Compare it with MQM - Are they MQM people?

Jury

Chief Minister (5k+ posts)
such bolo said:
Bismillah ir Rahman ir Raheem

Mr. Jury I would request you to please stick to your favorite issue which is "protecting every move of MQM" and don't get involved in Islamic issues, it is very easy to paste a youtube link but have you ever thought who you are quoting to??? This guy who is sitting in "Choraha" and the anchor person Hassan Nisar are "REJECTOR OF HADEETH" they are follower of Ghulam Ahmed Pervaiz and Abdullah Chakralwi, Aslam Jairaj pori and Jawaid Ahmed Ghamdi.
Do you know these people? they are normally against offering Salat, Roza, Huj etc. even they say that Alcohol is not prohibited moreover they are against almost all Islamic Sha'air (Symbols). They say that we follow Quran and Quran is enought for us and We dont need hadeeth (sayings, actions and approvals of Prophet Muhammad (sallal laahu alaihi wasallam).
Please beware of these people and dont quote them.
Thanks.
such bolo.
such bolo said:
Bismillah ir Rahman ir Raheem
Do you know these people? they are normally against offering Salat, Roza, Huj etc. even they say that Alcohol is not prohibited moreover they are against almost all Islamic Sha'air (Symbols). They say that we follow Quran and Quran is enought for us and We dont need hadeeth (sayings, actions and approvals of Prophet Muhammad (sallal laahu alaihi wasallam).
such bolo.

Don't consider yourself authority on ISLAMIC DEBATE. Those people who are issuing JANNAT KI PARCHI, to suicidal attackers, also thinks that they are authority.
Not just accusing one can't prove anything. Send some thing conclusive.
How can a Muslim is against offering SALAT, ROZA, HAJJ and other basic fundamentals of ISLAM?
 

Typhoon

Senator (1k+ posts)
Tehreek-e-taliban pakistan koi islamic tehreek nahi he or ye bike hoe tajik or uzbek he jo Pakistan ki ryasat me inteshar phelane dakhil kye gae he.
CIA, Mossad, MI6 or old fellow RAW sab hatkande istemal kar rahe he Pakistan me inteshar phelane or dunya ko ye bawar karane ki koshish ki ja rahi he ke Pakistan me dekho Taliban zor pakarh rahe he or ye mulk kamzor ho chuka he ab hume kuch karna ho ga.
Altaf mian ko is baat ko mazid project karne ka task diya gaya he jo is issue ko apni syasi dukan chamkane kelie cash karwa raha he.
Karachi me nasli bunyado par fasaad karana to purani game he is ki.
Asal me Karachi me pakhtono se khaif he bechara or urdu speakings ko jhoot moot ka fear factor creat kar ke vote bana raha he.
Altaf is playing on foreign tunes.
karachi me nasli fasad karane ki sar torh koshish ki ja rahi he. Karachi strong to Pakistan strong or agar Karachi kamzor hoa to Pakistan kamzor ho ga.
May god give us wisdom enough to read between lines.
 

Typhoon

Senator (1k+ posts)
Rahi baat Quran or hadees ki to iss baat se koi musliman ka bacha ikhtilaf nahi kar sakta, ke Quran Allah ki akhri ilhami kitab he. Rassol ne jo kaha or kya wo isi last code of life ki roshni me kiya.
Ahadees tabe he Quran ke. Hadees ko parakhne ka parameter Quran-e-hakeem he. Agar koi hadees Quran ke munafi he to wo jhooti rawayt he, agar koi hadees Nabi akhri ki seerat o kirdar ko daghdar karti he to wo jhooti he.
Agar koi hadees Quran ke muqable me koi or hukm deti he to wo jhooti he.
Bohot si esi ahadees he jo Quran se mutabiqat nahi rakhti.
For example:
Quran me zana ki saza so se pachas korhe he, lekin bukhari me sangsaari, yani pathar mar mar kar saza-e-mout dena he.

Sawal ya banta he ke jab Allah subhan o wataala ek hukm de rahe he to Rasool kese ek alag baat keh sakte the?
Ye baat huzoor ne nahi ki balke 300-350 sal bad jo uzbek or persians ne kitabe likhi or keh diya ke ye Mohammed-e arabi ne kaha tha, unho ne ghalti ki. Danista ya phir na-danista tour pe.
Muslim tareekh parhte hoe hume ye andaza hota he ke kiss tarha faris fatah karne ke baad zoroastrians ne qasam khai thi ke faris se arab islam ko nikal phenke ge or faris me ek persian version ka mazhab raij kare ge.
Jisko Allam Iqbal ne ajmi islam or ajami sazish se tabir kya he.
Please read and do some research on this topic. You will be amazed.
Arabs ne jab roman empire or persian empire fatah kya to un ke paas Islam sirf Quran me moujood tha. Jab unko Quran ke ilawa kisi or text ki zarorat nahi mehsso hoi to bukhara ke bukhari or rest of those persians ko kya zarorat thi ke deen me izafa kare?
Ye sakht biddat or shirk he ke Allah ke apne kalam ke muqbil hum ne insano ki likhi hoi kutb ko sanad bana lia he.
Badqismati se aj ka har firqa apni apni ahadees ko mustanid manta he or khalis Quran ko nakafi gardanta he. Is ki waja koi or nahi balke ye khatra un ko lahiq he ke agar Ummat Quran ki taraf lout gai to un ki masjid numa dukane or busyness numa mazhab ghate me parh jae ga.
Allama Inayat`ullah Mashriqi ne kya khoob kaha he, Mullah ka islam istanja karne wale lote me band he.
Keep on "patriot" you are very right.
"sach bolo" ap beshak islam ke shedai ho, Allah apko toufeeq de ke mazhab ke andhero se bahar a kar Deen ki roshni bhi dekhe.
Is keliye Quran ka mutalea karo or Islam ki mustanid tareekh parho.
Aaj masjid-e-dharar to har kone me milti he, hume wo masjid chahye jahan khalifa-e-waqt beth kar Islamic welfare state chalae.
Read reconstruction of religious thaughts in islam, by Allama Iqbal
Tazkarah vol.1 and vol.2 by Allama Mashriqi
Shahkar-e-risalat and mafhoom ul Quran by Allama Parwez

Stay united and firqa parasti or shakhsyat parasti se parhez kijye kionke ye do shirk ki khabees tareen qisme he, in se barha gunnah or jurm koi nahi.
 

such bolo

Chief Minister (5k+ posts)
Bismillah ir Rahman ir Raheem,

Mr. Jury just read replies from patriot in the same thread where in he has accepted that the meaning of salat is different then the general understanding of muslims worldwide (they are against offering 5 time prayers).

Firs of all please keep one thing in mind that all saheeh ahadeeth of Rasullullah (sallal laahu alaihi wasallam) are Hujjet (authority)there is not any saheeh hadeeth which is against Quran and if someone says that saheeh hadeeth is against Quran then he should get his mind checked up or get proper knolwedge.

1) Mr. Typhoon aap ka criteria "Hadeeth ko parakhney ka perametere Quran hai" ilmi lihaaz se ghalat hai.

2) Aimma e Hadeeth, Muhadditheen, aur hazaaroo aur laakho ki tadaad mien jin ulema ne is Ilm ki khidmet ki aur ahadeeth jama ki aur hazaaron nahi balkey laakhon kitaabien muratteb kin unkey nazdeek hadeeth k saheeh honey ka perameter Quran nahi balkey onki asnadi (chainwise) haisiyet hai ager koi hadeeth apnee sanad k hisaab se saheeh hai tu phir woh Saheeh hee shomaar hogi aur os hadeeth ka quran se mukhalif hona naamumkin hai.

3) Hadeeth ka saheeh hona yeh sabit kerta hai k yeh Qol e Rasool (sallal lalahu alaihi wasallam) hai tu phir kiya Allah k Nabi (sallal laahu alaihi wasallam) Quran k khilaaf keh saktey hien??? bilkul nahi. Haan yeh hosakta hai k hamari Nafs Peresti, Meghrib peresti aur ilm e hadeeth aur deen se dori hamien yeh baawer keraaye k yeh Quran k khilaaf hai aur woh baat hamien hazem na ho alag hai meger Qol e Rasool Quran k khilaaf nahi hosakta.

4) Aik misaal se samjhiye: Bil farz aik shaks Allah k Nabi (sallal laahu alaihi wasallam) k zamaney mien uthey aur yeh kehey k mien Allah k kalaam (yaani Quran ko maanta hon) aur Muhammad (sallal laahu alaihi wasallam) ki os baat ko maanta hon jo Quran k mutabik ho tu zahir hai woh shuks derhakeeket Mukaam e Rasool ko nahi jaanta aur gustaakhey Rasool (sallal laahu alaih wasallam) bhi hai or is shuks ki misaal is shuks k jaisee hai jo aaj k dor mien yeh kahey k mien os hadeeth ko maano ga jo Quran k mutabik hogi. Kiya Allah k Nabi (sallal laahu alaihi wasallam) Quran k khilaaf keh saktey hien? bilkul nahi tu phir yeh kehna/osool k Hadeeth Rasool ki sehet ka criteria Quran hai ilmi lihaaz se aik buhat bari ghalti hai aur derhakeeket iftera hai Allah k Nabi pe. Jub Hadeeth saheeh sabit hojai tu woh quran k khilaf nahi hosakti. haan hamari samajh daani mien aik cheez na aaye tu yeh hamari kotaahi hosakti hai jo Ulema e Rabbaniyeen aur Ahle Ilm se samjhi jaa sakti hien (Ulema e Ahle Hadeeth).

Mr. Typhoon wrote:
Sawal ya banta he ke jab Allah subhan o wataala ek hukm de rahe he to Rasool kese ek alag baat keh sakte the?
Ye baat huzoor ne nahi ki balke 300-350 sal bad jo uzbek or persians ne kitabe likhi or keh diya ke ye Mohammed-e arabi ne kaha tha, unho ne ghalti ki. Danista ya phir na-danista tour pe.
Muslim tareekh parhte hoe hume ye andaza hota he ke kiss tarha faris fatah karne ke baad zoroastrians ne qasam khai thi ke faris se arab islam ko nikal phenke ge or faris me ek persian version ka mazhab raij kare ge.
Jisko Allam Iqbal ne ajmi islam or ajami sazish se tabir kya he.

ab jo log neutral hien woh zara opper k quote ko perhien is quote se jo cheezien wazeh hoti hien woh yeh hien.

1) Mr. Typhoon ka Ilm e Hadeeth pe mutaalaa bilkul kum hai.

2) jo kuch onhon ne perha hai sirf aur sirf on logo ko perha hai jo omooman Hadeeth ka inkaar kertey hien. Mr. Typhoon jo Alfaaz aapney Zoroastrians k quote kiye hien yeh exact alfaaz kis tareekhee kitaab mien hien? aur in alfaaz ka Tadween E Hadeeth ka Ajmi Sazish honey se kiya taaluk? Aap ki khayal mien hazaaron aur laakho ki tadaad mien ulema/muhaditheen (Quran kehta hai k logo mien sub se ziyada Allah se derney waley Ulema hotey hien yaani ulema e huq) yeh saarey k saarey Zorostians k agent they? Imam Abu Haneefa, Imam Bukhari, Imam Muslim, Imam Malik, Imam Ahmed Bin Hambel, Imam Shafayee, Imam Yousuf, Imam Muhammad, Imam Sufyan Sori, Ali bin Madini, Imam ibn e Sireen, Ataa, Mujahid, Imam ibn e Qayam, Imam ib Taimiya, Hafiz Hajer, Ibne kaseer aur pata nahi kitney hee naam hien jo pichley 1400 saaloon mien guzrey yeh sub is Zorostians k agent they?

Mien kehta hon kahin aap danista yaa naa danista tor pe Zoroastian k agent tu nahi? kiyo k aap bhi Ajmi hien....... Arabi tu nahi.

3) Munkireen e Hadeeth aam tor pe jhoot boltey hien aur ilm na honey ki waja se betuki baatien kertey hien. Maslan Mr. Typhoon likhtey hien k yeh baatien 300-350 sall baad likhee gayee (yaani hadeeth), is terha Mr. Typhoon Hadeeth jamaa kerney waley Muhaditheen jin ki Deen k liye khidmat aur onki kutub aur Taqwa aur perhaiz gaari musallam hai onhien aik sazishi bhi karar de rahey hien aur jhootey bhi. (Nauzobillah) aur is sazish ka inkey paas kiya soboot hai? Ager tu Mr. Typhoon aik bhi taarikhee hawala de dien jis se yeh sabit hota ho k yeh aik Ajmi sazish thee aur is sazish mien kon kon sahreek howey? kis k kehney pe howey aur aayaa is saazish k os wakt kisi ko ilm howa bhi yaa nahi? os dor k hazaaron aur laakhon ulema ki laakho tasaaneef mien is saazish ka koi ziker hai bhi yaa nahi? yaa aaj 1400 saal baad Mr. Typhoon aur inkey be-ilm jatthey ko is saazish ka ilm kese how hai?.
Yeh khod kahin deen k khilaaf saazish tu nahi ker rahey?

4) To prove that Mr. Typhoon is completely wrong:

-Ahadeeth ko hifz kerna aur mehfooz kerney ka amal Allah k Nabi (sallal laahu alaihi wasallam) k dor mien hona shoro hochuka thaa (khod Allah k Nabi (sallal laahu alaihi wasallam) k hukum se).... Sahaba (rizwanullah e ajmaeen) ne khod ahadeeth riwayat ki hien.

-Hukumati serperesti mien aur Hukumati satah pe bakaaida tadween ka aaghaaz Omer bin Abdul Aziz (Rahmahullah) k dor mien inkey hukum se howa thaa Omer bin Abdul Aziz khalistan Omwi aur Arabi Khalifa they aur onki islam k liye khidmaat na kabil e bayan hien woh aik muttaki aur intihaaye naik dil hukmuraan they. yeh konsi ajmi sazish hai jis ki sarkaari serperesti aik Arabi haakim ker rahey hien.

-Is k ilaawaa insey pehley aur baad mien aaney waley tamaam k tamaam Hukaam ne is ilm ki serperesti ki kiyo k bil aakhir woh musalmaan they aur os wakt kisi bhi terha se Islam ki thori buhat khidmat kerney ka jazbaa aaj k Muslim hukmaraano se ziyada hee thaa.

-Imam Malik (rahmahullah) jiin ka taaluk Madinah se thaa aur Arabi bhi they ne sub se pehlee aik zakheem hadeeth ki kittab tadween ki woh hai Mota Imam Malik (jo aaj bhi hamara aik keemti ilmi sarmaaya hai) aur inki taareekh paidaaish 95 hijri hai. (ab bataaiye k jo Mr. Typhoon ne likha hai k 300-350 saal baad yeh saazish shoroo howi kahan tuk durust hai? ghaliban Imam malik ki wafaat 154 mien howi ager mien bhol nahi raha tu. Allah k Nabi (sallal laahu alaihi wasallam) ki wafaat k foran takreeben 100 saalon mien aik zakheem kitaab ka manzar e aam pe aana is baat ka soboot hai k Hadeeth jamaa kerney ka kaam buhat pehley shoroo hochuka thaa na k 300-350 saal baad jaisa k Mr. Typhoon ne mubaalgha araaye kee hai.

derasal in Munkireen e Hadeeth k paas Ilm e Hadeeth nahi aur naa hee woh is tadween ki poori tareekh se mukammal wakif hien, yeh log makhsos Munkireen e Hadeeth ki Mubalgha araaiyoo wali kitaabien perh k behes kerna shoro kerdetey hien aur bholey bhaaley musalmaano ko jihien namaaz bhi saheeh perhney nahi aati inhien gumrah kerna shoro kerdetey hien, balkey Ilm e Hadeeth se nafret k jazbaat hien jin ki ro mien jub yeh beh jaatey hien tu phir kisi gutter mien jaa k hee girtey hien aur phir jub bahir nikaltey hien tu saaf sothrey logo ko ganda bhi kertey hien.

Mien ne yeh sakht zabaan is liye istimaal ki hai k mien inhien buhat achey tareekey se jaanta hon yeh log Hadeeth doshmani mien buhat aagey hien. Kabhi ye log kehtey hien k jo Hadeeth Quran k mutabik hogi woh maney gey aur kabhi kehtey hien k Hadeeth jama kerna yeh Ajmi saazish thee.. Subhanaallah ager ajmi saazish thee tu phir mutlakan inkaar kerdo, yeh kehna k onhien maaneygey jo quran k mutabik hogi tu sirf aik heela howa. aur inkey Nafs pe jo Hadeeth bhaari hoti hai osey foran Quran k khilaaf keh detey hien aur os k liye nayee nayee baatien ghartey hien aur bahaaney taraashtey hien. Allah inkey shur se hamien bachaaye.

Arabs ne jab roman empire or persian empire fatah kya to un ke paas Islam sirf Quran me moujood tha. Jab unko Quran ke ilawa kisi or text ki zarorat nahi mehsso hoi to bukhara ke bukhari or rest of those persians ko kya zarorat thi ke deen me izafa kare?
Ye sakht biddat or shirk he ke Allah ke apne kalam ke muqbil hum ne insano ki likhi hoi kutb ko sanad bana lia he.
Badqismati se aj ka har firqa apni apni ahadees ko mustanid manta he or khalis Quran ko nakafi gardanta he. Is ki waja koi or nahi balke ye khatra un ko lahiq he ke agar Ummat Quran ki taraf lout gai to un ki masjid numa dukane or busyness numa mazhab ghate me parh jae ga.

Aap ink munkireen e hadeeth ki zabaan daraazi dekhiye. Imam Bukhaari (rahimahullah) jo aik buhat barey Muhaddith they aur onka ummet pe aik ehsaan hai k onhon ne Saheeh Bukhaari tadween ki aur Ahlusunnah ka her goroh/jamat Brelvi/Deobandi/Ahle Hadeeth/Hanfi/Shafaee/Hambli/Malki sub k sub is baat pe muttafiq hien k Quran k baad saheeh tareen kitaab is zameen pe Bukhaari Shareef hai. Imam Bukhari (jin pe karoro rehmatien naazil hon aur onki mukhaalfeen pe beshumaar laantien naazil hon) ne aik aik hadeeth apnee Saheeh mien shamil kerney se pehley 2 rakat nafal perhey aur aik aisee kitaab ummet k samney rakhdee jis pe saari ummet muttafiq hogayee. 1400 saal mien kisi ne bukhaari pe majmoyee satah pe koi ongli nahi uthaayee aur aaj yeh munkireen e Hadeeth jinhien Maghribi Riwayat achee lagti hien aur Maghrib parest hien inhie Imam Bukhaari ki shaksiyat mien aik Islam doshman shuks nazer aata hai. Naaozobillah.

Yeh kehtey hien k her shuks apnee apnee hadeeth ko saheeh maanta hai mien kehta hon ko jihalat ka tu koi ilaaj nahi jub tuk k ilm hasil na kiya jaaye aur aik qol mash'hoor hai k Jihaalat ka ikraar aadhaa ilm hai. Yaani yeh kehna k mien nahi jaanta yeh aadhaa ilm hai... Aaj hum log yeh ikraar kerney k bajaye idher odher ki baatien sun k aur aik do choti moti kitaabien perh k her kisam ki behes kerney pe oter aatey hien.

Allah k waastey is ummet ko gumrah na kerien. Ahaadeeth bilkul mehfooz hien. Masla yeh nahi k her koi apnee ahadeeth ko saheeh samjhta hai balkey asal masla yeh hai k firqa wariyet ki waja se hum hakeeket/ilm se dor hien aur jo jis firqa se taaluk rakhta hai osi ko saheh samjhta hai (bilkul osi terha jis terha yeh munkireen e hadeeth).

Mere Dawat hai tamam mualmaano aur is post ko perhney walo k liye aaiye Deen e Nabwi (sallal laahu alaihi wasallam) ki teref kholey zehen se aur positive mind k saath Tehkeek kijiye Quran ka mutalla kijiye Ahadeeth ka mutalla kijiye saheeh ahadeeth pe amal kijiye aap dekhien gey k aap her firq se dor ho k aik Allah aur aik Nabi (sallal laahu alaihi wasallam) k maaney walon mien se hojaingey. Hamarey masla huq ko tasleem na kerna hai aur aik teref ki rai/opinion le k faisla kerna hai.

Mien aik aur farz bhi apna poora kerdon aur aap ko yeh batadon k pehley huq ko pehchaaniye phir aap ko huq walo ki pehchaan khod ba khod hojaigee...Jaaiye Deobandi Ulema k paas, Brelvi Ulema k paas aur Ahle Hadeeth ulema k paas insey poochiye sawal kerien aur dekhien ko khalistan Quran aur Hadeeth ki teref bolata hai jis ki dawat Quran aur Hadeeth ki khalis dawat ho osi k saath hojaiye aap inshaallah Qayamat waley din Quran aur Hadeeth pe chalney walo k saath hongey yaani (Allah k Nabi (salla laahu alaihi wasallam) Sahaba (rizwanullah e ajmain), Tabaain waghairahum)

Allah Hamien gustakhe Rasool honey se bachaye aur huq ki perwi kerney ki taufeeq ataa farmaye.

aameen.

such bolo.

P.S. Jahan tuk zaani mard aur aurat ko 100-100 korey lagaaney ki baat hai tu yeh ayet ghair shaadi shuda zani mard aur aurat k liye hai aur shaadi shoda zani k liye sangsaar ka hukum hai jo ahadeeth se sabit hai aur ummet ka is pe ijma hai Sahaba ne is pe amal kiya aur Sahaba k baad aaj tuk is pe ijma hai. Mr. Typhoon ko maghrib paresti ki waja se yeh hukum quran k khilaaf nazer aat hai. Hamarey nazdeek hadeeth bhi Allah ki teref se wahee/revelation hai aur Quran bhi, aik hee hakim k 2 hukmon mien tafreek nahi ki jaasakti nahi isey izaafa samjha jaayega. Allah chahey tu apna aik hukum quran mien de sakta hai aur dosra hukum Hadeeth k zariye Allah k Nabi (sallal laahu alaihi wasallam) k alfaaz se yaani Qol e Rasool k zariye, hukum bilk aakhir Allah ka hai. Jaisey hamien Wodhoo ka tareeka tu Quran mien milta hai meger Namaz perhney ka nahi. Zakat ka hukum tu quran mien hai meger nisab nahi, Huj aur umrah ki farziyat tu Quran mien hai meger tareeka nahi. Ab koi pagal uthey aur kahey k wodhoo aur tayammum ka tareeka kiyo quran mien hai aur namaaz ka nahi is liye mien sirf wodhoo keronga namaaz nahi perhonga. Tu aisey shuks per jihaalat k dorey pertey hien aur woh jihaalet ka mareez hai aur Hadeeth ko revelation nahi maanta yaa Hadeeth doshmani kaa shikaar hai aur sub se berh k aik mareez hai jis ka ilaaj zaroori hai. Hamien Quran mien namaaz perhney ka aam hukum diya gaya hai meger baaz moko pe namaaz mien choot dee gayee hai jaisey Haaiza (aurat k makhsoos ayaam) ko choot hai k woh namaaz na perhey aur jub tuk periods hien naaaz se dor rahey. Eidien ki namaz, Soraj aur Chaand ki Girhan k wakt namaaz bhi Quran mien nahi tu kiya yeh Quran pe izaafa hien?

Is k ilaawa aur buhat se shobhaat hien jo yeh minkir e hadeeth uthaatey rehtey hien, hamien in munkireen se bachna chahiye. Allah hamari hifaazat farmaye. Aameen.
 

Typhoon

Senator (1k+ posts)
Sach bolo aap ne kaha ke hadees ko parakhne ka parameter Quran nahi ho sakta. Me nahi balke har sacha muslim aap se ikhtilaf kare ga.
Me esa sochne ki jasarat bhi nahi kar sakta. Mere nazdik haq or batil ke darmyan faisla karne wala Allah ki akhri kitab he.
aap apne mazhab pe karband raho, good luck!
Quran ek zabta-e-hayat he or khud Quran ke alfaz me Quran ek roshan aur mukammal kitab he. Mere lie Allah ki ye garanti kafi he. Jo log Quran ko namukamil samajhte hein, or ye samajhte he ke Allah ne adhora Quran bheja he, wo mere nazdik mushrik hein.

Jis tasalsul ko sach bolo sanad bana rahe ho, zara ye bhi socho ke us tasalsul ke har fard ko zati tor pe koi nahi janta. Us tasalsul me bohot si ghaltia hoi he, jin ki saza hum sadio se bhugat rahe hein, Quran se doori ki shakal me.
Jin logo ne uzbek persians ki kitabo ko Islam ki sanad banaya hoa he wo unhi andhero me hein jin me christians or jews ghoom rahe hein, apni ilhami kitabo me alteration karne ke bad.
Quran ki khushkismati ke Allah ne apni is akhri kitab ki guaranti khud utha rakhi he, warna humara priesthood ise kab ka change kar chuka hota. Is ko to change kar nahi sake, lekin is ke muqabil me apni likhi hoi kitabe ke anbar laga die. Or sada musalman in khurafat me kho gaya.
Haqeeqat khurafat me kho gai
Ummat rawayat me kho gai
Zoroastrian influence ki tareekh parhe kelie khud inhi "ulema" ki kitabe parh lo.
Tabri bin jareer jis ka sal naam Rustam Tabri tha us ki liksi hoi "umm`ul tareekh" english transaltion "Mother of all histories and kings" parho.
Quran ki pehli tafseer farsi me likhi gai, jis me Qurani terminology ko majoosi terminology ka jama pehnaya gaya, us ka ehwal Imam Hanbal ki tasaneef me mil jae ga.
Me ne hadees ka kaafi gehrai me mutalea kya he, jis me bohot si anti-islamic baate pai hein.
Badbakht Salman Rushdi ne jo bakwas likha wo ek ek bat humari hadeeso ki kitabo me milti he, or muslims sadio se unhe gale se lagae phir rahe hein. Satanic verses ka waqya jis waqe par us ne apni kitab ka naam rakha, wo hume bukhari me milta he. Hadees ke mutabiq Huzoor ne mutta bhi kya. Naozobillah.
Ahadees ki total teidad 1.4 million he.
Sirf Sach Bolo nahi balke har wo jo bhi hadees pe andho dhund iman rakhta he, us ne 1.4 million ahadees nahi parhi. Mera mashwara Sach bolo se he ke pehle un ka mutalea karo take jis cheez ko itna defend kar rahe ho, kamazkam us cheez ka nature to maalom ho tumhe pehle.
Apne firqe ki soch se nikal kar Quran ki khuli fiza me sans lo, kionke Allah ke huzoor tum is baat pe judge kie jao ge ke Quran ke mutabik zindagi guzari ya nahi, ye nahi poocha jae ga ke kis firqe se taluk tha tumhara.
Jitni umar me ne islam ki study me lagai he, shaid utni aap ki poori umar bhi na ho. Is lie mazeed is bare me discussion karne ka koi faida nahi, or ye jo aap ne itna lmba chorha likha he, in sab baato or taweelo se me achi tarha waqif ho, me khud bhi inhi andheri galio se guzar kar roshni tak pohncha houn.
Meri Allah se aap keliye dili doa he, ke aap is pagan persian influence se nikal kar Quran ki asal shakal jo first century me islam ki thi, us se shanas houn.
Mazeed behes is mamle me nahi karna chahta, kionke aap ki study Islam ke mamle me mehdood he or apne firqe ki char diwari se bahir aap nikalna nahi chahte. Baat bhens ke age been bajane ki ho jae gi, jis ka mujhe koi shouq nahi.

Allah hum sab ka hami or nasir ho, or hume toufeeq de ke Rasool Allah ki sunnat ke mutabiq sirf or sirf Quran ke mutbik zindagi guzarne or nizam-e-ilaha qaym karne ki ehliyat de, jo state of Madina me nafiz tha, naa ke jo dour-e-malokiyat me tha.

P.S
Jo naam tum mang rahe ho un sazashi unasir ki jinho ne islam ko derail kya, to wo naam thousands ki shakal me he, jin me har firqe ka baani bhi he. Dor-e-malukyat se le kar ab tak jinho ne Quran ke mutwazi nazrya Islam ke naam par thonsa wo bhi.
Ek naam sirf tumhari tasali kelie: Khizraen, jo pehle abbasi khalifa ki persian maa thi.
Harron rasheed ke baap ki do biwya thi, ek arabi muslim ourat or dosri ek persian zoroastrian ourat Khizraen. Jab us ne apna janasheen namzad karna tha to us waqt vote karaya gaya ke un dono ke beto me se kon us ki jaga le ga. Chonke faras me persians zyada the isi lie awam ne persian ourat ke bete ko select kia. 786 me haroon Rasheed takht pe betha, us ke baad big scale level pe Islam ko persian jama pehnaya gaya. 786 ek symbo ban gaya, ke jab persian took back their influence over zameen-e-faras. Or sub-continent ke muslims aaj tak 786 ko ek holy figur ke tour pe likhte hein) Arabs hanaste he humari is harkat pe.
In me ek naam majoosi priest Khalil ka he, jis ne Qurani terminology ko zoroastrain rang dya. Jese Salat namaz ban gai, zakat charity ban gai, soum roza ban gaya, Allah khuda ban gaya, taqdeer qismat ban gai, waghera waghera.
Ye esa hi he ke hum Sib-continent me muslim convert hone ke baad Qurani terminology ko apni sabika hindu terminology me badal dete.
Salat pooja ban jati, zakat dyan ban jati, soum warat ban jata, Allah ishwar ban jata, taqdeer bhaag, shobha, rekha me tabdeel ho jati, waghera waghera.
Terminology sirf alfaaz nahi hote, balke in me ek concept pinhaa hota he. Alfaz badalne se in ka poora tasavur badal jata he.

Or tum ne misal di he ke agar koi shakhs agar huzoor ko kehta ke me apki sirf us baat ko mano jo Quran ke mutabiq ho to wo gustakhe rasoll he.
MERE BHAI GUSTAKHE RASOOL WO HE JO YE KEHTA HE KE HUZOOR KABHI ESI BAAT BHI KEH SAKTE THE JO QURAN KE KHILAF HO.
Hz. Mohammed pbuh kabhi bhi Quran se ikhtlaf wali baat kar hi nahi sakte the, is lie jo hadees Quran ke khilaf he, wo huzoor ne nahi kahi balke likhne walo ya rawayt karne walo ne ghalti ki he.
Rahi zana ki saza to pehle Quran parho, lagta he Quran kabhi khola bhi nahi tum ne.
Quran me he ke jis mard or ourat par zana sabit ho jae un ko so so korhe lagae jae, jin ki parvarish islami iqdar me nahi hoi (nae musalman) un ki saza adhi, yani 50 korhe. Dekho 24:4
Allah ne is saza ke mamle me shadi shuda ya gher shadi shuda ki tafreeq nahi ki. Koi insan is me tabdili karne ki jurrat kese kar sakta he?
My friend you have to understand how we msulims have made changes in god given laws. We have done same things which was done by jews and christains.
aap ko apke firqe ka mazhab mubarak ho, mere lie Allah, us ka akhri rasool or Allah ki akhri kitab kaafi he.
Tumhari tasali kelie: Ahmed Raza brelvi angrez ka agent tha, jo sari zindagi un ki tankhwa khata raha. Brelvi firqe ki "faraez-e-faridya" utha ke parho jis me unho kalma bhi alag se banaya hoa he, la ilaha ilallah chishti rasool allah. (astaghfirullah)
Ek english kitab he " Muhamedan secterianism in british india" jo us waqt ek british state ifficer ne likhi, likhta he " we had our two men in british india. We projected them after the mutiny. They were Ahmed Mirza from Qadyan and Ahmed Raza from Braley."
Batata chaloun ke Ahmned Raza brelvi shagird tha Mirza Qaydani ke bhai ke, or kai saal taalim us se hasil karta raha.
To mister or miss Sach bolo, ye sab khurafat tumhe mubarak houn. Agar inhi kuffar ke ijma ko tum saboot samjhte ho to ye tumhe mubarak ho. So jhoote mil ke jhoot bole to bhi jhoot jhoot hi rehta he. Sanad nahi ban jata.


No further discussions wanted with you unless you first study the Quran.
 

patriot

Minister (2k+ posts)
jazbaedil bhai Ap nay kaha k :
Aik aur baat ye ke, mujhe nahin maloom keh Quran main kahin ye likha hai k Quraan main har baat ki TAFSEEL moujood hai. barah e karam uss ayat ko idhar bata dain. aur agar naa bata sakain, tou logon se muafi hi maang lain k aap se ghalati ho gai hai. Aur ye k "hum ne aaj iss deen ko tumharay liyay mukamal kar diya hai" ye bhi meray khiyal main hujatul wida k din Huzoor SAW ne farmaya tha, na ke ye Quraan ki ayat hai, agar aap k samnay hain tou barah e karam paish kar dain.
Tau bhai yeh nichay diye gae Surah ka naam ,no. aur ayah no. check kar leN.Aaj kay din main nay tumharay liye deen ko mukammal kar diya aur apni nemat tamaam kardi aur Islam ko
tumharay liye deen pasand kar liya hai.Al-Maeda 5:3
Beshak ham nay hi yeh zikar(quran) nazal kiya hai aur beshak ham hi es ki hifazat kareN gay.Al-Hijr 15:9
Es ka jamaa karana aur es ka paRhaana hamaray zimme hai.Al-Qiyama 75:17
Yeh aik mufassal kitab hai,dekheN: Al-Anaam 6:114, 6:115, Yusuf 12:111, An-Nahl 16:89
Aur bhai such bolo Ap ko Typhoon nay kafi mufassal jawab dediya hai,main bus yeh kehna chahooN ga k Agar Ap siraf namaz,hajj,roza kay liye ahadeeth ko mantay heN tau bahot afsos say kehna paRta hai k Ap nay quran ko nahiN samjha.Quran meN Allah Taala farmatay heN k tum par SAUM faraz kiye heN jesay tum say pehlooN par faraz kiye thay.esi tarha Hajj kay mutliq bhi kaha gia hai.Jesa k Ap ko maloom hay k mushrikeene makka bhi Hajj kiya kartay thay barhana aur nangay ho kar.RasoolAllah (S) aur Allah nay musalmaanooN ko tehzeeb sikhaee aur Hayya karna sikhaya diya.
1400000 ahadeeth paRh kar bhi Ap ko namaz ka tareeqa nahiN milay ga.Sunni,wahabi,shia sub apnay apnay tareeqay say namaz paRhtay heN aur sub ka dawa hay k woh RasoolAllah (S) kay tareeqa par heN.Ap kisi shia kay pichhay namaz paRh kar keh saktay heN k Ap ki namaz ho gaee hai?
Shia hazraat ki 4 apni ahadeeth ki kitaabeN heN, Ap on ko kiyooN nahiN mantay? Baqaul on kay who bhi tau qaul e Rasool heN.
Aaj itna hi kafi hai.Baqi Sahih ahadeeth meN kia kia likha hai us ka namoona bhi Ap ko dikha deN gay.
Allah hafiz.
 

such bolo

Chief Minister (5k+ posts)
Bismillah ir Rahman ir Raheem,

Typhoon ki reply ne merey imaan mien mazeed izaafa kerdiya hai kiyo k yeh sabit hochuka inkey reply se k inkey paas dalaail nahi balkey nafret, ilzaam aur wehem aur shuk hai. Yeh log aik aisee beemaari ka shikar hien jis ka ilaaj huq ko qabool kerney k ilawa kuch nahi.

Typhoon ne kaha k woh mazeed discussion nahi kerna chahtey, theek hai inki merzi hai, aur mujhey bhi behes baraaye behes kerney ka koi shook nahi, meger afsoos is baat pe hai k khod hee apnee pichley post mien patriot ko mashwara de rahey they k:

Keep on "patriot" you are very right.

samajh se balaater hai yeh doghla pun.

Typhoon sahib aap mazeed discussion na kerien meger meree deenee zimedari banti hai k mien aap ki post ka reply keron taakey jo shookook wa shobhaat aapney uthaaye onka azaalaa hosakey aur mien apnee bisaat k mutabik aur Allah ki taufeeq se Huq bayan kerney ki zimedari poori kersonkon.

Sach bolo aap ne kaha ke hadees ko parakhne ka parameter Quran nahi ho sakta. Me nahi balke har sacha muslim aap se ikhtilaf kare ga.
Me esa sochne ki jasarat bhi nahi kar sakta. Mere nazdik haq or batil ke darmyan faisla karne wala Allah ki akhri kitab he.
aap apne mazhab pe karband raho, good luck!
Quran ek zabta-e-hayat he or khud Quran ke alfaz me Quran ek roshan aur mukammal kitab he. Mere lie Allah ki ye garanti kafi he. Jo log Quran ko namukamil samajhte hein, or ye samajhte he ke Allah ne adhora Quran bheja he, wo mere nazdik mushrik hein.

Allah k Nabi (sallal laahu alaihi wasallam) ki saheeh hadeeth ko naa maanney waley Munkireen e Hadeeth Musalmano k nazdeek Kafir hien.

Mr. Typhoon ager meree post ko baghor perhlete tu inki reply yeh na hoti. Mien ne bari sarahat k saath yeh bayan kerdiya k jub aik Hadeeth saheeh sabit hojai apnee asnaad ki bina pe tu phir yeh baat payaa e soboot tuk ponhach jaati hai k yeh Saheeh Hadeeth Qol e Rasool (sallal laahu alahi wasallam) hai yaa unka amal hai. Is k baad yeh kehna k yeh Quran k mayaar pe poori nahi oter rahee tu yeh shaitaani khayal aik beemaar/sazishi/maghrabi zehen mien tu aa sakta hai meger aik Mohibbey Rasool (salla laahu alaihi wasallam) k zehen mien yeh shaitaani soch nahi aa sakti. Kiyo k Quran mien hai jis ka mafhoom hai "keh dijiye k ager tum Allah ki muhabbet chahtey ho tu meree ataa'at kero Allah tum se muhabbat kerega".

Aik aur misaal de raha hon ahle daanish k liye: Quran k kitney hee aisey ehkaam hien jinhien akser ghair muslim hokookey insaani k khilaaf samjhtey hien ya is ka propaganda kertey hien jaisa k chor ka haath kaatna waghera.. Ab ager koi beemar zehen ka musalmaan uthey aur kahey k mien quran ki os ayat ko maanoo ga jo insaani hokook k mutabik ho aur jo insaani hukook k mutabik nahi hogi woh mien nahi maano ga. Kiya os ka yeh terze amal sahee hai? nahi bilkul nahi!!! kiyo??? is liye k jo cheez osey insaani hukook k khilaaf nazer aa rahee hai woh derasal os ki makhsoos terbiyet hai jis k tehet woh quran ko Kalamullah nahi maanta, ager woh Quran ko kalamullah maanley tu phir woh is terha ki baat na kerey balkey osey is baat ka ilm ho k Allah jo khaliq e Kaainaat hai woh insaani hukook k khilaaf koi baat nahi keh sakta na hukum de sakta hai.

Bilkul isi terha hum kehtey hien k Musalmaano k nazdeek Hadeeth jo saheeh sabit hojai wo Qol e Rasool hai aur Hujjet (authority) hai Qol e Rasool Quran k khilaaf nahi hosakta. Haan kisi jahil ko yeh ghalti lag sakti hai k falaan Qol e Rasool Quran k khilaaf hai tu zahir hai osey apnee islah kernee chahiye aur apnee beemaari ka kisi achey tabeeb se ilaaj kerwana chahiye, behter hai k woh ager kisi gandey aur alooda mahool mien rah raha hai jahan munkireen e Hadeeth ka virus phela howa hai tu osey vaccination kerwanee chahiye.

Yahan yeh sabit nahi hota k is terha Quran adhora hogaya... derhakeeket Quran apnee ijmaali haisiyat mien aik mukammal kitaab hee hai jis pe her musalmaan ka imaan hai... aur Hadeeth e Rasool (sallal laahu alaihi wasallam) der hakeekt hamien bataatii hai k Allah k Nabi ne is Quran pe kis terha amal kiya aur Sahaba ko kis terha amal ker k dikhaya yaani Hadeeth aik amli tabeer/tafseer howi. Chon k Quran nazil bhi Rasulullah (sallal laahu alaihi wasallam) pe howa thaa is liye is ki mukammal aur baa osool tashreeh bhi wohee kersaktey they aur onhon ne kee aur yehee Mansabe Risalat hai k Nabi logo ko amal ker k dikhaaye warna tu koi bhi yeh keh sakta hai k bhai yeh quran tu kabil e amal nahi meger Hadeeth e Rasool ki mojoodgi mien koi shuks yeh dawaa nahi kersakta kiyo k hadeeth ki sorat mien hamarey liye quran ki aik amli sorat mojood hai isi liye Allah ne Quran mien Nabi (sallal laahu alaihi wasallam) ko Namoona/role model kerardiya.... wagerna hadeeth ko nikaal diya jaaye tu phir Quran ki tashree her shaks apney apney hisaab se kerega aur jis k dil mien jo aayega gul khilaayega...

mien pehley keh chuka hon k Munkireen hadeeth k kitney hee guroh hien jo aksar Farz Namazon ki tadaad mien bhi mutafiq nahi aur koi 3 maanta hai koi 4 aur koi 5....is k ilawa kitni aur baatien hien. ab bataaiye yeh log beemaar howey yaa nahi.

Jin logo ne uzbek persians ki kitabo ko Islam ki sanad banaya hoa he wo unhi andhero me hein jin me christians or jews ghoom rahe hein, apni ilhami kitabo me alteration karne ke bad.
Quran ki khushkismati ke Allah ne apni is akhri kitab ki guaranti khud utha rakhi he, warna humara priesthood ise kab ka change kar chuka hota. Is ko to change kar nahi sake, lekin is ke muqabil me apni likhi hoi kitabe ke anbar laga die. Or sada musalman in khurafat me kho gaya.
Haqeeqat khurafat me kho gai
Ummat rawayat me kho gai
Zoroastrian influence ki tareekh parhe kelie khud inhi "ulema" ki kitabe parh lo.
Tabri bin jareer jis ka sal naam Rustam Tabri tha us ki liksi hoi "umm`ul tareekh" english transaltion "Mother of all histories and kings" parho.
Quran ki pehli tafseer farsi me likhi gai, jis me Qurani terminology ko majoosi terminology ka jama pehnaya gaya, us ka ehwal Imam Hanbal ki tasaneef me mil jae ga.
Me ne hadees ka kaafi gehrai me mutalea kya he, jis me bohot si anti-islamic baate pai hein.
Badbakht Salman Rushdi ne jo bakwas likha wo ek ek bat humari hadeeso ki kitabo me milti he, or muslims sadio se unhe gale se lagae phir rahe hein. Satanic verses ka waqya jis waqe par us ne apni kitab ka naam rakha, wo hume bukhari me milta he. Hadees ke mutabiq Huzoor ne mutta bhi kya. Naozobillah.

Mien uzbek/persian (ajmi) propaganda ka jawab apni pichlee post mien de chuka hon meger typhoon sahib ko taufeeq nahi howi k woh is ka jawab desaktey aur dobara wohee baat dohraa rahey hie....Mien ne insey poocha thaa k Zorostian k jo alfaaz onhon ne quote kiye they exactly woh kis taareekhey kitab k hawaley se hien meger hawala nahi diya. Pehlee Quran ki tafseer Farsi mien howi is k daawey mien koi hawala nahi (keh rahey hien Imam Ahmed bin Hambal ki tasaaneef dekhlo-yeh mosoof k nazdeek hawal hai)

Is k ilaawa jo baatien ker rahey hien Typhoon sahib aisaa lug raha hai k koi bud-hawaas/pagal shuks jis ki samajh mien kuch naa aa raha ho aur os k haath mien aik dandaa aagaya ho jisey dil chaha maarey jaa raha ho. yeh typhoon sahib apni badhawaasi mien bagher dalaael k sirf ilzamaat lagaaye jaa rahey hien aur soboot nadaarad...

kitaabo k naam quote kerdena soboot nahi hota...falan ki kitaab perhlo, in ulema ki kitaabien khod perhlo.. yeh hawaley hien,, Subhanallah. os kitaab mien kahan kiya likha hai woh bhi tu bayan kijiye....is terha tu mien kehdon k Typhoon sahib Yahoodi agent hien yakeen nahi aataa tu Imam abu Hanifa ki kitaabon ka mutaalaa ker k dekh lijiye... ab bataaiye yeh koi soboot howa???

Is k ilaaawa mien pehley sabit kerchuka hon k yeh log jhoot aur exaggeration/mubaalga-araai buhat kertey hien... meree pichlee mail mien mien ne inkey is daawey k hadeeth 300 saal baad likhee gayee thee k jawab mien sabit kiya k yeh jhoot boltey hien aur yeh k hadeeth ajmiyo ki sazish thee aur arbiyo ka is se koi taaluk nahi thaa... meger Typhoon ne is ka koi jawab nahi diya....aur de bhi nahi saktey.InshaAllah.

Salman Rushdie ka tazkara yahan kerna khowamakhowa apney aap ko Islam aur musalmaano ki suf mien shamil kerney ka bahana hai... salmaan Rushdie gustakhey Rasool (sallal laahu alahi wasallam) hai...aur yeh baat pehley wazeh hochukee hai k sahee hadeeth Qol e Rasool hai.... zaeef ahadeeth mien ager koi gustaakhi ka pehlo hai tu is se Ummet bari hai... Saheeh ahadeeth mien aisee koi baat nahi.... baaz log koshish kertey hien k seedhey saadhey musalmaano ko gumrah kerney k liye mukhtalif baatien le aatey hien k dekho hadeeth mien yon hai aur hadeeth mien yon hai... bilkul isi terha jaisey aaj kul buhat se anti islamic/pro chiristian sites pe Quran k baarey mien shobhaat hien k dekho Muslamaan ka Allah yon kehta haur yon kehta waghera waghera.... meger alhamdulillah Musalmaano ko inkey propaganda ka shikaar nahi hona chahiye.. Ulema ne inki tamam baaton ka tasli buksh jawab dediya jo aik huq ka mutalashi asaani se hasil ker sakta hai.

Aap ne mutta k baarey mien likh k meree mushkil asaan kerdee... ab yeh sabit kerna asaan hogaya hai k aap khowamakhowa ka excitement paida kertey hien aur logo ko gumrah kertey hien. Pehley tu is baat ka hawaal dijiye k kis saheeh hadeeth mien hai k Allah k Nabi (sallal laahu alaihi wasallam) ne kub aur kis k saath mutta kiya?? warna aap jhotey/kazzaab.

Dosra yeh k Muttah Islam k ibtidayee dor mien jaaiz thaa aur phir os ki momaaniyet aagayee... ummet is pe muttafiq hai.. Ulema se is ki mukammal tafseel lee jaasakti hai.. mien filhaal Pakistan se bahir hon is liye hawaala dene se kaasir hon k kitaabien gher pe hien aur mere saath kitaabien nahi. Ab ager aik cheez pehley jaaiz thee aur phir os pe manaa aagayaa tu kiya yeh koi gustakhee ka pehlo hogaya? quran se sabit hai k Adam (alaihisalam) k wakt mien aur baad mien bhi bhai aur behen ki apas mien shaadi jaaiz thee (Habeel aur Kabeel ka wakiya Quran mien mojood hai).... ab kiya Typhoon sahib Quran k bataye howey is wakiye ko likh k aagey likhien "Naozobillah" ?????

Me ne hadees ka kaafi gehrai me mutalea kya he, jis me bohot si anti-islamic baate pai hein.

aap ne khowamakhowa apnaa wakt zaaya kiya... mere khayal mien hadeeth ka mutaalaa un k liye mufeed hosakta hai jo muttaki aur perhezgaar hon.. woh is se apne imaan ko berha saktey hien. aap ne mutaalaa hee is liye kiya k is pe aitraaz ker sakien is liye aap ko is se faida honey k bajaye nuksaan howa.... kitney he ghair muslimo ne quran ko perha hai aur onkey aitraazaat bhi hien quran pe tu kiya onki baaton ko maan liya jaaye??? aisee baatien kiyo likh rahey hien jis se aap ki zehnee hakeeket khol k samney aa jai!!!!

Jitni umar me ne islam ki study me lagai he, shaid utni aap ki poori umar bhi na ho. Is lie mazeed is bare me discussion karne ka koi faida nahi, or ye jo aap ne itna lmba chorha likha he, in sab baato or taweelo se me achi tarha waqif ho, me khud bhi inhi andheri galio se guzar kar roshni tak pohncha houn.

is terha ki baaton se aap hamien mar'oob kerney ki koshish na kerien... Quran k pehley paarey ki ibtida mien hai "hodad lil muttaqeen" yeh Quran muttaqeen k liye hidayat ka sabab hai...baki beemaar zehn ager 60 saal kiya Umer e Nooh (jo k ghaliban 900 saal se ziyada thee) bhi paaley tu osey kuch hasil nahi hoga. Aur yeh tu Allah hee jaanta hai k aayaa aap andheri galiyo se roshniyo mien ponhchey hien yaa roshniyo se andhero mien... Qayamat faisley ka din hai.. aur baaki hazraat jo yeh perh rahey hien woh aap ki aur meree post perh k andaazaa ker liengey k kon Shamaa e Risaalet (salla laahu alahi wasallam) ki roshni mien safer ker raha hai aur kon nahi.

Ahadees ki total teidad 1.4 million he.
Sirf Sach Bolo nahi balke har wo jo bhi hadees pe andho dhund iman rakhta he, us ne 1.4 million ahadees nahi parhi. Mera mashwara Sach bolo se he ke pehle un ka mutalea karo take jis cheez ko itna defend kar rahe ho, kamazkam us cheez ka nature to maalom ho tumhe pehle.
Apne firqe ki soch se nikal kar Quran ki khuli fiza me sans lo, kionke Allah ke huzoor tum is baat pe judge kie jao ge ke Quran ke mutabik zindagi guzari ya nahi, ye nahi poocha jae ga ke kis firqe se taluk tha tumhara.

yeh 1.4 million ahadeeth ka total aap ne kub kiya?? aap ko kahin daraa'oney khowab tu nahi aatey??? aap ne pehley likha hai k aap ne hadeeth ka gehraayee se mutaalaa kiya hai (pataa nahi gehrayee se kiya muraad hai aap ki) tu kiya aap ne 1.4 million (aap k hisaab se) ahadeeth perhlee hien? Alhamdulillah mien saheeh ahadeeth ka mutalla kerna apna farz samjhta hon aur mutaalaa kerta bhi hon alhamdulillah... aur Quran k mutabik zindagi guzaarney k liye ahadeeth ka mutaalaa zarori hai.... k Allah k Nabi (sallal laahu alaihi wasallam) se beheter Quran k ain mutabik zindagi kisi ne nahi guzaari hogi is liye jis ne Nabi (sallal laahu alaihi wasallam) ko follow kerliya os ne Allah ko follow kerliya (Quran ki ayat ka mafhoom).

Quran k mutabik zindagi guzarney k liye hadeeth se rehnomaayee zarori hai.

Mazeed behes is mamle me nahi karna chahta, kionke aap ki study Islam ke mamle me mehdood he or apne firqe ki char diwari se bahir aap nikalna nahi chahte. Baat bhens ke age been bajane ki ho jae gi, jis ka mujhe koi shouq nahi.

Kon sirf ilzaamaat ki zabaan mien baat ker raha hai aur kon dalaail aur rational ho k yeh log andaaza ker liengey...behes mien bhi nahi kerna chahta. inshaAllah.

Allah hum sab ka hami or nasir ho, or hume toufeeq de ke Rasool Allah ki sunnat ke mutabiq sirf or sirf Quran ke mutbik zindagi guzarne or nizam-e-ilaha qaym karne ki ehliyat de, jo state of Madina me nafiz tha, naa ke jo dour-e-malokiyat me tha.

likh kiya rahey hien!! kahin neend mien tu nahi aap ??? "Rasool Allah ki Sunnat ke mutabiq sirf or sirf Quran ke mutabik" yeh kuch samajh mien aa raha hai? jub sirf quran k mutabiq zindagi guzarni hai tu sunnet ka ziker kiyo kiya?

o naam tum mang rahe ho un sazashi unasir ki jinho ne islam ko derail kya, to wo naam thousands ki shakal me he, jin me har firqe ka baani bhi he. Dor-e-malukyat se le kar ab tak jinho ne Quran ke mutwazi nazrya Islam ke naam par thonsa wo bhi.
Ek naam sirf tumhari tasali kelie: Khizraen, jo pehle abbasi khalifa ki persian maa thi.
Harron rasheed ke baap ki do biwya thi, ek arabi muslim ourat or dosri ek persian zoroastrian ourat Khizraen. Jab us ne apna janasheen namzad karna tha to us waqt vote karaya gaya ke un dono ke beto me se kon us ki jaga le ga. Chonke faras me persians zyada the isi lie awam ne persian ourat ke bete ko select kia. 786 me haroon Rasheed takht pe betha, us ke baad big scale level pe Islam ko persian jama pehnaya gaya. 786 ek symbo ban gaya, ke jab persian took back their influence over zameen-e-faras. Or sub-continent ke muslims aaj tak 786 ko ek holy figur ke tour pe likhte hein) Arabs hanaste he humari is harkat pe.
In me ek naam majoosi priest Khalil ka he, jis ne Qurani terminology ko zoroastrain rang dya. Jese Salat namaz ban gai, zakat charity ban gai, soum roza ban gaya, Allah khuda ban gaya, taqdeer qismat ban gai, waghera waghera.
Ye esa hi he ke hum Sib-continent me muslim convert hone ke baad Qurani terminology ko apni sabika hindu terminology me badal dete.
Salat pooja ban jati, zakat dyan ban jati, soum warat ban jata, Allah ishwar ban jata, taqdeer bhaag, shobha, rekha me tabdeel ho jati, waghera waghera.
Terminology sirf alfaaz nahi hote, balke in me ek concept pinhaa hota he. Alfaz badalne se in ka poora tasavur badal jata he.

Or tum ne misal di he ke agar koi shakhs agar huzoor ko kehta ke me apki sirf us baat ko mano jo Quran ke mutabiq ho to wo gustakhe rasoll he.
MERE BHAI GUSTAKHE RASOOL WO HE JO YE KEHTA HE KE HUZOOR KABHI ESI BAAT BHI KEH SAKTE THE JO QURAN KE KHILAF HO.
Hz. Mohammed pbuh kabhi bhi Quran se ikhtlaf wali baat kar hi nahi sakte the, is lie jo hadees Quran ke khilaf he, wo huzoor ne nahi kahi balke likhne walo ya rawayt karne walo ne ghalti ki he.
Rahi zana ki saza to pehle Quran parho, lagta he Quran kabhi khola bhi nahi tum ne.
Quran me he ke jis mard or ourat par zana sabit ho jae un ko so so korhe lagae jae, jin ki parvarish islami iqdar me nahi hoi (nae musalman) un ki saza adhi, yani 50 korhe. Dekho 24:4
Allah ne is saza ke mamle me shadi shuda ya gher shadi shuda ki tafreeq nahi ki. Koi insan is me tabdili karne ki jurrat kese kar sakta he?
My friend you have to understand how we msulims have made changes in god given laws. We have done same things which was done by jews and christains.
aap ko apke firqe ka mazhab mubarak ho, mere lie Allah, us ka akhri rasool or Allah ki akhri kitab kaafi he.
Tumhari tasali kelie: Ahmed Raza brelvi angrez ka agent tha, jo sari zindagi un ki tankhwa khata raha. Brelvi firqe ki "faraez-e-faridya" utha ke parho jis me unho kalma bhi alag se banaya hoa he, la ilaha ilallah chishti rasool allah. (astaghfirullah)
Ek english kitab he " Muhamedan secterianism in british india" jo us waqt ek british state ifficer ne likhi, likhta he " we had our two men in british india. We projected them after the mutiny. They were Ahmed Mirza from Qadyan and Ahmed Raza from Braley."
Batata chaloun ke Ahmned Raza brelvi shagird tha Mirza Qaydani ke bhai ke, or kai saal taalim us se hasil karta raha.
To mister or miss Sach bolo, ye sab khurafat tumhe mubarak houn. Agar inhi kuffar ke ijma ko tum saboot samjhte ho to ye tumhe mubarak ho. So jhoote mil ke jhoot bole to bhi jhoot jhoot hi rehta he. Sanad nahi ban jata.

Mien ne poocha thaa k kin ajmi logo ne saazish ker k 300 saal baad hadeethien jama kin? jawab mien Haroon Rasheed kese hakim bana ki tafseel de rahey hien (poocho maghrib ka jawab mashriq ka) ab bataiye is ka Hadeeth e Rasool (sallal laahu alaihi wasallam) k jama kerney se kiya taaluk??? aap ne likha 300 saal baad ahadeeth ajmi saazish k zariye se jamaa howi mien ne hawala maanga tu janab hawaley mien 786 ki behes ker rahey hien. Sazish 300 hijri mien howi aur sazish ka sarghana kon thaa kis k saath mil k ki kon kon se ulema shamil they sabit kerien...(kiya khairul quroon islam k ibtidayee dor mien saarey k saarey ulema is saazish mien shareek they?) Mien ne aap se poocha thaa k iska ilm os dor mien kisi ko howa yaa nahi howa tu kisi tu naik dil/islam k hamdard (aap ki terha) ne apni kisi tasneef mien os sazish ka ziker kiya hoga... yaa aap k mutabik Allah k Rasool (salla laahu alaihi wasallam) k baad sub beimaan hogaye Naozobillah...

Mien ne sabit kiya thaa k 300-350 saal k baad hadeethon ka jama hona bhi jhoot hai. mien Alhamdulillah sabit ker chuka hon k hadeeth e Rasool (Sallal laahu alaihi wasallam) Allah k Nabi k dor mien hee jama hona shoroo hochukee thi Allah k Nabi (sallal laahu alaihi wasallam) k hukum se ...is ka soboot Mota Imam Malik hai jo k Imam Malik ki jama shoda hadeethon ka aik majmoa hai, Imam Malik (rahimahullah) 95 hijri mien paida howey yaani hadeethon ka pehla majmoa Allah k Nabi k takreeben 100 saal mien hee manzar e aam pe aagaya)

yahan pe Ahmed Raza ka tazkara bhi fozool hai mozoo se bahir, ager tumhien yeh mughalta howa hai k mien brelvi hon tu yeh bhi ghalat. Wese tumhien typhoon "persian fobia" hogaya hai, is ka ilaaj kerwao. Mien tumhari itela k liye arz hai k saudi Arab mien hon is wakt aur jo baatien tum ker rahey ho onka hakeeket mien koi wojood nahi yeh sirf khayali tamak toiyaan hien jo tum fariq wakt mien maartey ho.... tum mujhey nafsiyati mareez lagtey ho.... Yeh persian afsaana kahan se laaye? Konsi filmien ziyada dekhtey ho?

-Wese Mr. Typhoon Quran mien Khatna ka ziker nahi kiya aap ki khatna howi hai? (aap ne jo maaney liye hien Quran k mukammal honey k is hisab se aap ko khatna nahi kerwani chahiye na hee apnee nareena olad ki khatna kerwaiyega.
-Quran mien Nikah ki bhi sarahat nahi aap bagher nikah k reh rahey hongey apnee biwi k saath, aur nikah kiya hai tu tareeka kahan se liya? Quran mien tu nahi.
-Wese merney k baad kafan dafan ki zaroat hai aap ko? wese mera tu khayal hai aap ko aik garha khod k os mien phaink diya jaai Quran se tu itna hee sabit hota hai? Quran mien dafan kis terha hona chahiye namaaz e janaza ki koi sarahat nahi.
-Humbistri k baad ghusal kertey hien aap? Tareeka kahan se liya ghusal ka? Quran mien tu nahi.... ab jo shuks saari zindagi ghusal hee na kerey wo Quran bhi perhey aur hadeeth bhi tu osey kiya samajh aayega......Ya Allah rehem farma.
-Zahir hai paaki aur naapaki k masaail bhi nahi pata hongey... akhir Quran mien jo nahi....kiya haal hoga aap ka aur kis terha rehtey hongey aap k gher waley.

Ager Quran on maanoo mien mukammal hai jin maanoo mien aap le rahey hien tu phir zahir hai yaa tu oper bayan kiyegaye masaail quran mien honey chahiye aur ager nahi tu amal kerna quran ko namukammal samjhna howa.

Wese mere Quran k mutaaley se mutaliq raaye kaaim kerney se pehley aap mujh se pooch lete tu acha thaa......Aap ki ittela k liye arz hai k hamarey gher mien her haftey 2 din Dars e Quran hota hai alhamdulillah Aurton k liye.... inshaallah agley 6 maah mien Quran mukammal hojaiga....Hadeeth bhi perhaayee jaati hai.... naraaz mut hona.

Mien Alhamdulillah pehley hee keh chuka hon zani k liye 100 koro ki saza ghair shaadi shoda k liye hai... shaadi shoda aur ghair shaadi shoda ki sarahat hadeeth mien hai k shaadi shoda ko rajam/sangsaar kiya jaai.. yeh izaafa nahi balkey quran ki tashree hai... jisey tum izaafa samjhtey ho aur hum tashreeh aur tafseer bazabaan e Rasool e Arabi (sallal laahu alaihi wasallam) kiyo k Rasollullah Quran ki tashreeh Allah ki wahee se kiya kertey they balkey amal ker k bhi dikhaatey they taakey hujjet tamam hosakey aur kisi bhi kisam ka ibham dor hojai aur onkey mansab aur faraiz mien yeh baat shamil thee. Hadeeth bhi wahee/revelation hai (Quran ki ayat hai k Yeh Nabi apnee khowahishey nafs se kuch nahi boltey meger wohee kuch boltey hien jo inpe wahee kee jaati hai) is liye yeh tashreeh/sarahat izaafa nahi balkey Rubbe Qainaat ki mansha hai k isney aik hukum Quran mien diya aur os ki mazeed sarahat hadeeth k zariye ki... aur misaalien mien pehley de chuka hon.

such bolo
 

such bolo

Chief Minister (5k+ posts)
patriot said:
jazbaedil bhai Ap nay kaha k :
Aik aur baat ye ke, mujhe nahin maloom keh Quran main kahin ye likha hai k Quraan main har baat ki TAFSEEL moujood hai. barah e karam uss ayat ko idhar bata dain. aur agar naa bata sakain, tou logon se muafi hi maang lain k aap se ghalati ho gai hai. Aur ye k "hum ne aaj iss deen ko tumharay liyay mukamal kar diya hai" ye bhi meray khiyal main hujatul wida k din Huzoor SAW ne farmaya tha, na ke ye Quraan ki ayat hai, agar aap k samnay hain tou barah e karam paish kar dain.
Tau bhai yeh nichay diye gae Surah ka naam ,no. aur ayah no. check kar leN.Aaj kay din main nay tumharay liye deen ko mukammal kar diya aur apni nemat tamaam kardi aur Islam ko
tumharay liye deen pasand kar liya hai.Al-Maeda 5:3
Beshak ham nay hi yeh zikar(quran) nazal kiya hai aur beshak ham hi es ki hifazat kareN gay.Al-Hijr 15:9
Es ka jamaa karana aur es ka paRhaana hamaray zimme hai.Al-Qiyama 75:17
Yeh aik mufassal kitab hai,dekheN: Al-Anaam 6:114, 6:115, Yusuf 12:111, An-Nahl 16:89
Aur bhai such bolo Ap ko Typhoon nay kafi mufassal jawab dediya hai,main bus yeh kehna chahooN ga k Agar Ap siraf namaz,hajj,roza kay liye ahadeeth ko mantay heN tau bahot afsos say kehna paRta hai k Ap nay quran ko nahiN samjha.Quran meN Allah Taala farmatay heN k tum par SAUM faraz kiye heN jesay tum say pehlooN par faraz kiye thay.esi tarha Hajj kay mutliq bhi kaha gia hai.Jesa k Ap ko maloom hay k mushrikeene makka bhi Hajj kiya kartay thay barhana aur nangay ho kar.RasoolAllah (S) aur Allah nay musalmaanooN ko tehzeeb sikhaee aur Hayya karna sikhaya diya.
1400000 ahadeeth paRh kar bhi Ap ko namaz ka tareeqa nahiN milay ga.Sunni,wahabi,shia sub apnay apnay tareeqay say namaz paRhtay heN aur sub ka dawa hay k woh RasoolAllah (S) kay tareeqa par heN.Ap kisi shia kay pichhay namaz paRh kar keh saktay heN k Ap ki namaz ho gaee hai?
Shia hazraat ki 4 apni ahadeeth ki kitaabeN heN, Ap on ko kiyooN nahiN mantay? Baqaul on kay who bhi tau qaul e Rasool heN.
Aaj itna hi kafi hai.Baqi Sahih ahadeeth meN kia kia likha hai us ka namoona bhi Ap ko dikha deN gay.
Allah hafiz.

Mr. patriot mera sawal abhi tuk baaki hai k akhir kiya waja hai k wodho ka tareeka quran mien mojood hai aur Namaz ka nahi... kiya aap sirf wodho kertey hien? Kitney wakt wodhoo kertey hien? 3 time 4 time yaa 5 time.

Saum k maaney kiya hein? kis terha anjaam diya jaiga yeh Saum ka fareeza? Hadeeth se samjhiengey yaa aap ki khodsaakhta ghlam ahmedi tafseer se?

Hajj k mutaliq kiya kaha gaya hai? Umrah ka bhi quran mien ziker hai...Farz hai tu adaa kis terha hoga? aap ne yeh fareeza abhi tuk adaa kiya hai? kis terha adaa kiya hai? aur nahi kiya tu kis terha adaa keriengey? apnee merzi se yaa hadeeth se rehnomaayee leingey?

yahan sirf namaz roza aur huj ki baat nahi baat hai k jub in bunyaadi moamlaat mien Quran apnee tashreeh k liye Hadeeth kaa mohtaaj hai (dono Allah ki wohee hien) tu phir hazaaron hee aisey moaamlaat hien jin k liye hadeeth se rehnomaaye lenee zarori hai.... Paidaaish, Mout, Dafan, Kafan, Shaadi, Karobar, Ikhlakiyat, Huqooq ullah, Huqooqulibaad waghera waghera.... Quran in tamam moaamlaat pe ijmaali nokta nigah paish kerta hai aur Rasool (sallal laahu alaihi wasallam) ka farz hai k woh is Quran ki tashreeh kertey howey os ki amli misaal kaaim kerey... taakey Qayamet tuk k liye aik mukammal deen hum tuk ponhach jai... Deen ko mokammal maanney k liye Hadeeth ko manna parega.

Jesa k Ap ko maloom hay k mushrikeene makka bhi Hajj kiya kartay thay barhana aur nangay ho kar.RasoolAllah (S) aur Allah nay musalmaanooN ko tehzeeb sikhaee aur Hayya karna sikhaya diya.

Mushrikeen barhana ho k tawaf kerte they yeh ziker tu Hadeeth mein hai (aap tu hadeeth nahi maantey yeh tu ajmi saazish hai aap k mutabik) aur Allah k Nabi (sallal laahu alaihi wasallam) ne inhien roka yeh bhi hadeeth mien hai, aur is k ilaawa aik mufassil tareeka jis terha Sahaba ne Allah k Nabi (sallal laahu alaihi wasallam) ko Huj kertey howey dekha bayan kiya hai j saara ka saara Hadeeth mien hai.. aap bataaiye k Allah k Nabi (sallal laahu alaihi wasallam) ne kis authority se inhien berhana tawaaf se roka aur Huj k mukhtalif ehkaam bataaye, Quran ki kis ayet k tehet? Aap k hisaab se tu ye quran pe izaafa howa? Aap logo se guzaarish hai k baraye meherbaani Yehoodi aur Nasraani sazish ka shikaar na hon.. Hadeeth ko rud ker k aap inki khidmat ker rahey hien, Islam ki nahi.

sub apnay apnay tareeqay say namaz paRhtay heN aur sub ka dawa hay k woh RasoolAllah (S) kay tareeqa par heN.

bilkul sahee kaha k sub apnay apnay tareekey se namaaz perhtey jo k kabil e afsoos hai aur aap ne khod kaha k sub ka daawa hai, zahir hai dawaa tu koi bhi ker sakta hai meger daleel her aik k paas nahi hoti (jaisa k aap k paas bhi daleel nahi) aur is ki simple waja sirf aur sirf Quran aur saheeh hadeeth ko chor k apney apney makhsoos firqoo ki andhee taqleed/pairvi hai.. jo Firqa Peresti hai... Allah hum sub ko Quran aur Hadeeth pe saheeh maanoo mien chalney ki taufeeq ataa farmaye yeh firqa peresti is terha khod ba khod khatam hojaigee yehee hamari dawat hai. Mien ne pehley hee kaha hai k log tu Quran mien bhi ikhtalaf kertey hien... logo ka ikhtalaf Quran ko nakaabil e rehnomaayee nahi banata... kuch tu akal k naakhon lien.

Shia hazraat ki 4 apni ahadeeth ki kitaabeN heN, Ap on ko kiyooN nahiN mantay? Baqaul on kay who bhi tau qaul e Rasool heN.
Aaj itna hi kafi hai.Baqi Sahih ahadeeth meN kia kia likha hai us ka namoona bhi Ap ko dikha deN gay.

Jisey Huq ki talaash hai osey chahiye k Shiya k daawey ki sehet ko jaanchney k liye tehkeek kerey k aaya inka dawaa k onki kitaabo mien saheeh hadeethien hien kis hud tuk durust hai. Zahir hai shiya tu yehee dawa keriengey "(Quran kehta hai k Her goroh/party jis cheez per hai os pe khosh hai) huq ko talaash kerney waley ka farz hai k woh daawey ki tehkeek kerey.

Is terha tu Christians bhi daawa kertey hien k Bible huq hai aur Quran baatil,,,, tu kiya ab Quran ko chor diya jaai??? dawaa kerna aur is k liye daleel ka hona alag baat hai...Shiya hazraat ka tu dawaa hai k Quran 30 paaron se ziyada thaa... ab bataaiye Quran pe bhi aitmaad na kerien? Aap konsa aataa khaatey hien? Aataa tabdeel kerien inshaAllah afaakaa hoga.

Baki Saheeh hadeeth pe aitraaz kerney se pehley soch lena k Qayamet k din Allah k Nabi (sallal laahu alaihi wasallam) ka haath hoga aur tumhara gareban....tum jis Hadeeth doshmani k mission pe nikley howey ho woh mission tu kisi yehoodi ne bhi nahi apnaaya hoga... Allah tumhien hidayet de.

Allah k fazel se saheeh hadeeth pe warid honey waley tamam aitrazaat ka jawab dena mujh pe farz hai k mera maksad Allah k Nabi (sallal laahu alaihi wasallam) ka difa kerna hai.....Mien pehley keh choka hon k mien Pakistan se bahir hon... meger tumharey her aitraaz ka jawaab mujh pe qarz hoga, os mien der hosakti hai.

Such bolo.
 

Typhoon

Senator (1k+ posts)
To Sach bolo:

O Islam ke thekedar, mujhe kafir kehne wale, pehle apne firke ko baki firko se musalman to karar dilwa lo.
tum ne kaha huzoor ki mustanad hadees ko na manene wale munkare hadees hein. Lagta he tumhare damagh me baat sahi tarha bathi nahi. Kehte he jitna pemana ho utna hi paani us me bhara ja sakta he, warna chalak jata he. Afsos ye ke tumhara zehen ye baat samajhne ke shaid kabil nahi ke, me munkare hadees nahi or na hi munkare qoul-e-rasool houn. mere nazdik Mohammed pbuh se oncha ya un ke barabar koi maqam nahi. Me ya baat keh raha houn keh bohot si esi ghalt ahadees un se mansoob kar di gai hein jo unho ne kabhi na kahi or na kabhi ki. Likhne walo ne or riwayat karne walo ne bohot si ghaltian ki hein tareekh me. Ab kese pata chalaya jae ke konsi hadees sahi he or konsi ghalt he? Is ko parakhne ki authority siwae Quran ke or koi nahi ho sakti.
Or Bache zyada uchlo nahi, tumhari umar itni nahi ho gi jitni umar me ne tarikhe islam or deen-e-islam ki study me guzari he.
Kabhi Al Azhar university jane ka moka mile (jo nahi mile ga) to waha se study karne kelie kuch le ana. Warna mangwa kar ghar bethe parh lo.
Hadees jama karne walo ne khud lakho ke hisab se hadeese zayl ki, khud mr. Bukhari ne lakho ke hisab se hadees mustarad ki or apni kitab me shamil nahi ki. Sab se barha munkare hadees to wo khud hoe.
Mujhe batao ke unhe kiss ne authority di thi hadees ka thekedar banene ki, Allah ne koi parchi likh ke di thi?

Tumhare sath discussion na karne ki waja ye nahi mere chand, ke mere paas dalayl nahi, balke ye he ke tum jese log sirf apne firke ki doctrine ko sach mante hein, Islam kya he or Quran kya he, is se gharz hi nahi tum jese logo ko. Jo mar gaya wo tumahre lie sanad ban gaya. Aslaaf ki andhi taqleed me parhe hoe ho.

Mujhe munkar-e-hadees qarar dene ka haq or jurrat nahi tumhare paas, or na mujhe is se koi faraq parhta he. Tum jese namurado ne to hz. Allam Iqbal pe bhi kufr ke fatwe lagae the.

Agar meri baat ko thande damagh se socho to is me koi esi baat nahi jiss pe tum etraz kar sako. Har baat ko Qoul-e-rasool keh dena rasool ki toheen he. Char jamate paas mulla jo khurafat keh de, or rasool ki taraf mansoob kar de to tum andhe ho ke maan lo ge?
Hadees likhne ka jo tareeka kaar tha, wo kisi bhi lehaz se tasali bakhsh nahi tha, bohot si jhooti gharhi hoi rawayat rasool ki taraf mansoob ki gai. ye baat moudodi saab ne bhi kahi thi. Khud bukhari or muslim ne bohot si rawayat ko mustarad kar dia. Aaj agar koi kehta he ke falaa falaa rawayt bhi ghalt mansoob ki gai he to kya waja he tum cheekh rahe ho?
Tumhara taluk kis firke se he? zara batao, to me tumhe us firke ki poori tafseel se tareekh batata houn. Moo chupate phiro ge.
Mera taluk Allah ke fazal se kissi firke se nahi or har firke ko daira islam se kharij samajhta houn, kionke Quran pe yakeen he, or Quran kehta he firka bandi shirk he?
Is pe iman he tumhara?
Or haan tum jeso ke sath me hazaar saal tak larhne ki energy rakhta houn, lekin andhe ko roshni nahi dikhlai ja sakti. Tum logo ke dilo pe taale lag chuke hein, jo Quran ke roshan kalaam ko namukammal samajhte hein. Jhoote Qoul-e-rasool ko huzoor ki taraf mansoob kar ke apne apne firke ke nazryat project karte hein. Jo hadees ye kehti he ke huzoor ne 9 saal ki bachi se shadi ki thi, esi khurafat pe imaan he tumhara. Bacho ke sath sex karne walo ko pedophile kaha jata he, sab se barhi tohmat huzoor ki shaan me tumhari hadees ye lagati he, or tum use chhati se lagae phir rahe ho, kionke mr. bukhari ne likha tha, ke falla ne apne baap se suna jis ne apne dada se suna jiss ne apne par nana se suna ke falaa ashabi ne kaha, waghera waghera...
Hz. Aisha ki umar 48 baras thi or wo ek bewa thi jin ke khawand hz. ibn Saleh ek jang me shaheed ho chuke the, or wo Hz. Abu Bakar ki beti nahi balke un ki behen thi. Huzoor ne jab un se shadi ki to un ki umar 52 or Hz. Aisha ki 48 baras thi.
Ibn isaac ne huzoor pe biography likhi jis me us ne bakwas ki ke Hz. Aisha ki umar rukhsati ke waqt 9 saal ki thi.
Turkey ke Istanbul museum me kitab outplace ki hoi he, jo ibn Isaac ki likhi hoi biography se 150 saal porani he or ek arab ki likhi hoi he us me Hz. Aisha ke mutalik likha he jo me ne upar darj kia he.
Lekin humare mulla ko bachebazi pasand he is lie us ne is haram kam ko jaiz sabit karne kelie esi ghinaoni hadees gharhi jis ko parh ke bhi sharam a jati he ke huzoor ne 9 saal ki bachi se shadi ki. Lekin tumhe kon samjhae, chonke ijma he jinab to aap to maane ge. Dunya me christians ki taidad sab se zyada he, to christian ho jao. Agar teidad or jamhoor or ijma ke peeche chalna hi he. Ab tum kaho ge ke ijma moulvio ka ho to sacha hota he, kionke tum apne napukhta zehen se ye nahi samajh sakte ke muovio ne to apni dukaan chamkani hoti he, khwa huzoor ki seerat hi daghdar kio na ho jae.

Kuch study karo, sabaz pagrhi wale kabootar.
 

patriot

Minister (2k+ posts)
'Typhoon' bahot khoob. Main samjha shaed main akela hooN apni type ka es forum par lekin Allah ka shukar hai k Ap bhi heN.
Aur ab Mr.'such bolo' Ap nay likha k:

Mr. patriot mera sawal abhi tuk baaki hai k akhir kiya waja hai k wodho ka tareeka quran mien mojood hai aur Namaz ka nahi... kiya aap sirf wodho kertey hien? Kitney wakt wodhoo kertey hien? 3 time 4 time yaa 5 time.

Such bolo bhai main nay apni pehli post meN likha tha k Allah Taala nay jab quran meN farmaya hai k AQEEMUSSALAT tau arab kay log samjh rahay thay k kia kaha ja raha hai isliye tareeqa bataanay ki zaroorat nahiN thi. Aur yeh bhi kaha tha k shaed jis namaz kay tareeqay ki Ap ko talash hai who isliye na mil raha ho k salaat namaz na ho. Lekin baat Ap kay sar kay oopar say guzar jati hai. Quran meN jab koi lafaz aisa Ajaey jo arabs kay liye neya hota tau Allah Taala sath hi yeh kehkar samjha detay heN k WA MAA ADRAKA MAA.? Yani tum kia jono k kia hai. Maslan LAILATUL QADAR.
Isi tarha agar who salaat ka mutlab na samjhtay hotay tau Allah Taala samjha detay.
Main abhi tak Hanfi tareeqa par namaz paRhta hooN kiyooN k main koi neya firqa ijad nahiN karna chahta,pehlay hi firqooN ki bharmaar hai.Aur firqa parasti shirk hai.
Wesay aik mashwara hai Ap kay liye k agar kabhi koi parsi mil jaey tau us say zaroor poochhiye ga k who atish ki parastish kaisay aur din meN kitni baar kartay heN.


Saum k maaney kiya hein? kis terha anjaam diya jaiga yeh Saum ka fareeza? Hadeeth se samjhiengey yaa aap ki khodsaakhta ghlam ahmedi tafseer se?

Saum kay maaney heN ruk jaana,Thehar rehna, baaz rehna.
Afsos k har baat Ap k sar say guzar jati hai. Jesay pahlooN par faraz kiye. Likhnay ka matlab yehi tha un ko maloom tha k kia kaha ja raha hay.Pehlay log raat ko bhi apni biwiyooN kay paas nahiN jaa saktay thay mahe ramzan meN. Lekin Allah nay quran ki ayet kay zariye ijazat dedi. RasoolAllah nay khud apni taraf say nahiN di. Saum ka tareeqa kia hai?Yeh ayaat check kar leN: Baqara 2:187,2:185,2:184,2:183.
Quran meN bataya gia hai k safar ki haalat meN kia karna hai,bimaari ki haalat meN kia karna hai,kab sahri hogi kab aftaar waghaira waghaira.Aur kia chahye Ap ko?


Hajj k mutaliq kiya kaha gaya hai? Umrah ka bhi quran mien ziker hai...Farz hai tu adaa kis terha hoga? aap ne yeh fareeza abhi tuk adaa kiya hai? kis terha adaa kiya hai? aur nahi kiya tu kis terha adaa keriengey? apnee merzi se yaa hadeeth se rehnomaayee leingey?
Es ka jawab bhi agar Ap samajheN tau oopar hi hai.

yahan sirf namaz roza aur huj ki baat nahi baat hai k jub in bunyaadi moamlaat mien Quran apnee tashreeh k liye Hadeeth kaa mohtaaj hai (dono Allah ki wohee hien) tu phir hazaaron hee aisey moaamlaat hien jin k liye hadeeth se rehnomaaye lenee zarori hai.... Paidaaish, Mout, Dafan, Kafan, Shaadi, Karobar, Ikhlakiyat, Huqooq ullah, Huqooqulibaad waghera waghera.... Quran in tamam moaamlaat pe ijmaali nokta nigah paish kerta hai aur Rasool (sallal laahu alaihi wasallam) ka farz hai k woh is Quran ki tashreeh kertey howey os ki amli misaal kaaim kerey... taakey Qayamet tuk k liye aik mukammal deen hum tuk ponhach jai... Deen ko mokammal maanney k liye Hadeeth ko manna parega.
Quran apnee tashreeh k liye Hadeeth ka mohtaaj hai. Naauzobillah, baRi jurt ki baat ki hai Ap nay.Yeh ayaat dekheN Allah TaAla kia farmata hai: Al-Jasia 45:6-11, aur tauba kareN.
Ahadeeth ki kitaabeN tareekh ki hasiyat rakhti heN jin say us zamanay kay kuchh ahwaal maloom hotay heN,lekin yeh deen ka hissa nahiN ho saktiN.Ap in ko waHi mantay heN lekin meray nazdeek Allah ki bheji huwi waHi meN agar aik baat bhi ghalat ho jaey tau phir who waHi nahiN rehti.KiyooN k Allah say ghalti nahiN ho sakti.Ap bukhari,muslim, Ibn majja meN likhi tamaam ravayaat ko waHi mantay heN tau yeh bhi mantay hoongay k sangsaar wali ayet BiBi Aisha kay takiye kay nichay paRi huwi thi jis ko bakri kha gaee.isliye who ayet ab quran meN nahiN hai.Agar yeh waHi hai tau Allal TaAla ka quran ki hifazat ka wada kia huwa?
Yeh hadees poojari aql say kaam kiyooN nahiN letay? Sochtay kiyooN nahiN k baat kahaN say kahaN pohnch jati hai.Quran pe ilzam ata hai tau aaey raviye hadeeth par na aanay paaey.Wah kia soch hai.
Aik aur ravayet sunnye: RasoolAllah S meraj ki raat arsh par Allah kay paas gay aur 50 namazeN lekar wapis aarahay thay k rastay meN Hazrat Musa AS milay aur jub unhooN nay 50 namazooN ka sunna tau kaha k yeh tau ziada heN wapis jaeN aur kam karwa kay laeN.Istarha RasoolAllah S baar baar jaatay aatay rahay aur akhir meN 5 namazeN lekar aaey tau phir Hazrat Musa AS nay kaha k ab bhi ziada heN mazeed kam karwaeN,magar RasoolAllah S nay farmaya k nahiN mujhay sharam ati hai.
Es ravayet say Ap kia samjhay? ThoRi si aql wala insaan tau yeh sochay ga k : Allah TaAla ko aur us kay akhri Nabi S ko jo baat maloom na thi woh Hazrat Musa AS ko maloom thi. RasoolAllah ka dil chah raha tha namazeN kam karwanay ka lekin sharma gay. Lagta hay kisi yahoodi ki ghaRi huwi baat hadeeth ban gaee hai.



Mushrikeen barhana ho k tawaf kerte they yeh ziker tu Hadeeth mein hai (aap tu hadeeth nahi maantey yeh tu ajmi saazish hai aap k mutabik) aur Allah k Nabi (sallal laahu alaihi wasallam) ne inhien roka yeh bhi hadeeth mien hai, aur is k ilaawa aik mufassil tareeka jis terha Sahaba ne Allah k Nabi (sallal laahu alaihi wasallam) ko Huj kertey howey dekha bayan kiya hai j saara ka saara Hadeeth mien hai.. aap bataaiye k Allah k Nabi (sallal laahu alaihi wasallam) ne kis authority se inhien berhana tawaaf se roka aur Huj k mukhtalif ehkaam bataaye, Quran ki kis ayet k tehet? Aap k hisaab se tu ye quran pe izaafa howa? Aap logo se guzaarish hai k baraye meherbaani Yehoodi aur Nasraani sazish ka shikaar na hon.. Hadeeth ko rud ker k aap inki khidmat ker rahey hien, Islam ki nahi.

Mushrikeen barhana tawaf kartay thay ,yeh jan-nay keliye tareekh paRh lena kafi hota hai eskeliye waHi ki kia zaroorat hai? RasoolAllah S nay quran ki authority say unko manna kiya. Quran meN hai k libaas ka maqsad kia hay. Allah nay usool bataa diye heN baqi adami khud soch sakta hai Allah nay aql isilye di hai.Allah ka shukar bhi isi tarha ada hota hai k uski di huwi cheez ka istamaal kiya jaaey.
YahodiyooN ki sazish kab ki kaam kar bhi chuki Ap ko patta bhi na chala. Isi tarha nasraniyooN ki bhi.
Ap ki taqreeban saari shariah Bible say li gaee hai.Sangsar karna,murtad ki saza,sar ko Dhanpna,mayet ka soam aur chaliswaN waghaira sub bible ki taleem hai.Agar reference chahye tau keh dena.


bilkul sahee kaha k sub apnay apnay tareekey se namaaz perhtey jo k kabil e afsoos hai aur aap ne khod kaha k sub ka daawa hai, zahir hai dawaa tu koi bhi ker sakta hai meger daleel her aik k paas nahi hoti (jaisa k aap k paas bhi daleel nahi) aur is ki simple waja sirf aur sirf Quran aur saheeh hadeeth ko chor k apney apney makhsoos firqoo ki andhee taqleed/pairvi hai.. jo Firqa Peresti hai... Allah hum sub ko Quran aur Hadeeth pe saheeh maanoo mien chalney ki taufeeq ataa farmaye yeh firqa peresti is terha khod ba khod khatam hojaigee yehee hamari dawat hai. Mien ne pehley hee kaha hai k log tu Quran mien bhi ikhtalaf kertey hien... logo ka ikhtalaf Quran ko nakaabil e rehnomaayee nahi banata... kuch tu akal k naakhon lien.

Jisey Huq ki talaash hai osey chahiye k Shiya k daawey ki sehet ko jaanchney k liye tehkeek kerey k aaya inka dawaa k onki kitaabo mien saheeh hadeethien hien kis hud tuk durust hai. Zahir hai shiya tu yehee dawa keriengey "(Quran kehta hai k Her goroh/party jis cheez per hai os pe khosh hai) huq ko talaash kerney waley ka farz hai k woh daawey ki tehkeek kerey.

Siraf shiya kay dawa ki hi kiyooN sub kay dawa ki kiyooN nahiN.?Apnay mazhab ko bhi zara Quran ki roshni meN parakh kar dekheN ho saktaa hai dil ka qafal khul jaaey.

Is terha tu Christians bhi daawa kertey hien k Bible huq hai aur Quran baatil,,,, tu kiya ab Quran ko chor diya jaai??? dawaa kerna aur is k liye daleel ka hona alag baat hai...Shiya hazraat ka tu dawaa hai k Quran 30 paaron se ziyada thaa... ab bataaiye Quran pe bhi aitmaad na kerien? Aap konsa aataa khaatey hien? Aataa tabdeel kerien inshaAllah afaakaa hoga.
Agar christians dawa kartay heN tau Ap bhi tau hadeeth ko waHi samjhnay ka dawa kartay heN koi daleel tau ab tak di nahiN.Aur shiya ka agar Quran meN 30 paarooN ka dawa hai tau iski wajha bhi hadeeth ki kitaabeN hi heN.Lagta hai Ap nay tau hadeeth ki kitaabeN bhi nahiN paRheN jin ki Ap pooja kartay heN.

Baki Saheeh hadeeth pe aitraaz kerney se pehley soch lena k Qayamet k din Allah k Nabi (sallal laahu alaihi wasallam) ka haath hoga aur tumhara gareban....tum jis Hadeeth doshmani k mission pe nikley howey ho woh mission tu kisi yehoodi ne bhi nahi apnaaya hoga... Allah tumhien hidayet de.

Ap log siraf fatwe hi jaari kar saktay heN daleel kisi baat ki bhi nahiN hoti Ap kay paas.

Hadeeth wohi saheeh hai jiski tasdeeq Quran karay, us ko meN ji jaan say mantaa hooN. Jo Quran kay khilaaf jaaey who sub jhooT ka palandah hai.


Allah k fazel se saheeh hadeeth pe warid honey waley tamam aitrazaat ka jawab dena mujh pe farz hai k mera maksad Allah k Nabi (sallal laahu alaihi wasallam) ka difa kerna hai.....Mien pehley keh choka hon k mien Pakistan se bahir hon... meger tumharey her aitraaz ka jawaab mujh pe qarz hoga, os mien der hosakti hai.

Meray bhai, RasoolAllah S ka difa Bukhari aur Muslim waghaira kay difa say nahiN hoga siraf Quran say hoga.Kisi baat kay waHi honay ka saboot yeh hota hay k us meN tazaad na ho.Magar afsos k ahdeeth ki kitaabeN tazaadaat say bhari paRi heN.
Allah tala Ap ko Quran ki roshni dikhaaey.
 

Typhoon

Senator (1k+ posts)
Brother patriot ye bechara nahi samjhe ga. Inho ne deen ko quran se nahi sikha, balke baqol Iqbal ke char rikkat ke imam se sikha he. Agar Allah inhe toufeeq de to Allama Anayt ullah Mashriki ki likhi hoi tazkarah parhe.
Lekin chonke Allama Mashriki bhi in ke firke ki doctrine pe poore nahi utarte to ye jinab un ko bhi mukar-e-falaan falaan qarar de denge.
Allah in ko haq ki talash ki toufeeq de. Sab muslim behen bhaio ko de, kionke Quran ki taleemat hum ne dafna di hein ajmi literature ki gard ke neeche.
Parsio ki panch waqt ki namaz ne nizam-e-salah ki jaga le li, parsi aj bhi 5 waqt ki namaz parhte hein. Ye kissi bhi parsi se poocha ja sakta he.
Hum ne islam ke itne wasi usoolo ko mehez chand rasmo tak mehdood kar diya he. Is se islam ke siasi or falahi usool mazhab ki chand rasomat ada karne tak mehdod reh gae.
Bandgi or abdiyat ko hum ne parastish bana dia. Ye ek tareekhi haqeeqat he ke first century ka islam in sab khurafat se mavraa tha, yehi to waja thi ke state of Madinah ke qyam ke sirf 30 saal ke andar andar muslims ne west me Roman empire ko or east me Persian empire ko shikast se fash kya.
itni dynamic he Quran ke nizam me, lekin aaj ka mulla kehta he ke masjid me dunya ki baat karna bhi haram he, sirf pooja karo or ghar jao. Quran ka apna moashi nizam he, lekin mazhab ke mare masjid me Allah ke huzoor jhuk ke sidha jaate he stock exchange ki nokri pe. Darhi rakhi hoi, shalwar takhno tak tungi hoi, lekin yahoodi ke banae moashi nizaam ke alaakar bane ye banks me bhi kaam kar le ge.
Kionke hum log islam ki rooh tak nahi pohnche. Hum se pehle wale to pohnche the, lekin jab faras fatah hoa to deen ko mazhab ka jama pehna kar pooja pat tak mehdood kar dia gaya, take badshah salamat ki hukoomat me koi rukawat na daal sake. ghareeb ko qismat ki kahani suna kar khamosh kar diya gaya.
Agar aap eid ka khutba ghour se sune to moulvi aaj bhi abbasyon ki hukoomat ko praise karta he, or musalman Quran samajh ke sar dhunte hei or ameen ameen pokarte hein. mullah bhi tote ki tarha ratte alfaz poore kar ke apni mazhabi circus chala kar daal roti chala raha he. Koi pochne wala nahi.
Poochta is lie nahi, ke haqeeqi islam is se bohot si qurbanya mangta he, ek naya nizame hayat dikhata he.
Dar haqeeqat ye mazhabi log nahi balke secular hein, samajhte khud ko mazhabi hein. Secular wo hota he jo gher qurani nizam ko qubool karta ho or us ka hissa rahe, or mazhab ko private mamla samjhe. Moulvi yehi to kar raha he.
Islami nizam me priesthood ka koi tasawur nahi, nizam Allah ka or masjid ka manbar khalifae waqt ya us ke guvernor kelie hota tha. mullah ne ise kabo kar lia, humari badnaseebi. Sirf or sirf deen ko chorh kar mazhab apnane ki waja se.
Sab kuch lott gaya hum se, humara maqam humari manzil, humara itehad, humara nazrya.
Mazhabi tabqa to itna bebehra he Islami nizam se ke inho ne to Pakistan banane ki bhi mukhalifat ki thi or waja ye batate the ke chonke hume hind me gae ki qurbani karne ki, azaan dene ki ijazat he, namaz parhne ki azadi he to alag ryasat ka kya maqsad?
Hz. Allama Iqbal ne jawaban kaha:
Mullah ko jo he hind me sajde ki ijazat
nadaan samajhta he ke islam he azaad

Sach bolo aap mere bhai ho, mujhe umeed he ke aap Quran ko wahid or akhri wahi ke tour pe qubool kar lo ge, inshallah.
Me khud in andheri galio se guzar ke aya houn. Quran jab parha, samajh ke sath, to andaza hoa ke hum log kitne bhatke hoe hein. Phir Islami tareekh chhan di, un asbab ki talash me jinho ne hume wahi Allah se door kya, or tab ja kar dil se nikla, La ilaha il allah mohammed`ur rasoll allah.
Iman pedaishi tour pe tohfatan nahi milta balke wahi pe iman laya jata he us ko samajhne ke baad. Bagher samjhe apka iman iman nahi hota.

May Allah shower his blessing upon you.
 

such bolo

Chief Minister (5k+ posts)
Bismillah ir Rahman ir Raheem,

Alhamdulillah... aap dono ki reply ne aik baar phir sabit kerdiya k aap Quran se ilm hasil kerna tu dor ki baat os k saath khail rahey hien. aur apnee apnee merzi chala rahey hien aur aap dono ki reply mazeed is baat ko pokhta kerti hai k bagher Ahadeeth e Mubaraka k Quran ko samjhna naa mumkin hai, warna haal wesa hee hoga jaisa indono ka howa hai naa teen mien na tera mien.

Quran ka bayan Hadeeth Rasool (sallal laahu alaihi wasallam) hai aur jis terha Allah ne Quran ki hifazat ki isi terha Quran k bayan yaani Hadeeth ki bhi hifaazat ki aur aaj alhamdulillah hamarey paas Saheeh ahadeeth ka zakheera mojood hai jis se hum Allah k Nabi (sallal laahu alaihi wasallam) ko Allah ne jis terha Quran samjhaya woh samajh saktey hien.

Dono mosoof typhoon and patriot Munkireen hadeeth k (Pervaizi group) se taaluk rakhtey hien. Munkireen e hadeeth k buhat saarey groups hien yeh in mien se sub se jadeed hien. Baki Aslam Jairaaj poori, Allama Mashriqi, Sir Syed waghera bhi qabil e ziker hien. Yeh sub apni apni merzi aur aqal se quran ka tarjuma aur tafseer kertey hien aur dawaa kertey hien k inki tafseer ko qabool kiyajaye... in sub hazraat ne qurani ehkaamaat ko mukhtalif tareeko se bayan kiya hai. aur jo matlab aur tafseer aur amli tabeer hamien Ahadeeth e Mubaraka se milti hai os baarey mien kehtey hien k yeh sub Ajmi/Irani Saazish hai. Naaozobillah....(ager koi insaaf pasand kholey zehen k saath tadween hadeeth ki saari taarikh ko perhley aur os ilm k hawaley se ulema ki mehnet dekh ley tu woh yeh maaney bagher nahi reh sakta k yeh aik moajza hai aur Allah ki mashiyet bhi)

Chon k yahan naa tu itni tafseel di jaa sakti hai na hee kitaabo ki asal ibaaraat is liye meree guzarish hai k jo hazraat is baarey mien jaanna aur samjhna chahtey hon woh ulema e huq (jo quran aur hadeeth ki dawat detey hon kisi firqa ki nahi) onsey rabta kerien.

Wese aik baat aap ki maaloomaat k liye arz hai k Quran k jo maani/meanings jin lughaat/dictionaries se liye jaatey hien woh der hakeeket ulema ne hee Lughaat (dictionaries) tayyar ki hien aur onhi dictionaries se se yeh hazraat Quran k meanings lete hien aur yeh dictioneries Allah k Nabi (sallal laahu alaihi wasallam) likh k nahi gaye balki balkey osee dor ki yaa os k baad ki hien jub hadeeth ki tadween howi aur on dictioneries ko tayyar kerney k liye bhi Ahadeeth se madad lee gayee hai. Aur in dictioneries k mudawwineen bhi Ajmi/arabi ulema hien.

In sawalaat ka jawab abhi tuk nahi diya dono hazraat ne:

1) Namaaz/salat:

Salat ka tareeka kiya hai???? hum kahan se lien gey salat ka tareeka? Ager is namaaz mien Rukoo sajda Qayam hai tu kub konsa amal hoga aur os amal ki shakal kiya hogi os mien khaamosh raha jaiga yaa kuch perha jaiga, sajda aik hoga yaa 2 yaa 3. aap koi tu tareeka bataain.... aur quran se hee batain.. hadeeth tu aap maantey nahi. (aur aap kiyo fiqa e hanafi k mutabik namaaz perhtey hien) jub k yeh namaaz tu 5 wakt (farz) hai jo k kisi yehoodi ki garhi howi riwayet hai aap k mutabik, kahin aap ne yehoodi sazish pe amal kerney ka faisla tu nahi kerliya?

Mr. Patriot likhtey hien:

Lagta hay kisi yahoodi ki ghaRi huwi baat hadeeth ban gaee hai.

Mr. Typhoon likhtey hien:

Parsio ki panch waqt ki namaz ne nizam-e-salah ki jaga le li, parsi aj bhi 5 waqt ki namaz parhte hein. Ye kissi bhi parsi se poocha ja sakta he.

hahahaha... wese aap logo ki Quran fehmi ka pol tu yehin pe khol raha hai....mujhey samajh nahi aata k jub 5 wakt ki namaaz yehoodi sazish hai patriot k mutabik aur persian saazish hai typhoon k mutabik tu phir Quran kis salat ka hukum de raha hai? woh kiya cheez hai? (hadeeth k ilaawa samajh nahi aayegaa aur ager samjhney ki koshish bhi ki tu kisi k kiya samajh aayega aur kisi k kiya... isi liye kaha k Quran apnee tashreeh k liye Hadeeth yaani Rasoolullah (sallal laahu alaihi wasallam) ka mohtaaj hai aap jaisey jahilo (pervaizi muqalideen) ka mohtaaj nahi. Aap chahtey hien k aap jaisey maghrib pereston k haathon mien Quran ki tashreeh de di jaye jo Quran k saath mazaak kerna shoro kerdien aur os mazaak ko Quran Fehmi aur Tafaqoh fiddeen ka naam dien)

Wese Mr. Patriot ka jo jawab hai woh ain Ghulam Ahmed Pervaiz k jawab ki nakal hai jo Ghulam Ahmed Pervaiz ne apnee kitaab Qurani Faisley page 32 pe diya hai... jis se sabit hota hai k yeh log kis kader aik hee shaks ki raaye aur jawabaat pe makkhi maartey hien aur Ghulam Ahmed Pervaiz ko woh mukaam de diya hai jo Allah ka Nabi (salla laahu alaihi wasallam) ka thaa yaani Quran ki tashree aur amli tabeer.

Yeh log jitna bhi dawa kerien Namaz perhney ka meger yeh log namaaz nahi perhtey is ka soboot hai Akhbaar e Jahan., Karachi 8 January 1969. Jis mien mazkoor nomaindey ne Bazm e Toloo e Islam ki Eid Milan Party ka aankho dekhaa haal paish kiya jo Karachi mien howa thaa... jis mien Magherib ki namaaz nikal gayee aur aik sahib ki shikayat pe ailaan howa k namaaz perhee jai os wakt tuk yeh log Qurani Inklaab burpa kerney k liye takaareer ker rahey they aur Ciggaretes ka dhowan Hall mien buland ho raha thaa... aur jub namaz perhee gayee (woh bhi Qaza) tu total paanch afraad they.

Aik aur baat mr. patriot kehtey hien k jub Quran ne lafz Salat istamaal kiya tu os wakt jo log salat qaaim ker rahey hongey onhien is lafz k meaning pata hongey isl iye inhien pata chal gaya hoga k salat kaaim kerney se kiya morad.... tu bhai mien bhi tu yehee pooch raha hon k os dor mien salat qaaim kerney k kiya matlab thaa??? aaya yeh matlab quran se milega ya os dor k kisi shuks se tumhara baraa e raast raabta hai??? yeh guthee tu soljhaao....

Baar baar mr. patior likh raheyh hien k meree baat tumharey ser se guzer gayee... zahir hai baat hee betuki hogi tu ser se guzer jaaigee.

2) Saum:

Ab aap dekhien Hadeeth ko naa maan k aur Quran Fehmi ka jhoota dawaa ker k aap ne Quran k kitney ghalat meaning liye hien. Mr. Patriot ne kaha k Saum k meaning hien Rok jaana, baaz rehna. yaani ye kehna chahtey hien k Ramazaan k 30 dino mien apnee biwi se alehda rehna Roza hai, aur jo ijmaayee haisiyat hai Roza ki yaani Sehree se le k iftaar tuk kuch khaana peena nahi yeh Ajmi saazish hai (kiyo k hadeeth mien hai).

Ab dekhiye Quran kiya kehta hai:

Aey logo jo emaan laaye ho tum per Soum (Rozey) isi terha fardh kiya gaya hai jis terha in logo per fardh kiya gaya thaa jo tum se pehley they taakey tum Muttaqi bun jao.
(Rozey) ginti k chund din hien phir tum mien se koi beemaar ho yaa safer per ho tu dosrey dini se ginti poori kerley
aur jo log roza rakhney ki takat rakhtey hon (phir na rakhien) tu iska fidya aik miskeen ko khaana khilaana hai phir
ager koi shuks apni khoshi se (ziyada) naiki kerey tu yeh is k liye behter hai aur tumhara roza rakhna tumharey liye kahin behter hai ager tum ilm rakhtey ho.
Al Quran Sorah Bakara Ayet 184


Ager aap Saum k meaning woh lien jo Hadeeth mien yaani khaaney peeney se perhaiz (aur saath hee saath dosri boraiyo se bachney ki bherpoor koshish kerna) tu in ayaat ka samjhna intihaayee asaan hai. Zahir hai beemaari mien aur Safer mien bhooka piyaasaa rehna intihaayee mushkil hai is liye yahan Allah Taalaa khaaney peeney ki rukhsat de raha hai. Is k ilawa jo Ehkaam aur Masaail hamien Ahadeeth se Roza/Soum k baarey mien miltey hien woh intihaayee Rational, fitret k ain mutabik aur Taqwa k hosool ka hakeekee zariya hien.

Meger ager aap meaning woh lien jo Mr. Patriot (pervaizi fiker k mutabik) ker rahey hien yaani din k aukaat mien biwi se dor rehna tu phir in ayaat ka samjhna naa mumkin hai.

-Roza ka maksad quran ne Taqwa bayan kiya hai ab ager is ka meaning Din mien biwi se dor rehna hai tu is mien koi kamaal nahi aur din mien tu wese bhi insaan apney kaam kaaj mien mashghool hota hai tu phir is dori se taqwa ka hosool kis terha mumkin hai?.

-Musafir aur beemaar se kaha jaa raha hai k woh ginti baad mien poori kerley. yaani woh roza na rakhie, aur pervaizi meaning k mutabik musafir aur beemar Ramadhan mien apni biwiyo k paas din mien jaa saktey hien.

-Ji Janab dekha aap ne pervaizi shahkaar apnee aqal k mutabik Quran Fehmi ka!!!! Musafir aur beemar ka tu wese bhi doraaney safer din tu kiya raat mien bhi biwi k paas jaana mushkil hota hai (yaani woh tu mustakil roza mien hota hai pervaizi tafseer k mutabik) tu phir onhien yeh rukhsat dene ka kiya maksad? yaani kiya Musafir aur Beemaar ko kaha jaa raha hai k woh chahien tu apnee biwiyo k paas din mien bhi jaa saktey hien? beemaar aur musafir k saath aisee kiya majboori howi hai jo isey rukhsat dee jaa rahee hai? yeh kiya ajeeb baat hogayee? aur inhien yeh kehna k woh ginti baad mien poori kerlien ka kiya maksad?

In logo ne apni khod sakhta tashreeh se Quran ka jo hulya bigaara hai os se Allah ki panah.

3) Zakat:

Quran mien zakaat dene aur wasool kerney ka hukum hai. aur kinhien dee jai os ki bhi tafseel mojood hai, aur na dene walo ko Azaab ki dhamki dee gayee hai.

-ab yeh zakaat kis terha dee jai?
-aal mien aik dafa?
-Umer mien aik dafa?
-Kitney maal pe?
-Kis nisaab se?
-Ghalley (anaaj) pe kitni?
-Soney chandi pe kitni?

Wese Pervaizi nazriya Zakat k baarey mien yeh hai k yeh Hukumet wasool kerey aur hukumet na ho tu zakat nahi... jo inki apnee tashreeh hai Quran mien aisa koi ziker nahi k hukumet ki ghair mojodgi mien zakat sakit hojati hai... balkey Zakat ka hukum tu on sorton mien bhi aaya hai jo Nazool k aitbaar se makki dor mien otri jub k Makki dor mien Hukumat e Islamiyah nahi thee tu phir kis zakat ka hukum kihien diya gaya aur onhon ne kis terha is hukum per amal kiya?

yeh saari tafseel Quran se dee jai Ahadeeth se nahi. Kiyo k Ahadeeth tu Saazish hien aap k hisaab se. Ab yeh mut kahiyega k Mr. Pervaiz ki tashree ko hujjet tasleem ker liya jai.

4) Huj aur Umrah

Quran Huj aur Umrah ka hukum deta hai. Patior sahib se jub is farz adaa kerney ka tareeka poocha gaya tu kehtey hien:

Es ka jawab bhi agar Ap samajheN tau oopar hi hai.

Kahan opper hai? Yeh Umrah aur Huj alag alag alfaaz k saath bayan howa hai Quran mien aap bataaiye k inkey alag alag kiya meaning hien. aur kis terha adaa hongey.. ,

Baitullah k Tawaf ka bhi hukum hai, yeh baitullah kahan hai? Makkah mien? Masjidul Haram kahan hai? Makkah mien? kese pata chalega? Hosakta hai Masjidul Haram kahin aur ho..Yeh Makkah wali masjidul haram hee masjidul haram hai is ka kiya soboot hai? Quran se bataiye... Hadeeth, taareekh yaa tawatur se nahi. kiyon k aap in sub ko naa kabil e hujjet samjhtey hien. Hadeeth pe hamara eemaan hai, aap k nazdeek yeh ajmi sazish hai.

5) mazeed mr. patiot kehtey hien

Ahadeeth ki kitaabeN tareekh ki hasiyat rakhti heN jin say us zamanay kay kuchh ahwaal maloom hotay heN,lekin yeh deen ka hissa nahiN ho saktiN.Ap in ko waHi mantay heN lekin meray nazdeek Allah ki bheji huwi waHi meN agar aik baat bhi ghalat ho jaey tau phir who waHi nahiN rehti.KiyooN k Allah say ghalti nahiN ho sakti.Ap bukhari,muslim, Ibn majja meN likhi tamaam ravayaat ko waHi mantay heN tau yeh bhi mantay hoongay k sangsaar wali ayet BiBi Aisha kay takiye kay nichay paRi huwi thi jis ko bakri kha gaee.isliye who ayet ab quran meN nahiN hai.Agar yeh waHi hai tau Allal TaAla ka quran ki hifazat ka wada kia huwa?

jub yeh kitaabien hien hee ajmi aur iraani sazish aur yehoodi saazish tu phir in kitaabo se taarikh ki hud tuk bhi istafaada kiyo? Jub 5 wakt namaaz bhi yehoodi yaa iraani saazish hai jis ka ziker in Ahadeeth ki kitaabon mien mojood hai tu phir in kitaaboo se os dor ka kuch hawaaley kese mil jaatey hien?.

6) Quran mien Salatul Jummah ka ziker hai "Aey imaan waloo jub Azaan dee jai Salat/Namaz k liye jummah k din tu tum Allah k ziker ki teref doro aur khareed o farokht kerna chor do yeh tumhare liye behter hai ager tu jaantey ho" 62:9

Ager oper wali ayet ko Ahadeeth ki roshni mien dekhien tu koi confusion nahi rehtee balkey aik aik lafz nikher k saamney aajataa hai.. lekin ager Ahadeeth ka inkaar ker diya jaaye aur sirf Quran ko hujjet tasleem kiya jai aur Hadeeth ko Ajmi sazish k jhotey propagandey ki bhent charhaaya jaai tu phir confusion hee confusion hai jis k koi jawab nahi maslan:

1) Jummah k din kub pukaara jaiga?
2) Salatul Jummah k kiya meaning hien?
3) Salat k liye pukaarna k kiya meaning hien?
4) Kin Alfaaz se pukaara jai?
5) Allah k ziker ki teref kahan dorien?
6) Allah ka ziker Salat ul Jummah mien kis terha kerien?

in tamam baaton k jawabat Quran se dijiye Ahadeeth se nahi.... kiyo k aap k nazdeek Ahadeeth hujjet nahi.

7) Mr. Patiort kehtey hien:

YahodiyooN ki sazish kab ki kaam kar bhi chuki Ap ko patta bhi na chala. Isi tarha nasraniyooN ki bhi.
Ap ki taqreeban saari shariah Bible say li gaee hai.Sangsar karna,murtad ki saza,sar ko Dhanpna,mayet ka soam aur chaliswaN waghaira sub bible ki taleem hai.Agar reference chahye tau keh dena.

Wese ager Hadeeth pe amal kerna Yehoodi aur nasraani saazish hee hai tu phir Yehoodiyo aur Chrisitians ko musalmaano se khosh hona chahiye k musalmaan inki saazish pe amal ker rahey hien aur aap logo se naraaz jo is saazish ko faash ker rahey hien... Lekin yahan tu ulti ganga beh rahee hai... Musik, Dance, Sharab noshi, Sood khori, be pardagi aur is k ilawaa jitni kharaafaat hien jo Quran aur Hadeeth k zariye se kabil e mazammet hien aur ummet k jo afraad in Gunaaho se ummet ko roktey hien onsey tu Maghrib aur Yehoodi naraaz hien aur jo in cheezon pe amal kertey hien yaa inko jawaaz mohayya kertey hien Ahadeeth ka rud ker k onsey tu yeh log barey khosh hien... Yeh kiya maajraa hai??? Sazish k Ittehadiyo se naraaz aur mukhalifeen se khosh??

8) mazeed inki mooshagafiyan dekhien:
Mushrikeen barhana tawaf kartay thay ,yeh jan-nay keliye tareekh paRh lena kafi hota hai eskeliye waHi ki kia zaroorat hai? RasoolAllah S nay quran ki authority say unko manna kiya. Quran meN hai k libaas ka maqsad kia hay. Allah nay usool bataa diye heN baqi adami khud soch sakta hai Allah nay aql isilye di hai.Allah ka shukar bhi isi tarha ada hota hai k uski di huwi cheez ka istamaal kiya jaaey.

Mushrikeen hamesha hee barhana nahi rehtey they... Libaas ki kuch na kuch ehmiyat inhien bhi pata thee..Khaas ker Tawaf k mokey pe barhana hona exception hai jo mushrikeen ne apne liye paida kerlee thee....is terha ki exceptions tu hamarey deen ne bhi di hien... Insaan khalwat mien, apnee biwi k saath, aur ghusal kertey wakt berhana hota hai yeh exceptions hien... inki ijaazat hamien Allah k Nabi (sallal laahu alaihi wasallam) se milti hai...

sawal yehee hai k Tawaf berhana na kerney ki momaniyet k liye koi quran ki ayet tu honee chahiye... Kiya Quran na mukammal hai?

Ager aap kehtey hien k Quran mien hai k Libaas ka maksad kiya hai is lihaaz se berhana tawaf os maksad k khilaaf jaata hai ... tu phir apnee biwi k samney berhana hona bhi os maksad k khilaaf jaata hai. ye exception aap kahan se laaye, yeh sawal os wakt hai ager aap ki shaadi hogayee hai tu ager nahi howi tu kisi dosrey munkir e hadeeth se pooch lien k aaya munkireen e hadeeth k nazdeek apni biwi k samney berhana honey ki kiya daleel hai? alhamdulillah hamien in tamam baato ki tafseel Saheeh Ahadeeth Mubarka se mil jaati hai.

Haan Mr. Aqalmand aik aur baat... yeh Tawaf kiya cheez hai??? kese kiya jaata hai??? koi daleel Quran se?

9) Mr. Aqalmand k mazeed aqwale zarin

Hadeeth wohi saheeh hai jiski tasdeeq Quran karay, us ko meN ji jaan say mantaa hooN. Jo Quran kay khilaaf jaaey who sub jhooT ka palandah hai.

Jub hadeeth chahey wo Quran k mutabik ho yaa na mutabik (aap k nazdeek), kiyo k jamaa kerney waley tu wohee hien... aisa tu nahi Quran k mutabik (aap k nazdeek) wali ahadeeth jama kerney waley koi aur hien aur jo Quran k mutabik (aap k nazdeek) nahi hien woh jama kerney waley koi aur... jub sub Aaima e Hadeeth (rahimahumullah) aap k nazdeek hien hee saazishi (naozobillah) tu phir ji jaan se kiyo maantey hien???

Aap nashaa tu nahi kertey.. kabhi kiya kehtey hien kabi kiya... dosron ko ghor o fiker ki dawat dete hien khod hee apnee baaton pe ghor o fiker kerlien tu aap ko takleef se nijaat milegee. Itna tazaad kiyo hai???

10)
Meray bhai, RasoolAllah S ka difa Bukhari aur Muslim waghaira kay difa say nahiN hoga siraf Quran say hoga.Kisi baat kay waHi honay ka saboot yeh hota hay k us meN tazaad na ho.Magar afsos k ahdeeth ki kitaabeN tazaadaat say bhari paRi heN.

tazaad aap ki baaton aur aqal mien hai.. jo oper mien sabit kerchuka hon.. Alhamdulillah Saheeh ahadeeth mien koi tazaad nahi... Modho aur Zaeef ahadeeth is baat ka soboot hien k Saheeh ahadeeth mojood hien... ager saheeh ahadeeth mojood hee naa ho tu mozoo aur zaeef ki kiya behes...

Baki rahee ye baat k Hadeeth sonee sonayee baato ka majmoa hien tu janab ager aik khaber sacha aadmi laaye tu os ki baat pe yakeen kiya jaata hai yehee Quran kehta hai: Aey Imaan walo ager tumharey paas koi fasiq khaber laaye tu os ki tehqeeq kerliya kero (Al Quran) yaani ager khaber laaney wala fasiq na ho aur saccha ho tu tehkeek ki zarorat nahi... Aap ki ittela k liye arz hai k Alhamdulillah saheeh hadeeth kehtey hee osey hien jis k riwayat kerney waley sub sachey hon aur sodook hon... aur Alhamdulillah inkey sachey honey ki gawahee os dor k saikron ulema de chukey hien isi waja se os dor mien aur os dor k baad aaney waley tamam ulema ne saheh Bukhari aur Muslim ko majoyee tor per hujjet tasleem kiya aur is k ilawa tamam ahadeeth e saheeha ko bhi... Gawahee se mutalik bhi Quran ka hukum perh lo Sora e Maaida Ayat 106-108 mien gawahee ki tafseel dee hai jis k mutabik tamam adaalti cases (siwaye zina k) ki bunyad Islam mien 2 Aadil/just/sachey gawaho pe rakhee gayee hai....Alhamdulillah in Raawiyaan e Hadeeth ki sachaayee pe beshumaar gawahiyaan mojood hien aur inhi rawiyo ne hadeethien jama ki....

Tum chahtey ho 1400 saal baad tumharey is jhootey propaganda ko hum tasleem kerlien aur on hazaaron gawahiyo ko pash e pusht daal dien???? Kiya tum Imam Bukhaari k dor k kisi taarikhee hawaley se imam bukhaari ko jhoota sabit kersaktey ho????

11)
Agar christians dawa kartay heN tau Ap bhi tau hadeeth ko waHi samjhnay ka dawa kartay heN koi daleel tau ab tak di nahiN.Aur shiya ka agar Quran meN 30 paarooN ka dawa hai tau iski wajha bhi hadeeth ki kitaabeN hi heN.Lagta hai Ap nay tau hadeeth ki kitaabeN bhi nahiN paRheN jin ki Ap pooja kartay heN.

Mr. Patriot Hadeeth ko Wohee nahi maantey... hamara dawaa hai k Hadeeth der hakeeket Allah k Nabi ki itteba ka raasta hai aur Quran ki itteba Hadeeth ki itteba k saath jori howi hai. Quran k alfaaz ko mehfooz rakhney ka koi faida nahi ager oski amli tabeer aur tashree jo Sahaba ko mayyasir thee woh mehfooz na rahey. Quran bhi is tabeer aur tashree ko hujjet karardeta hai. Aaiye Quran kiya kehta hai Allah k Nabi (sallal laahu alaihi wasallam) ki Itteba se mutalik:

a) Aey hamarey perwadigaar hum os kitaab pe imaan laaye jo tu ne otaari aur Rasool ki itteba ki pus tu hamien maanney waloo mien likh le. 3:53


is ayet mien Rasool ki itaa'at aur Quran/Kitab ki ata'at ko alag alag bayan kiya gaya hai. Ager sirf Quran ki ata'at kaafi hoti tu Rasool ka ziker kiyo kiya gaya.

b) Hum ne jo Rasool bheja wo is liye bheja k allah k fermaan k mutabik os ka hukum manaa jai. 4:64


yaani ye Allah ka hukum hai Rasool k hukum manaa jai. yaani jo bhi Rasool ho chahey osey kitaab dee gayee ho yaa naa dee gayee ho. Rasool apni kulli haisiyet mien laaik e itteba hota hai. is liye ager Rasool k oper nazil ki gayee kitaab ko qayamet tuk k liye hujjet banaya gaya hai aur mehfooz kiya gaya hai tu os k aqwal ko bhi kiyaa jaanaa chahiye taakey Rasool ki itteba hosakey. Aur yeh mokaam Allah k Nabi (sallal laahu alaihi wasallam) ka hai jo aakhri Rasool hien.

c) Jis ne Rasool ki ata'at ki os ne beshuk Allah ki ata'at ki. 4:80


Yahan kitabullah/Quran ki ata'at ki baat nahi ki jaa rahee Rasool ki ata'at ki baat ki jaa rahee hai (Rasool ki ata'at mien Quran aur Hadeeth dono shamil hien Ager sirf quran hota tu Rasool ka ziker kerney ki zarorat nahi thee. yaani Rasool ki ataa'at Allah ki ata'at hai. Allah ki ata'at k liye Rasool ki ata'at lazim hai. jis terha sahaba Allah k nabi (sallal laahu alaihi wasallam) ki ataat kiya kertey they woh ata'at hum hadeeth pe amal ker k ker saktey hien, jo derhakeeket Allah ki ata'at hee hai. (saheeh ahadeeth)

d) Aur hum azaab nahi bhejtey jub tuk pehley peghamber na bhejlien 17:15


yaani peghamber hujjet hota hai aur peghamber k hujjet honey k maaneey hien peghamber is ki ata'at ki jai os k hukum ki farmaanbardari ki jai aur os k amal ko hujjet samjha jai...yahan kitaabullah ko hujjet nahi karadiya gaya balkey peghamber ko karardiyagaya hai. (her peghamber ko kitaab nahi di gayee)

e) Mushrikeen ne boton/statues ko Allah ka shareek theraaya tu Allah ne farmaya k ager yeh bot/statues Allah k shareek hien tu:

Mere paas is se pehley ki koi kitaab ya ilmi riwayet lao ager tu sachey ho. 46:4

is ayet mien Kitab ko bhi hujjet karardiya gaya aur ilmi asaar (yaani hadeeth) ko bhi hujjet karardiya gaya hai.

f) bilashuba tumahrey liye Rasool (ki zaat mien) umdah namoona hai- is shuks k liye jo (Allah k samney hazir honey) aur akhirat k din ki umeed rakhta hai 33:21


ab jo bhi akhirat ki umeed rakhta hai chahey wo sahaba hon yaa aaj k dor k musalmaan yaa baad mien aaney waley onkey liye Allah k Nabi (sallal laahu alaihi wasallam) nomoona hien... yahan bhi Quran ka ziker kiya jaana chahiye thaa kiyo k qayamet tuk tu sirf Quran mehfooz raheyga (aap k mutabik) meger chon k Allah k Nabi (sallal laahu alaihi wasallam) ki seerat bhi mehfooz rehnee thee is liye inhien namoona karardiya gaya.

g) wohee tu hai jis ne ommee qoom pe aik Rasool bheja jo on per Allah Taalaa ki ayaat perhta hai aur inki zindagi sanwarta hai (tazkiyah) aur inhien kitab aur hikmat ki taleem deta hai halaankey is se pehley woh kholee gumrahee mien perehowethey aur Rasool ki baisat (nazool) on logo k liye bhi hai jo insey abhi nahi miley 62:2-3


Allah o Akber.... is ayet k perhney k baad kisi shuks k liiye jawaz hee nahi rehta k woh hujjiyet e hadeeth ka inkaar kerey. Yeh ayet saaf tor pe bata rahee hai k Rasool ki baisat na hee arab tuk mehdood hai aur na hee Sahaba k dor tuk balkey yeh her os shuks ka ahaataa kiye howey hai jo Rasool se nahi mila. Yahan bhi Kitab ka ziker kerna behter thaa ager sirf Quran ko hee mehfooz manaa jai... meger Rasool (salla laahu alaihi wasallam) ki ataa'at daaimee ata'at hai aur wakti yaa ilaakayee nahi jaisa k log samjhtey hien.

Is k ilaawa Manasib e Risaalat mien ayaat ka tilawat kerna yaani quran ponhchana, is k ilawa tazkiya kerna aur is k ilawa kitaab aur hikmet sikhaana bhi hai. sawal yeh hai k Rasool ka kitaab/quran ki ayaat tilawat kerney mien aur Quran/kitaab ko sikhaaney mien kiya farek hai jo Quran dono ko alag alag ziker ker raha hai? aur yeh Hikmet kiya hai. yeh saari baatien hadeeth ki teref nishaandahi kertee hien. Alhamdulillah. aur sabit kertee hien k Quran ponhchaaney k ilawa bhi Rasoolullah k kuch faraiz they jin mien kitaab ki taleem, hikmet ki taleem aur tazkiya bhi shamil hai.

h) hum ne aap ko tamam bani no insaan k liye Basheer (khoshkhabri dene wala) aur Nazeer (daraney wala) bana k bheja 34:28


yahan bhi quran ka ziker behter hota kiyo k bani no inssaan ka ziker zamaan aur makaan ki qaid se azaad hai, aur is mien tu pori insaaniyet qayamet tuk aajati hai (yaani nabi ki baisat k baad) aur ager sirf quran hee mehfooz aur laaik e itteba hai tu phir Quran ka hee ziker munasib hota meger chon k Nabi ki itteba mien Quran aur Hadeeth dono shamil hien is liye yahan Nabi ka ziker kiya gaya.

i) pus tere perwardigaar ki qasam! yeh log os wakt tuk imaandaar nahi hosaktey jub tuk woh apney tanaazi'aat mien aap ko haakim tasleem na kerlien, phir aap k faisley k mutalik apney dilon mien tangi bhi mehsoos na kerien aur porey tor per is faisley ko tasleem na kerlien 4:65


Zahir see baat hai aap (sallal laahu alaihi wasallam) ne jo faisley farmaaye woh Quran mien tu mazkoor nahi is liye in faislon ki terf rojoo kerney liye ahadeeth hee wahid raasta hien (jinhien allah ne mehfooz farmadiya hai). aur dosra is ayet se yeh bhi sabit hota hai k faisley kerney ka ikhtiyaar Allah k Nabi (sallal laahu alaihi wasallam) k paas hai yaani jo tabeer aur tashreeh Allah k Nabi kerien wohee kabil ataa'at hai aur hujjet hai her aik apnee merzi se tabeer kerey woh imaandaari nahi balkey be-imaani hai.

j) jo log Allah aur os k Rasool k saath kufr kertey hien aur chahtey hien k Allah aur os k Rasoolo k dermiyan (ataa'at) mien tafreek daalien aur kehtey hien k hum aik ko tu maantey hien aur dosrey ko nahi maantey aur kufr aur imaan k dermiyan aik raah nikaalney ka iraada rakhtey hien yehee log pakkey kafir hien.


Ji janaab moaamla bilkul saaf hogaya. aisa lagta hai yeh ayet munkireen e hadeeth k liye nazil howi hai. hum ne aaj tum aisa koi nahi dekha jo Allah ko tu naa maaney meger Rasool ko maaney... haan meger aisa zaror dekha hai jo Allah ko tu maantey hien meger Rasool ko nahi maantey. ab yeh naa manna mukhtalif tareeko se hosakta hai amli tor pe bhi aur qoli tor pe bhi, meger aik baat zaror hai k aisey log hien pakkey kafir.

k) aur jub insey kaha jaata hai k aao os cheez ki teref jo Allah ne nazil ki hai aur aao Rasool ki teref tu in munaafiqo ko tum dekhtey ho k tumhari teref aaney se pehloo tehee ker jaatey hien 4:61


ab dekhiye is ayat mien deenee ehkaam ki makhz 2 cheezien batlaaigayee hien aik kitabullah aur dosri Rasool ki Tashree aur faisley (ahadeeth) jo derhakeeket minjanib Allah hee hien. aur jo log Rasool ki teref aaney se pehlo tehee kerien yaani Ahadeeth tu wohee log munafiq hien. is se maaloom howa k sunnet e rasool bhi hujjet e sharayee hai. ab aik hujjet mehfooz ho aur dosri naa ho tu yeh deen kahan se mukammal howa Qayamet tuk k liye. phir tu yeh deen sirf sahaba k dor tuk kabil e itteba raha aur phir khatam jis terha dosrey adyaan k saath moaamla howa.

l) aur jo koi raah e raast (hidayet) ki wazahat k baad Rasool se kinaara kush rahey aur ehle imaan (sahaba) k ilawa koi raah ikhtiyaar kerey tu hum bhi osey osee teref phair deingey jidher woh khod phir gaya aur osey jahannem mien daal diengey jo badtareen thikaana hai 4:115


yaahan bhi Kitabullah ka koi ziker nahi, sirf Rasool ki adam ataat aur aur mukhalifat ka ziker hai jo jahnnam mien jaaney ka sabab bun gayee. Yahan Hidayet k wazeh honey ka matlab hee yeh hai k Rasool ki tashreeh aur tafseer jis pe Sahab bhi amal ker rahey they ager os pe koi na chaley tu woh jahnnami hai. yeh ayet Hadeeth ki hujjiyet pe wazeh daleel hai. ab aik hujjet mehfooz ho aur dosri naa ho tu yeh deen kahan se mukammal howa Qayamet tuk k liye. phir tu yeh deen sirf sahaba k dor tuk kabil e itteba raha aur phir khatam jis terha dosrey adyaan k saath moaamla howa.

m) jo log Rasool k hukum k khilaaf kertey hien inhien is baat se derna chahiye k in pe koi afat na aan parey ya inpe koi derd naak azaab nazil ho 25:63


is ayet mien bhi kitaab ka ziker nahi balkey Rasool k hukum ka ziker hai (aur Rasool ki ata'at mien dono Quran aur Hadeeth shamil hien) ager sirf Quran hujjet hota tu phir yahan Quran ka ziker munasib hota.

n) Allah farmata hai "aap apni merzi se kuch nahi boltey meger balkey yeh mehez wahee/revelation hai jo aap ki teref ki jaati hai"

Yeh Aayet Allah k Nabi (sallal laahu alaihi wasalam) ki ahadeeth ko wohee ka darja de rahee hai... jo yeh sabit kerta hai k Hadeeth bhi Wahee hai.


der asal yeh munkireen hadeeth ka guroh poori ummet bewakoof samjhta hai jo 1400 saal se Hadeeeth k hujjet honey pe muttafiq hai, aur yeh aik bhi aisaa tareekhee hawal nahi de saktey jahan musalamano k kisi aalim ne yaa kisi groh ne biljumla Ahadeeth ki hujjiyet ka inkaar kiya ho. Aur 1400 saal baad Maghrib pereston ki khowahish k mutabik yeh aaj Ahadeeth ko nakabil e amal kararde rahey hien apnee aqal k mutabik...taakey deen ki poori imaaret ko dhaa diya jaai.

o) jo log Allah pe aur roz e akhirat pe imaan nahi laatey aur in cheezon ko haraam nahi samjhtey jin ko Allah ne aur os k Rasool ne haram kiya hai onsey jung kero. 9:29

Yahan wazeh tor pe yeh bataya jaa raha hai k cheezon ko haram Allah bhi karadeta hai aur Rasool bhi (Allah k hukum se)... ager moaamla sirf Quran tuk hee mehdood hota aur itteba e Rasool ya kisi amli tabeer ki zarorat hee na rehti tu phir Rasool ka ziker alehda se kerney ka kiya jawaz?

Mere khayal mien itney daleel kaafi hein.. Alhamdulillah.

Kholaasa yeh hai Allah k Nabi (sallal laahu alaihi wasallam) sirf quran perh k sunaney k liye nahi aaye they balkey:

-Aap Kitabullah/Quran k Shahrah/mufassir bhi they
-Ummet k Moa'alim aur Murabbi bhi they
-Peshwa, Rehnoma aur Qaaid bhi they
-Shahreh, Qazi aur Judge they
-Hakim aur Farmanrawa they

Aap k yeh manasib Quran ki ro se sabit hien jo shuks in manasib ka kisi bhi satah pe inkaar kerta hai woh der hakeeket aap ki risalat ka aur Quran ka inkaar kerta hai. Ab sochney ki baat yeh hai k aap ne in manasib ki ro se jo kaam aur umoor seranjaam diye onkee tafseel hamien Quran se tu nahi milti balkey on ki tafseel hamien Ahadeeth e Nabwiya k zariye se milti hai. Aur ahadeeth bhi Quran k mutabik Deen k dosra source hien. Quran aur Hadeeth laazim aur malzoom hien.... Hadeeth ko sazishi kehney waley khod sazishi hien... Hadeeth Quran ki khilaaf nahi hosakti haan insani aqal ka rakhna hosakta hai k woh Hadeeth ko Quran k khilaf samjhey.

Ager Hadeeth ka inkaar kerdiya jaaye tu yeh saarey manasib jo Quran ne Allah k Nabi (sallal laahu alaihi wasallam) ataa kiye hien sub be maani hojatey hien.

Is se yeh sabit hota hai k hum hee der asal deen ko mukammal maantey hien aur Munkireen e Hadeeth der hakeeket Deen ko na mukammal maantey hien... Sirf Quran ka ikrar aur is ki amli tabeer ka inkaar deen ko adhora maanna hai aur nakabil e itteba maanna hai.

Reply to Mr. Typhoon

Wese tu apnee second last reply mien typhoon sahib ne koi kaam ki baat nahi ki siwaaye jumley baazi aur ilzaam terashi k aur apnee last mail mien bhi aur wo bhi bagher soboot k, haan yeh zaror howa hai k Cat came out of the bag. Mien ne aik dafa bhi Mr. typhoon ko Kafir nahi kaha balkey mien ne likha thaa..

Allah k Nabi (sallal laahu alaihi wasallam) ki saheeh hadeeth ko naa maanney waley Munkireen e Hadeeth Musalmano k nazdeek Kafir hien.

Ab batayiye mien ne typhoon sahib ko kafir kaha hai? Nahi na? tu phir typhoon sahib ne kiyo lika k:

O Islam ke thekedar, mujhe kafir kehne wale, pehle apne firke ko baki firko se musalman to karar dilwa lo.

Phir likhtey hien

Afsos ye ke tumhara zehen ye baat samajhne ke shaid kabil nahi ke, me munkare hadees nahi or na hi munkare qoul-e-rasool houn.

Ab batayiye mien munkier e hadeeth ko kafir kaho tu yeh apney opper le letey hien aur phir likhtey hien k mien mukir e hadeeth nahi hon.

Yeh tu mien bus yonhee inki badhawaasi ki aik misaal de raha thaa.. beher haal mien apney who sawal dohra raha hon jis ka jawab abhi tuk typhoon sahib ne nahi diya baawjood iskey k onhien apney perhey likhey honey aur roshan khayal honey ka buhat ghamad hai aur aqul mund honey ka bhi ab yeh aisey aqal mund hien k baatien kertien hien bila soboot aur daleel.

1) mien ne likha thaa

mien pehley keh chuka hon k Munkireen hadeeth k kitney hee guroh hien jo aksar Farz Namazon ki tadaad mien bhi mutafiq nahi aur koi 3 maanta hai koi 4 aur koi 5....is k ilawa kitni aur baatien hien. ab bataaiye yeh log beemaar howey yaa nahi.

Is baat ka mr typhoon ne jawab nahi diya aur na hee daleel se mujhey ghalat sabit kiya. k munkir e hadeeth akhir muttafiq kiyo nahi namaazo ki tadaad k baarey mien balkey kitney tu is baat pe bhi muttafiq nahi k sajda aik kerien yaa 2, ruko kerien tu kis terha qayam mien kiya kerien? Aur kiya perhien koi qayam mien khaamoosh rehta hai koi rukoo kis terha kerta hai koi kis terha.. aur namaaz koi kis terha khatam kerta hai koi kis terha.. Hadeeth chor k yeh kisi nattejey pe kiyo nahi ponchaye, jub k inka dawa hai k hadeeth ki waja se ikhtalaf hien.

2) mien ne likha thaa

Mien uzbek/persian (ajmi) propaganda ka jawab apni pichlee post mien de chuka hon meger typhoon sahib ko taufeeq nahi howi k woh is ka jawab desaktey aur dobara wohee baat dohraa rahey hie....Mien ne insey poocha thaa k Zorostian k jo alfaaz onhon ne quote kiye they exactly woh kis taareekhey kitab k hawaley se hien meger hawala nahi diya. Pehlee Quran ki tafseer Farsi mien howi is k daawey mien koi hawala nahi (keh rahey hien Imam Ahmed bin Hambal ki tasaaneef dekhlo-yeh mosoof k nazdeek hawal hai)

Is ka bhi Mr. Typhoon ne koi jawab nahi diya na daleel se mujhey ghalat sabit kiya.

Mien ne sabit kiya thaa k hadeeth ka jama kerna arbi khalifa aur arbi aaima e deen se shoroo howa aur os k baad bhi hazaaroo ki tadaad mien arabi aaima is ka hissa rahey. Imam Malik, Imam Shafai, Imam Ahmed bin Hambal, Imam Darmi yeh sub Arabi they balkey Siha e Sitta k aksar Mudwineen bhi naslan Arabi hien aur Arabi qabeelo se onka taaluk hai who alag baat hai k onka maskan Maawara un Neher thaa onmien Persian nasal k tu sirf Imam ibn e Maja hien baki Persian koi nahi.

3) mien ne likha thaa

Is k ilaaawa mien pehley sabit kerchuka hon k yeh log jhoot aur exaggeration/mubaalga-araai buhat kertey hien... meree pichlee mail mien mien ne inkey is daawey k hadeeth 300 saal baad likhee gayee thee k jawab mien sabit kiya k yeh jhoot boltey hien aur yeh k hadeeth ajmiyo ki sazish thee aur arbiyo ka is se koi taaluk nahi thaa... meger Typhoon ne is ka koi jawab nahi diya....aur de bhi nahi saktey.InshaAllah.

Is ka bhi jawab nahi diya mien ne sabit kiya thaa k Imam Malik ki Mota 95-154 k dermiyan mudawwan howi Mr. Typhoon ne 300-350 saal kiyo kaha? Jhoot aur exaggeration se kaam kiyo liya? Daleel se mujhey ghalat sabit kerien.

4) mien ne likha thaa

Aap ne mutta k baarey mien likh k meree mushkil asaan kerdee... ab yeh sabit kerna asaan hogaya hai k aap khowamakhowa ka excitement paida kertey hien aur logo ko gumrah kertey hien. Pehley tu is baat ka hawaal dijiye k kis saheeh hadeeth mien hai k Allah k Nabi (sallal laahu alaihi wasallam) ne kub aur kis k saath mutta kiya?? warna aap jhotey/kazzaab.

Is kaa bhi Mr. typhoon ne koi jawab nahi diya. Kiya aap ne tasleem kerliya k aap jhotey/kazzab hien?

5) mien ne likha thaa

Mien ne poocha thaa k kin ajmi logo ne saazish ker k 300 saal baad hadeethien jama kin? jawab mien Haroon Rasheed kese hakim bana ki tafseel de rahey hien (poocho maghrib ka jawab mashriq ka) ab bataiye is ka Hadeeth e Rasool (sallal laahu alaihi wasallam) k jama kerney se kiya taaluk??? aap ne likha 300 saal baad ahadeeth ajmi saazish k zariye se jamaa howi mien ne hawala maanga tu janab hawaley mien 786 ki behes ker rahey hien. Sazish 300 hijri mien howi aur sazish ka sarghana kon thaa kis k saath mil k ki kon kon se ulema shamil they sabit kerien...(kiya khairul quroon islam k ibtidayee dor mien saarey k saarey ulema is saazish mien shareek they?) Mien ne aap se poocha thaa k iska ilm os dor mien kisi ko howa yaa nahi howa tu kisi tu naik dil/islam k hamdard (aap ki terha) ne apni kisi tasneef mien os sazish ka ziker kiya hoga... yaa aap k mutabik Allah k Rasool (salla laahu alaihi wasallam) k baad sub beimaan hogaye Naozobillah...

Is ka bhi koi jawab nahi diya aur is k ilaawa Mr. typhoon ne zorostian ka aik qool nakal kiya thaa os ka exact hawal dien jo abhi tuk nahi diya.

6) mere mazeed sawalaat they

-Wese Mr. Typhoon Quran mien Khatna ka ziker nahi kiya aap ki khatna howi hai? (aap ne jo maaney liye hien Quran k mukammal honey k is hisab se aap ko khatna nahi kerwani chahiye na hee apnee nareena olad ki khatna kerwaiyega.
-Quran mien Nikah ki bhi sarahat nahi aap bagher nikah k reh rahey hongey apnee biwi k saath, aur nikah kiya hai tu tareeka kahan se liya? Quran mien tu nahi.
-Wese merney k baad kafan dafan ki zaroat hai aap ko? wese mera tu khayal hai aap ko aik garha khod k os mien phaink diya jaai Quran se tu itna hee sabit hota hai? Quran mien dafan kis terha hona chahiye namaaz e janaza ki koi sarahat nahi.
-Humbistri k baad ghusal kertey hien aap? Tareeka kahan se liya ghusal ka? Quran mien tu nahi.... ab jo shuks saari zindagi ghusal hee na kerey wo Quran bhi perhey aur hadeeth bhi tu osey kiya samajh aayega......Ya Allah rehem farma.

In sawalaat ka bhi jawab nahi diya.

Bhaaiyoo insaaf kerna Mr. Typhoon ne jo baatien ki thin mien ne naasirf os ka daleel se jawab diya balkey onhien rationally ghalat sabit kiya.. aur insey mutaalbaa kiya k onhon ne jo ilzaamaat lagaye hien os ka soboot dien. Meger soboot abhi tuk nahi diye. Aur mazeed ilzaamaat aur shobhaat paida ker rahey hien.

Aap zara inka andaazey kalaam dekhien:

O Islam ke thekedar,

Or Bache zyada uchlo nahi, tumhari umar itni nahi ho gi jitni umar me ne tarikhe islam or deen-e-islam ki study me guzari he.

mr. Bukhari ne lakho ke hisab se hadees mustarad ki or apni kitab me shamil nahi ki. Sab se barha munkare hadees to wo khud hoe.
Mujhe batao ke unhe kiss ne authority di thi hadees ka thekedar banene ki, Allah ne koi parchi likh ke di thi?

Tumhare sath discussion na karne ki waja ye nahi mere chand,

Khud bukhari or muslim ne bohot si rawayat ko mustarad kar dia. Aaj agar koi kehta he ke falaa falaa rawayt bhi ghalt mansoob ki gai he to kya waja he tum cheekh rahe ho?

Tumhara taluk kis firke se he? zara batao, to me tumhe us firke ki poori tafseel se tareekh batata houn. Moo chupate phiro ge.

Kuch study karo, sabaz pagrhi wale kabootar.

opper diye gaye inkey quotes se asaani se andaaza hosakta hai k yeh kisam k aur kin logo mien uthney bethney waley aadmi hien,,, inka gharelo mahol kea hoga,,, inkey apney gher walo se taalukaat kese hongey. Aur ka kis khaandan se taaluk hai.

Allah apna rehem kerey....hum sub pe.

Aameen

such bolo

P.S. Mr. Typhoon kehtey hien k Allah k Nabi (sallal laahu alaihi wasallam) ne Hazrat Aaisha se shaadi 9 saal ki umer mien ki jo k jhoot hai jo Imam Bukhari ne Allah k Nabi pe baandha hai...

Ab sunye.... Yeh Hadeeth yaa yeh hakeeket sirf Imam Bukhaari ne bayan nahi ki balkey hadeeth ki kaseer kitabon mien isi umer ka ziker mojood hai... aur aaj tuk ummet mien kisi ne is pe aitraz nahi kiya... siwaye aaj kul ki paidawaar (minkireen e hadeeth) ne aur woh bhi is liye k in logo ka Quran aur hadeeth pe aitmaad bilkul bhi nahi aur Maghrib k mushtashrikeen k ilzaamaat ka jawab dene ki ehliyet na honey ki waja se mutlakan aik taareekhee hakeeket ka inkaar ker detey hien. Aap k khodsaakhta osool k hadeeth ko quran se parakhna chahiye k mutabik tu yeh hadeeth aap k nazdeek jhooti hai meger alhamdulillah hamarey nazdeek na sirf ye hadeeth Saheeh hai balkey kum omeri/balooghat se pehley ki shaadi k izhaar tu Quran bhi kerta hai.

Allah farmaata hai:


"aur tumhari mutal'liqa (divorced) aurtien jo haiz se na umeed ho chukee hon ager tumhien inki iddet k baarey mien shuk ho tu on ki iddet 3 mahiney hai aur inki bhi jinhien abhi haiz shoroo hee naho howa aur hamal wali aurton ki iddet waza e hamal tuk hai" 65:4



is ayet mien 3 terha ki aurton ki talak k baad ki iddet ka ziker hai

1) jinhien haiz aana bund hongaye hien (beemaari ki waja se yaa bari umer ki waja se)
2) jihien haiz aana abhi shoroo hee nahi howey.
3) hamal wali aurtien

ab is mien dosrey number pe on ka ziker hai jihien haiz shoro nahi howey yaani naa-baaligh... jo is baat ka soboot hai k quran naa-baaligh aurton k nikah pe pabandi nahi lagata.

ab batao Quran pe bhi aitraaz kerogey???

Dosra yeh k ager koi aitraaz kerey k naabaligh ki shaadi mien is ki merzi shamil nahi hoti... tu yeh baat sahee hai... k os ki merzi shamil nahi hoti aur ager naabaligh chahey tu baaligh hokey apnee merzi k mutabik nikah pe kaaim reh sakta hai yaa reh sakti hai aur chahey tu nikah fasakh kerwaley.

Aik aur baat k moa'hidaat aur aqad mien islam ne wilayet ki shart ko tasleem kiya hia, yaani wali naabaligh ki teref se moa'hida aur aqad ker sakta hai:


"phir ager qarz lene wala be aqal ho ya zaeef ho mazmoon likhwaney ki ehliyet na rakhta ho tu is ka walee insaaf k saath imla kerwadey" 2:282


Yahan be aqal se murad naa-baligh bhi hai, jis se yeh saaf zahir hai k wali naabaligh ki behtree k liye naabaligh k liye qarza le sakta hai aur moa'hida bhi ker sakta hai. aur yehee dalee lhai k ager walee chahey tu naabaligh ki behtree ko dekh k os ka nikah ker sakta hai.

Der asal yeh baatien os wakt samajh mien aayingey jub insaan magherib ki alooda fazaa aur mahol aur pressure se nikal ker khalis quran aur hadeeth k mahol mien sochey aur samjhey.

Baki rahee child sex ki baat tu yeh tumhari gandi/magherabi zehniyet hosakti hai jo moaamley ko is andaaz mien sochtey ho...Arab mien os wakt bachpan ki shaadi ko bora nahi samjha jaata thaa aur yeh nikah aam thaa aur is ka riwaaj thaa, hamarey yahan aaj kul isey maayoob samjhaa jaata hai. Meger aap ki ittela k liye arz hai k mukhtalif ilaakon mien hamarey yahan aaj kul Talaak ko bhi maayoob samjhaa jaata hai.. ager aaj kul ki zeheniyet aur mahol k hisaab se dekho gey tu hosakta hai k ye baat mayoob samjhee jai... meger Quran aur Hadeeth aaj kul k zehno k hissaab se chalney k liye nahi aaye they balkey zehno ko apney hisaab se chalaney k liye aaye they.

Beherhaal naabaaligh ki shaadi ki islam ne targheeb nahi dilaayee hai meger is ka jawaz sabit hai quran aur hadeeth se.

Is k ilaawa hamarey yahan aaj kul shaadi ko sirf apnee jismaani zaroriyat pora kerney ka sabeb samjhaa jaata hai (jaisa k typhoon sahib ka zehen hai) meger der hakeeket Islam ne shaadi ki buhat saaree hikmatien bayan ki hien.

1) olaad ka hosool
2) khandaanoo ki apas mien muhabbet aur rishto ko mazboot kerna.
3) buraayee aur fahashi se dori
4) Qalb aur zehen ki taskeen
7) deenee okhowwat ka kiyaam aur os mien izaafa.

Nikah aik aisee cheez hai jis se kai terha k deenee, moaashi aur moaasharti fawaid hasil kiye jaasaktey hien jo baaz dafa olad k hosool se bhi berh hosaktey hien.. Aap dekhiye Allah k Nabi (sallal laahu alaihi wasalam) ne kitney nikah kiye, kitni umer mien kiye aur kin kin se kiye aur kin kin makasid se kiye.. jis se yeh khob zahir hojata hai k nikah mehez jinsi khowahish k porey honey ka naam nahi balkey is se bhi buand ter makasid hosaktey hien.

Jub makasid mukhtalif ho saktey hien tu zahir hai k umer mien bhi isi munasibet se farak hosakta hai... baaz dafa kisi buland ter maksad k liye kisi borhe/old aged aurat se aik jawan shaadi kersakta hai ya aik jawan aurat kisi boreh se shaadi kersakti hai... tu kiyo na aik naa baaligh aurat se aik jawan mard yaa aik naabaligh larkey se aik jawan aurat shaadi kersakey?

Ager hum inhi bulund ter makasid ko saamney rakhien tu hamien nazer aata hai k is shaadi se Allah taalaa ne Hazrat Aaisha (raziallahu anha) se aik azeem kaam liya, aur yeh baat sabit hai k Hazrat Aaisha hee hien jo Siddiqa e Kainaat k laqab se bhi mash-hoor hien k jihon ne Allah k Nabi (sallal laahu alaihi wasalm) k gher k ander k maamolaat se mutalik musalmaano ki rehnomaayee farmayee aur isi terha onhon ne buhat se mowakey pe quran ki Nabwi tafseer se logo ko agah kiya kiyo k aksar aur beshter wo wahee k nozool k mokey pe khod mojood hoti thin. Aur chon k inki shaadi bachpan mien hogayee thee Allah k Nabi (sallal laahu alaihi wasallam) se is liye woh Allah k Nabi (sallal laahu alaihi wasalam) ka baad bhi kaafi arsey tuk dunya mien rahin aur musalmaano ki rehnomaayee farmayee.... (ye Allah ki tadbeer thee aur Allah jaisey chahey tadbeer kerta hai).

Hz. Aisha ki umar 48 baras thi or wo ek bewa thi jin ke khawand hz. ibn Saleh ek jang me shaheed ho chuke the, or wo Hz. Abu Bakar ki beti nahi balke un ki behen thi. Huzoor ne jab un se shadi ki to un ki umar 52 or Hz. Aisha ki 48 baras thi.
Ibn isaac ne huzoor pe biography likhi jis me us ne bakwas ki ke Hz. Aisha ki umar rukhsati ke waqt 9 saal ki thi.
Turkey ke Istanbul museum me kitab outplace ki hoi he, jo ibn Isaac ki likhi hoi biography se 150 saal porani he or ek arab ki likhi hoi he us me Hz. Aisha ke mutalik likha he jo me ne upar darj kia he.

Aap ne Hazrat Aayesha ko jo Hazrat Abu Baker Siddique (raziallah u anhu) ki behen kerardiya hai... tu baraye meherbaani yeh gappien apas mien lagaya kerien..... 1400 saal ki tareekh mien jis cheez ka koi ziker nahi na hee zaeef riwayat mien na hee saheeh riwayat mien na kisi taareekh ki kitaab mien... aap woh baatien ker rahey hien.. aur hum se keh rahey hien k hum aap ki baat ki bila sanad baat ko maan lien? (ager sachey ho tu daleel lao. (al Quran) hawala aisee kitaab k de rahey hien jis k naa musannif ka naam aap ko maaloom hai aur kitaab k wojood ka khod hee inkaar ker rahey ho, haan yeh pata hai k likhney wala arab thaa aur ibn isaac ki biography se 150 saal pehley yeh kitaab likhi gayee thee.... (tumhien neend ki sakht zarorat hai,, aur haan soney se foran pehley khaana mut khao warna aisey hee ultey seedhey khowab aayengey)

such bolo
 

Syd

Politcal Worker (100+ posts)
Once again Punjabi leaders are ready to break the country. They are again treating others like they treated bangalis
 

khans141

Citizen
O Syd bhai
Aap ka to dimaagh khraab ho gaya hai
you must know that bhutto was the prime minister that time and he was a sindhi....not a punjabi
I mentioned this just for your info
But
you MQM gang always say something like that to create the problem between Punjab and other Provinces.
I can say that creating problems is in your nature and nature can not be change.
for example.....................................................................................dog's tail :lol:
 

Typhoon

Senator (1k+ posts)
sach bolo ne bohot bakhubi saabit kar dia he ke ye jahil munkar-e-Quran he. Jo shakhs Quran ki authority ko hi nahi manta or ye bhi nahi manta ke Quran mukammil he wo kafir he. Sach bolo ne kaha ke Quran mohtaj he, astaghfirullah. Is jese munakr-e-Quran ko Allah aqal de, ke Quran mohtaj nahi kissi ka, balke har cheez mohtaj he Allah ke Quran ki jo unoversal truth he, khud Quran ke alfaaz me ek mukammil zabta hayat he, har cheez Quran ki mohtaj he. Lekin ye is ka qusoor nahi, is jese bohot se abu jahil aaj bhi humari safo me ussi sazish ko barhawa dene ka task saranjam de rahe hein jis ki bunyad yahood or majoos ne rakhi thi.
Quran ki hifazat ka zimma or sirf Quran ki hifazat ka zimma Allah ne uthaya he.
Ye saabit ho chuka he ke Quran ki taleem se bebehra he ye shakhs. Agar Quran parha hota is badnaseeb ne to quran ka ye pegham ke Allah ne Quran ki hifazat ka zimma khud lia he, zaroor is ki nazro se guzra hota. Allah ne or kissi kitan ka zimma nahi uthaya. Quran me sirf Allah ne apni kitab ka zimma uthaya he.

WRITING IN BIG WORDS BECAUSE SACH BOLO HAS A LEVEL OF INTELLECT OF A CHILD, RUSOOL KA HAR QOUL SACHA HE, LEKIN BUKHARI and CO NE JO BAATE RUSOOL KI TARAF MANSOOb KAR RAKHI HE WO SAB SACHI NAHI HE.

Lagta he sach bolo darhaqeeqat bukhari ko khuda manta he or us ke likhe khurafat ko sach sabit karne kelie ye jawaz deta he ke ye rusool ne kahe the. Bewaqoofi ki bhi had hoti he jinab, Bukhari ya har wo cheez jise hadees keh dya jae, hadees nahi ban jaati. Sirf is lie ke bukhara ke bukhari ne keh dia to zarori nahi ke wo qoul-e-rasool ho :lol:

Sach bolo ne kaha ke bukhari, muslim, trimzi, malik waghera waghera ki kitabo ka zimma bhi Allah ne uthaya he. Is anparh jahil se koi pooche, ke baqoul hadees ke Ayat-e-rajam ko Hz. Aisha ki bakri kha gai. :lol:
bukhari & Co kesa naqsha pesh kar rahe hein Quran ka, jiss kalam ki hifazat baqoul khud Allah ke us ne uthaya he, bukhara ka ek schizophrenic banda jo shaed jansi mariz bhi tha wo kehta he ke, nahi ji, ek bakri Quran ki ayat kha gai is lie wo ayat safa-e-hasti se mitt gai he.
Hadees ye naqsha pesh karti he Quran ka, or ye kehta he ke nahi ji bukhari & co ki kitabo ki hifazat bhi Allah wese hi kar raha he jese Quran ki.
Is bewaqoof ko koi faraq nazar nahi ata Quran yaani Allah ke kalam me or huzoor ki wafat ke 350 saal bad peda hone wale islam dushman sazishi anasur mein?
Darasal ye khud usi khet ki mooli he jiss khet se ye sazishi anasar uge the.
Ye unhi schools se nikla he jahan pe gher Qurani or ajmi islam dushman khurafat phelai jati hein.
Allah ke akhri kalam ke munakir hote he ese log jo har dosri cheez ko pehle or Quran ko baad me rakhte hein.

Bukhari ki ek hadees ke mutabik huzoor ne naozobillah ghar ke ek bartan me peshab kar dia, 8koi jahil se jahil se shakhs ghar ke bartan me peshab nahi karta, or islam ke bunyadi usolo me se ek safai or pakizgi he). Agle din umme kulsoom wo pii gai. (can you imagine this bullshit).
Huzoor ko pata chala to wo muskrae or itne muskrae ke un ki darhe nazar ane lag i, or unho ne basharat di apni biwi ko ke us ne jannat me ghar bana lia.

Is jesi bakwas ko agar bukhari akhri rusool ki taraf mansoob kare to laanat he bukhari pe or us ko manene walo pe. Sach bolo brelavi he. Or brelvi muslims hi nahi. in ka Qlama bhi alag he. Parhie farayz-e-faridya. In ke ustad ahmed raza ki likhi hoi khurafat. jis me wo likhta he ke khwaja muhidun islam ki autohrity he or us tak ponchne kelie kalma parhna parhta he la ilaha ilallah chizhti rasool allah. Naozobillah.
Ahmed raza mirze qadyani ke bhai ka shagird tha or angrez ka agent tha.

Dont make a laugh out of you sach bolo. Allah ke fazal se Pakistan ke log muslims he or Allah ki akhri kitab ko kissi ka mohtaj nahi mante.
You go and pray to a cow or nonsense of majoosis or shivelingam, i give a damn. But dont project ur bogus shit on this forum...lolz

Or ye gustakhe sahn-e-rasool ye keh raha he ke huzoor ne 9 saal ki bachi se shadi ki. Lahol wala quwat...
Agar ye sunnat he to apni behen ki ya baeti ki 9 saal ki umar me shadi kara de kisi chalis sal ke mard ke sath. Mullah ko chaska he bachebazi ka, lekin gunnah pe gunnah ye ke ye badkari rusool se mansoob karte hein. Allah qoum ko bachae is jese kuffar se. Ye log usi category me ate hein jiss me mardood salman rushdi ata he.
 

such bolo

Chief Minister (5k+ posts)
Bismillah ir Rahman ir Raheem,

Alhamdulillah once again you have proved that you are unable to answer my questions. Ager aap k paas huq hota tu aap meree post ki reply kerney k bajai khowamakhowa ki takreer na kertey. Der asal aap mujhey baar baar jahil keh k mujhey excite kerna chahtey hien taakey baat dalaail se kerney k bajai zid aur behes ki nazer hojai aur aap ki hakeeket samney na aasakey... Merger inshaAllah baat mien daleel se hee kekronga... Any way.... I can ask Allah (Subhanaotaalah) to guide you and show you the right path.

Aap se guzarish hai k meree pichlee post ka point wise peragraph wise jawab dien aur jawab nahi yaa nahi dena chahtey tu fozool baato mien wakt zaya na kerien.
Mr. Typhoon aur Mr. Patriot ka taaluk Munkireen e Hadeeth k Pervaizi group se hai jo Lahore based hai.. yeh group aam tor pe Namaz/Salat, Roza/Soum, Huj, Umrah, zakat ki apni man maani tashreeh kerta hai aur in pe amal bhi nahi kerta... Mien aisey munkireen e hadeeth se bhi mil choka hon jo kehtey hien k Sharab kahan haraam hai Quran se dikhao bus... Hadeeth ko nahi maantey.... aur bakool os munkir k namaz 3 time hai. roza wo nahi rakhta thaa aur huj aur umrah ka inkaar bhi wo kerta thaa.. baaki Sharab, Music, Dance, Riba/Interest bepardagi aur besharmi aur be hayayee inmien aam hai... kiyo k inkey bakool yeh sub cheez quran ki ro se jaiz hien aur hadeeth ko hum nahi maantey...baraye meherbaani insey dor rahien aur Quran aur Saheeh Hadeeth se apna taaluk jorien...

such bolo
 

such bolo

Chief Minister (5k+ posts)
Bismillah ir Rahman ir Raheem,

Jo log inkey baarey mien mazeed jaanna chahtey hien woh is thread mien mojood tamam posts ko baghor perhien aur dekhien k kon aqli aur nakli dalail se baat ker raha hai aur kon sirf ilzaam teraashi aur mubalgha araayee aur jhoot se kaam le raha hai... perh k khod faisla kerlien... Munireen e Hadeeth ki haisiyet aap ko maloom hojaigee...

Mazeed Quran aur Hadeeth pe chalney waley ulema se rabta kerien.... in kutub ka bhi mutala kiya jaa sakta hai. Inshaallah.

"Aina e Pervaiziat" Sheikh Abdul Rehman Keelaani (Rahimahullah)

http://www.ahlulhadeeth.net/php/modules ... t&lid=1100

"Makaalaat" Sheikh Ismail Salafi (Rahimahullah)

http://www.docs.umm-ul-qura.org/SALFI1.zip
http://www.docs.umm-ul-qura.org/SALFI2.zip
http://www.docs.umm-ul-qura.org/SALFI3.zip

"Dawam e Hadeeth" Sheikh Hafiz Muhammad Gondalwi (Rahimahulllah)
http://www.docs.umm-ul-qura.org/Dawamhadith1.zip
http://www.docs.umm-ul-qura.org/Dawamhadith2.zip

such bolo
 

such bolo

Chief Minister (5k+ posts)
Bismillah ir Rahman ir Raheem,

Mr. Typhoon ne jis terha Imam Bukhari (Rahimahullah) jin ki qaber ko Allah noor se bhardey aur inki aik aik hadeeth k jamaa k badley mien laakho aur karoro naikiya ataa farmaye, ki jis terha shaan mien gustaakhi ki hai woh bilkul zahir kertee hai k yeh log kitney sirphirey, ghamandi, badtehzeed aur badkalaaam log hien. Allah apna rehem kerey. (in munkireen e hadeeth ko Allah se der nahi lagta!!!!!)

Mien aap ko Islami taarikh ke aik firqey se mutaliq batana chahta hon, is ikrar k saath k mere paas is ka hawal nahi...Meger itna yaad hai k is baarey mien mien ne ghaliban aaj se kuch 10-15 saal pehley Roznama Jung k Islami safhaat pe aik mazmoon "Islam mien aqal ka maqaam" k zimen mien perha thi. Firqey ka dawa intihaaye ajeeb thaa is liye mujhey yaad rehgaya. Os wakt mujhey in munkireen e hadeeth ka ilm nahi tha, meger aaj jub mien munkireen e hadeeth ko dekhta hon k kis terha apni aqal se Quran ka hulya bigartey hien tu mujhey wo firqa yaad aajaata hai.

Firqa ka ahwaal yeh hai k yeh firqa koi 700-800 hijri mien ghaliban iraq mien paida howa aur is firqa k baani ne na sirf dawa kiya balkey amal bhi kiya ur logo ko bhi targheeb dee k apni apni behno se shaadi kero. Daleel is ki yeh thee k quran mien behen ki shaadi se roka nahi gaya aur ager bilfarz koi yeh kehta hai k rok diya gaya hai tu yeh aqal k khilaaf hai... Kiyo aqal k khilaaf hai? tu is ki waja yeh bayan ki gayee k Insaan apni behen k saath 15-20 saal rehta hai aur jub tuk woh aik saath gher mien rehtey hien tu woh behen os ki khidmat bhi kertee hai, apney bhai ki tamam zimedariyo se wakif hoti hai, os k mizaj se bhi wakif hoti hai....aur jaanti hai k wo kin baato pe khosh hota hai aur kin pe naraaz... phir kiya waja hai k wohee shuks behen ko chor k aik ghair aurat ko le aata hai apni biwi bana k jo oper bayan ki gayee tamam cheezo se nawakif hoti hai.. aur nawakif honey ki waja se baaz dafa inki apas mien zehnee hum ahangi nahi hoti aur gher tot jaata hai....is liye behen se shaadi kerna ziyada aqal k kareeb hai banisbet bahir se kisi aurat se shaadi ki jai. (Naozobillah min zalik)

ab bataiye... yeh munkireen e hadeeth jub wahee/revelation ki rehnomaayee ko chor k apnee apnee aqal se Quran ki tashree keriengey tu kis terha Quran ka hulya bigaariengey... aap soch saktien hien... aur inhon ne jo Quran ka haal kiya hai (aaj tuk yeh log sirf namaz ki tadaad pe muttafiq nahi hosakey, koi 3 maantaa hai koi 4 aur koi paanch aur koi aik bhi nahi) .. baki inki zaati zindagi kis hud tuk Islam ki nomaindigi kertee hai....os ka andaza inkey mahol ko dekh k hosakta hai.... (jihien dekh k sharmaien yahood wa honood)

Hadeeth ko rud kerney k liye bi aqal ko mayaaar banana..intihaayee kum akli aur jihaalat hai... Hadeeth Allah k Nabi Sallal laahu alaihi wasallam ka farman hai, jub saheeh asanaad se sabit hojai tu hamien isey Qol e Rasool (sallal laahu alaihi wasallam) maanna parega... aur phir is per amal bhi. Hadeeth ko rud kerney k liye Aqal ka istamaal gumrahi aur shaitaniyet hai. Jis terha Quran k rud k liye aqal ka istamal shaitaniyet hai isi terha hadeeth k rud k liye aqal ka istamaal shaitaaniyet hai. Hadeeth ko rud kerney k liye iski asnadi (chain) haiasiyet pe behes ki jaigee ager koi hadeeth apni sanad k hisab se zaeef sabit hojai tu woh rud hogi aur jo saheeh sabit hojai wo qabool ki jai gee. (ager koi shuks kehta hai k yeh hadeeth quran k khilaaf hai tu zahir hai isney apni aqal se yeh socha hai k yeh quran k khilaf hai, hum aqal ko mayaar nahi banasaktey-aur derhakeeket sahee hadeeth quran k khilaaf ho hee nahi sakti. kisi ki aqal mien khalal hosakta hai wo alag baat hai)

Mazeed yeh k her ilm k samjhney k liye os ilm k mahireen se rabta kerna parta hai.. jinho ne apni pori zindagi os ilm ki khidmat ki hoti hai aur logo ko os se mostafid kiya hota hai... jaisey Surgeons, doctors, Chartered Accountants waghera.... jo mahireen hotey hien on mien bhi derjey/catagories hoti hien.... zahir hai Ahadeeth ya Quran k samjhney se mutalik kisi bhi kisam ki confusion ager ho insaan k zehen mien tu isey chahiye k wo mustanad ulema se is silsiley mien wazahat talab kerey.... aur Quran bhi yehee hukum deta hai (ager tum nahi jaantey tu ahl-e-ziker se pooch lo- Al quran). yahan ahl e ziker se murad wo log hien jihien kitabullah ka ilm diya gaya hai.

such bolo

P.S. mien ne Quran se sabit kiya k Islam naabaligh ki shaadi k jawaz ka qaail hai... ager tum meree post ka point wise/para wise ba daleel jawab do tu yehee mera mutalbaa hai.

Yahan baat jawaz ki hai tergheeb ki nahi. Aap ne kaha k apnee behen ki shaadi ager woh 9 saal ki ho tu kerdo kisi 40 yaa 50 saal k shuks se... tu mere muhtram aap apney zehen mien Allah k Nabi (salla laahu alaihi wasallam) ki shaksiyet ko rakhien aur ye bhi jaan lien sahaba aur sahabiyaat apnee jaanien qurban kerney k liye tayyar they Allah k Nabi (sallal laahu alaihi wasallam) k liye. kisi Sahabi ka Allah k nabi (salla laahu alaihi wasallam) ki zojiyet mien apnee baiti ka dena aik aizaaz thaa.... Aur os baiti ka bhi jo kisi sahabi ki baiti ho.

Mien ne pehley bhi kaha k shaadi k makaasid ko saamney rakhney ki zarorat hai.

Zahir hai aisa jor ya maksad paida nahi hosakta aaj k dor mien meger ager koi azeem ter maksad ho tu aaj k dor mien bhi ye mumkinaat mien se hai..(jawaaz ki hud tuk yeh shaadi jaiz hogi) mien khod ko yaa apnee baiti behen ko is jawaz se bahir nahi samjhta...

aap baat kertien hien naabaaligh ki.. Mien kehta hon 9 saal ka 50 saal se jor (amoomy halaat mien) nahi... tu mujhey sirf is baat ka jawab do k ager aik 20 saalaa larki 60 salaa shuks se shaadi kerna chahey tu yeh bhi koi jor nahi (amoomy halaat mien)..hamarey moaashery mien tu isey bhi mayoob samjha jaata hai..

Aap bataaiye aap is shaadi ko kis qurani hukum se rok saktey hien???? Baat yehee aajaati hai k "jawaz"... jub jawaaz mojood hai tu shaaadi jaiz hogi. aur ager maksad naik ho tu naasirf jaiz hogi balkey qabil e sataaish bhi hogi.

such bolo
 

Typhoon

Senator (1k+ posts)
Sach bolo bechara intehai boukhla gaya he or jhoot pe jhoot bole ja raha he :mrgreen:

Ye kiss group ki baat kar raha he jo teen namaze parhte hein? Shayad ehle Quran ki kar raha he. Mera taluk us group se nahi he. Lekin wo bhi poore tees roze rakhte hein, hajj zakat bhi karte hein. Namaze 3 parhte hein or iss baat me wo ghalt hein.
LEKIN: meri nazar me Ehle Quran, brelvion aur deobandio se bohot behtar hein.

Sach bolo hawa me teer mara raha he, bilkul andhadhund kionke iss ki apni ability hi nahi ke reflect kar sake.
Allama Parvez ka taluq Ehle Quran se nahi.
Wo tehreeke Tolue Islam ke baani the. Tolue Islam ka literature mulk ke har city me dastyab he.
Jo parhna chahe or dekkhna chahe ke ye munkar-e-Quran kiss hadd tak jhoot bol raha he, to Allama Parvez ki koi bhi kitab utha kar us ka motaela kar le. Allama Parvez ya Allama Iqbal par tanqeed nahi ki ja sakti. Kamazkam tanqeed karne kelie un ko parhna zaroori he.
Sach Bolo ne sabit kar dia he ke ye kiss charachter ka he, jab bagher parhe apna moo khol raha he. Allama Parvez khud paanch waqt ke namazi the.
Allama Iqbal or Allama Parvez ne jitna Islam ko samjha he, kash ke ummat un ki fikar se mustafeed ho sake. Ameen

Tehreeke Tolue Islam ki kitabe parhne walo ko parvezi kehna esa hi he jese moudodi ki kitabe parhne wale ko moudida kaha jae. Ya Iqbal parhne wale ko iqbali kaha jae.
Is tarah ke ghatya ilzam sirf ghatya insaan lagate hein, jin ki khud ki zehni parvarish mazhabi firka parasti me hoi hoti he. In ka qusoor bhi nahi hota, kionke ye ek makhsoos tabqe se taluk rakhne wale log hote hein. Zehni ghuttan ke mahol me parvarish paane wale kisi madrise ke mulla ke hathe charh jate hein or wo unhe zehni or jismani tour pe abuse karne ke baad esa kar deta he, ke ye bechare zehni or ikhlaqi tour pe murda ho jate hein. Zehn hota he lekin sochne samajhne ki hiss takreeban khatam ho chuki hoti he.
Aap sab ne dole shah ki chuhya dekhi ho gi, ye log bhi kuch ese hi hote hein, chonke sar pe bartan nahi badha jata is lie sar to barha ho jata he, lekin zehen pe daale band or parde un ki zehni salahyat hamesha hamesha kelie khatam kar dete hein.
Ye kamal hota he ahmed raza or mirza qadyani, ashraf thanvi jese angrezo ke lagae plants ka. jo abhi tak humare muashre me ese loosers tayyar kar raha he jo is society ko islam se milo door rakhe hoe hein.
Hume ek jahad ki zarorat he in firka parasto ke khilaf.
Sach bolo ne apni miserable life me Allama Parvez ko parha hi nahi or un ke bare me remarks de raha he.
Ye bechara muqabala samajh kar lamba lamba text likhi ja raha he :D
Jiss me is bechare ki badnaseebi ke ghoom ghoom ke wohi ek hi dogdogi baja raha he, ke Quran namukammal he or mohtaj he hadees ka :?

To Sach Bolo tumhe tumhara mazhab mubarak ho.
Me un kitabo ko jin ko tum saha satta kehte ho, Quran se barh kar nahi manta.
Mere lie Quran akela hi kaafi he or Us ko laane wala akhri rusool enough hein. Mujhe kissi bukhara se aane wale bukhari ya yahoodiat se convert karne wale bn isaac jese logo se Islam sikhne ka koi shouk nahi.
Agar tum kehte ho ke huzoor pedophile the to ye tumahre ikhlaqi iqdaar ko zahir karta he or tum bhi wajibul qatal ho Salman Rushdi ki tarha.
Tum bhi apni beti ko 9 saal ki umar me rukhsat kar dena.
Lekin me mohalle ke logo ko khabardar karta houn ke wo apni nabaligh masoom bachyo ko ese ashkhas se door rakhe kionke ye un se shadi or sex karne ko sunnat mante hein.

Tumhe apna mazhab mubarak ho, mujhe na tumahri zaat se koi dilchaspi he or na hi tumhe seedha rasta dikhana chahta houn. Kionke tum me wo qualities hi nahi jo kissi ki me honi chahye apni zaat ki nasho-o-numa karne keliye.

Baharhaal tolue islam ki apni site he, (toluislam.com) khud parhye or fesla kijye.

Is link pe ja kar dekhye Tolue Islam kya he or kyon wujood me ai.
http://www.toluislam.com/index.pl/timag ... n&sid=1427

Sach bolo Allah hi hafiz ho tumhara....lolz :lol: ( sach bolo ka akhri jumla mulahiza farmaye jahan wo 9 saal ki bachi se shadi ko qabile sataish biyan kar raha he) HAHAHAHAHA.........
 

Back
Top