jub insaan magherib ki alooda fazaa aur mahol aur pressure se nikal ker khalis quran aur hadeeth k mahol mien sochey aur samjhey.
Baki rahee child sex ki baat tu yeh tumhari gandi/magherabi zehniyet hosakti hai jo moaamley ko is andaaz mien sochtey ho...Arab mien os wakt bachpan ki shaadi ko bora nahi samjha jaata thaa aur yeh nikah aam thaa aur is ka riwaaj thaa, hamarey yahan aaj kul isey maayoob samjhaa jaata hai. Meger aap ki ittela k liye arz hai k mukhtalif ilaakon mien hamarey yahan aaj kul Talaak ko bhi maayoob samjhaa jaata hai.. ager aaj kul ki zeheniyet aur mahol k hisaab se dekho gey tu hosakta hai k ye baat mayoob samjhee jai... meger Quran aur Hadeeth aaj kul k zehno k hissaab se chalney k liye nahi aaye they balkey zehno ko apney hisaab se chalaney k liye aaye they.
Beherhaal naabaaligh ki shaadi ki islam ne targheeb nahi dilaayee hai meger is ka jawaz sabit hai quran aur hadeeth se.
Is k ilaawa hamarey yahan aaj kul shaadi ko sirf apnee jismaani zaroriyat pora kerney ka sabeb samjhaa jaata hai (jaisa k typhoon sahib ka zehen hai) meger der hakeeket Islam ne shaadi ki buhat saaree hikmatien bayan ki hien.
1) olaad ka hosool
2) khandaanoo ki apas mien muhabbet aur rishto ko mazboot kerna.
3) buraayee aur fahashi se dori
4) Qalb aur zehen ki taskeen
7) deenee okhowwat ka kiyaam aur os mien izaafa.
Nikah aik aisee cheez hai jis se kai terha k deenee, moaashi aur moaasharti fawaid hasil kiye jaasaktey hien jo baaz dafa olad k hosool se bhi berh hosaktey hien.. Aap dekhiye Allah k Nabi (sallal laahu alaihi wasalam) ne kitney nikah kiye, kitni umer mien kiye aur kin kin se kiye aur kin kin makasid se kiye.. jis se yeh khob zahir hojata hai k nikah mehez jinsi khowahish k porey honey ka naam nahi balkey is se bhi buand ter makasid hosaktey hien.
Jub makasid mukhtalif ho saktey hien tu zahir hai k umer mien bhi isi munasibet se farak hosakta hai... baaz dafa kisi buland ter maksad k liye kisi borhe/old aged aurat se aik jawan shaadi kersakta hai ya aik jawan aurat kisi boreh se shaadi kersakti hai... tu kiyo na aik naa baaligh aurat se aik jawan mard yaa aik naabaligh larkey se aik jawan aurat shaadi kersakey?
Ager hum inhi bulund ter makasid ko saamney rakhien tu hamien nazer aata hai k is shaadi se Allah taalaa ne Hazrat Aaisha (raziallahu anha) se aik azeem kaam liya, aur yeh baat sabit hai k Hazrat Aaisha hee hien jo Siddiqa e Kainaat k laqab se bhi mash-hoor hien k jihon ne Allah k Nabi (sallal laahu alaihi wasalm) k gher k ander k maamolaat se mutalik musalmaano ki rehnomaayee farmayee aur isi terha onhon ne buhat se mowakey pe quran ki Nabwi tafseer se logo ko agah kiya kiyo k aksar aur beshter wo wahee k nozool k mokey pe khod mojood hoti thin. Aur chon k inki shaadi bachpan mien hogayee thee Allah k Nabi (sallal laahu alaihi wasallam) se is liye woh Allah k Nabi (sallal laahu alaihi wasalam) ka baad bhi kaafi arsey tuk dunya mien rahin aur musalmaano ki rehnomaayee farmayee.... (ye Allah ki tadbeer thee aur Allah jaisey chahey tadbeer kerta hai).
Hz. Aisha ki umar 48 baras thi or wo ek bewa thi jin ke khawand hz. ibn Saleh ek jang me shaheed ho chuke the, or wo Hz. Abu Bakar ki beti nahi balke un ki behen thi. Huzoor ne jab un se shadi ki to un ki umar 52 or Hz. Aisha ki 48 baras thi.
Ibn isaac ne huzoor pe biography likhi jis me us ne bakwas ki ke Hz. Aisha ki umar rukhsati ke waqt 9 saal ki thi.
Turkey ke Istanbul museum me kitab outplace ki hoi he, jo ibn Isaac ki likhi hoi biography se 150 saal porani he or ek arab ki likhi hoi he us me Hz. Aisha ke mutalik likha he jo me ne upar darj kia he.
Aap ne Hazrat Aayesha ko jo Hazrat Abu Baker Siddique (raziallah u anhu) ki behen kerardiya hai... tu baraye meherbaani yeh gappien apas mien lagaya kerien..... 1400 saal ki tareekh mien jis cheez ka koi ziker nahi na hee zaeef riwayat mien na hee saheeh riwayat mien na kisi taareekh ki kitaab mien... aap woh baatien ker rahey hien.. aur hum se keh rahey hien k hum aap ki baat ki bila sanad baat ko maan lien? (ager sachey ho tu daleel lao. (al Quran) hawala aisee kitaab k de rahey hien jis k naa musannif ka naam aap ko maaloom hai aur kitaab k wojood ka khod hee inkaar ker rahey ho, haan yeh pata hai k likhney wala arab thaa aur ibn isaac ki biography se 150 saal pehley yeh kitaab likhi gayee thee.... (tumhien neend ki sakht zarorat hai,, aur haan soney se foran pehley khaana mut khao warna aisey hee ultey seedhey khowab aayengey)
such bolo