Khan Sab
MPA (400+ posts)
Jesa k Pakistan,India men hamara Joint Family system ha r Aksar aesa hota ha baz Khawateen Parde k hukum ko bht ziada sakht samajh leti han r Bht takleef men rehti han khas ker Joint Family system men r khud ko kamron men band Rakhti han jis wajah se Pora gher pareshan hota ha Jesa k neeche di gai Video men Mufti Tariq Masood Sab ne bhi btaya.. R is tarah wo Psycho Patient bhi ban jati han (Aesa men khud bhi dekh chuka hun) R Neki ka takabur bhi un k andar A jata ha. So is liye zaroori samjha k Is mozo pe Thread bnaya jaey. Aksar jagah Mard bhi Orton pe Chehra Chupane ki sakhti kerte han Halan k Chehra chupana to Allah ne bhi Farz nai kia Orat pe.
Maulana Tariq Jameel ne jesa kaha k Sahaba to Onth,Bakrian charate the r khema numa bastion men rehte the,Is men ek bat men apni taraf se bhi add kerta hun k Sahaba k mahol men to Toilet bhi gher men nai hota tha, Toilet k liye wo bahar jate the jesa Aj hamare dihaton men hota ha So aesa Parda to un k mahol men mumkin hi nai tha jesa Aj hamare baz Ullama btate han jis ki taraf Maulana ne Ishara kia.
Abi kuch hi arsa pehle Govt Collage Lhr men Ek waqia pesh aya tha k Interviewer ne larki ko chehra dikhane ko kaha to us pe larki ne inkar ker dia r hangama r Fasad khara ho gaya halan k chehra dikhane men koi masla nai tha na Gunah tha. Aese hi baz tarah ki Jobs e.g Armed forces men bhi chehra chupane ki i think Ijazat nai ha to Is ko bhi Gher Sharai na samjha jaey R ho sakta ha baz Khawateen is masle ko na jan'ne ki wajah se wahan job kerna pasand bhi na kerti hon. Ye Srasar Shariat ko na jan'ne ki wajah se ha.
Han ye bhi sahi ha k Aj Kal k pur Fitan dor men Chehra chupana zaroori ha r Chupana chahiye R waqiatan ye Haya ka Taqaza ha R Allah ko Pasand ha jesa k Hazrat Fatima R.A ki zindagi men milta ha k Wo us Dor men bhi Khud ko pora chupati thin but Is ka Ta'aluq Insan k apne andar ki sharm o Haya r Taqwa se Ha, Allah ne chehre ka chupana farz nai kia. R un k han Joint Family system ka mahol bhi nai tha,Sab chote chote gheron men alag alag rehte the R kisi k liye koi Mushkil r Takleef ka koi andesha hi nai tha but Hamare mahol men to kai Families ek hi gher men rehti han to ager hamare han koi Zaroorat ya Farziat se ziada is mamle men sakhti kare to us k apne liye bhi r Sab k liye bhi Bht Takleef ka sabab hota ha. Ullama bhi Chehra Chupane ko Pur Fitan Dor se hi relate kerte han. Aesi situation pe Ullama kehte han k baz Chezen aesi hoti han k Fatwe k lihaz se Jaiz hoti han lakin Taqwe k lihaz se nai. R baz jagah Taqwa Apnane ki bilkul bhi Zaroorat R Ijazat nai hoti
So In Scholars ki Roshni men jahan tak men samjha hun k Ager koi Aurat kisi majboori k na hone k bawajood bhi R Chahe Apni marzi se hi Chehra,Hath r Paon khule rakhe to wo gunahgar nai hogi r Na ise Gunah samajhna chahiye Kiun k Allah ne Chehra,Hath R Paon Chupana Farz nai kia R Pur Fitan Dor ki sari Zimedari bhi Orat pe nai ha, Mard pe bhi utni hi ha...
Note: M not an Aalim so Correct me If m Wrong.
Maulana Tariq Jameel 1 (Sharai Parda k hawale se kisi k Sawal pe Maulana ne Aesa Jawab Dia and Sorry for bad Video quality but the Audio is Clear)
Maulana tariq Jameel 2
Mufti Tariq Masood
Dr Zakir Naik
Mufti Akmal 1
Mufti Akmal 2

- Featured Thumbs
- https://i.ytimg.com/vi/r4nC9Ql0fqo/maxresdefault.jpg
Last edited: