AAJ Key Geeton Ki Mehfil Mein vol 1

niazi

MPA (400+ posts)
Gazoo uncle u talk a lot abt religion,and u must have heard the hadith about musical intruments that means ,I (our beloved prophet peace and blessing be upon him) am sent to break the musical instruments.at another occasion prophet (peace and blessings be upon him)put his fingures in his ears when he heard the music.
As a ummati its our duty to follow our prophet ,please show some respect as u are respectable for all of us.
 
One hadith from the Bukhari Shareef, the most authentic Book of Hadith, further confirms unlawfulness of music and singing :
`There will be people of my Ummah who will seek to make lawful; fornication, wine-drinking and the use of ma`aazif ( musical instruments ).`

Detailed analysis of the arabic word `ma`aazif ` shows that it refers to musical instruments, the sounds of those musical instruments and singing with the accompaniment of instruments.
 

gazoomartian

Prime Minister (20k+ posts)
rameezakhtar said:
One hadith from the Bukhari Shareef, the most authentic Book of Hadith, further confirms unlawfulness of music and singing :
`There will be people of my Ummah who will seek to make lawful; fornication, wine-drinking and the use of ma`aazif ( musical instruments ).`

Detailed analysis of the arabic word `ma`aazif ` shows that it refers to musical instruments, the sounds of those musical instruments and singing with the accompaniment of instruments.

did you even listen to the song?
 

Malik495

Chief Minister (5k+ posts)
Actually Gazoo ji baat yeh nahi k jo koi music k khilaaf baat krta hay to wo khud buhat pakbaz aur muttaqi hota hay.. baat sochnay aur samjhnay ki yeh hay k aap k nazdeek jo gunah aap kr rahay hain usay aap gunah samjhtay bhi hain ya nahi.. agar aap usay gunah hi nahi samjhtay to yeh baat to kufr tak pohnch jati hay aur aap jantay hain k kisi bhi aisay amal ko jis ki shariat ne mumaniat ki hay usay theek samjhna kufr hay.. yeh to ho gaee baat islami nukta-e-nigah se..
aik baat aur jis pe aap hr kisi ko toktay hain k jo bhi yahan sacha musalamaan banany ki naseehat krta hay wo hypocrite aur munaafiq hay kion k wo khud uss pr amal nahi krta jis ki naseehat krta hay.. to iss k liye aik arz paish-e-khidmat hayaur wo yeh k gunah jab khud kia jaye to uss ki toba Ki ja sakti hay aur kareeb hay k Allah uss gunah ko muaaf kr de.. aur doosra gunah yeh k doosray ko uss gunah pe ubhaarna..agar aap kisi ko gunah k kaam ka saamaaan paish kr rhay hain to kareeb hay k wo iss mokay se faida utha kr iss targheeb ko doosron tak pohnchana shuru kr de aur iss tarah yeh na ruknay wala silsila iss qadr barh jaye k aap ko kabhi yaad bhi na ho k yeh kaam aap ne shuru kia tha... nateeja yeh k jis tarah sadqa-e-jaaria hota hay k koi shakhs aik darkht lagaye aur log uss se faida uthayen to iss baat ka sawaab darkht laganay walay ko uss waqt tak milta rahay ga jab tak k wo darakht qaim hay aur isi tarah gunah ka bhi yehi haal hay k jis ne kisi gunah ki ista'anat ki aur logon ne usay follow krna shuru kr dia to infiradi tor pe krnay walay ko to jo gunah milna hay wo to apni jaga lakin jis ne yeh shurwaat ki us ka naama-e-amaal bhi siyah hota rahay ga.. aap ne music sunnana hay to aap azad hain brows krain download krain aur apmnay pc men sunain lakin doosron ko yeh moka dena k wo bhi aap k iss kaam men shareek hon iss baat pr tawajja dena zurori hay.. aur kareeb hay k koi shakhs toba kr k aenda anay wali zindagi men naik kaam sirf iss waja se karay k us ne siasat.pk men kuch members k through aisi baatain seekhin jin ki islam men shadeed mumana't hay..
Umeed hay k aap ki tabiat ko yeh sab guzarishat naagawar nahi guzrain gi....
Koi Daarhi wala ya koi Molvi ya koi Haji gunah krta hua nazar ajaye to iss ka matlab yeh nahi hua krta hay wo kaam krnay ka jawaz paida ho gaya.. gunah phir gunah hay.. main karon ya aap... bus yeh samjhnay ki zurorat hay..