is main shak nahin keh farahi, islahi aur ghamdi sb ne ummat ko aik baat main jagaane ke liye bahot kaam kiya hai. aur woh baat sirf aur sirf yeh hai keh quran koi bezaabta kitaab nahin hai balkeh is ka syaqo sbaaaq hai.
ummat ko is nazriye se ke quran aik berabt kitaab hai nikaalna koi asaan kam nahin tha albata in ki soch aik mazhabi aalim ki had tak hi mehdood rahee.
ghamdi sb ko sir syed, iqbal aur parwez sb ke nazriyato khayalaat ko achhi tarah samajhne ki koshish karni chahiye kyunkeh islam ko deen ki hesiyat se samjhne ke taqaaze aur hen aur mazhab samajhne ke taqaaze aur hen.
ghamdi sb ko mazhabi zehniyat ko aik taraf rakh dena chahiye aur islam ko behesiyate deen lena chahiye. agar woh is baat ko jaan len to woh apne zamaane ke paaye ke aaleme deen hun ge. lakin agar woh is taraf na aa sake to bhi un ki khidmaat se inkaar nahin kiya jaa sakta jaise dr israr aur dr qadri sb ki khidmaat se.
shia hazraat main bhi abhi mazhabi zehniyat bade zorun par hai. lakin un main bhi deeni fikar jaagna shuru ho chuki hai. waqt lage ga magar ummat main tabdeeli ki tarah nigahen uth rahee hen.
main har musalmaan ko aik had tak islam ka khidmat gaar samajhta hun. agar koi islam ka paighaam aage badhaane main aik baat bhi achhi kar raha hai to qaable qadar hai magar meri tanqeed baraar rerhe gi kyunkeh main chahta hun log apne qible par nigah rakhen aur aur is ko drust bhi karte jaayen ta keh kabhi to manzil ko paayen. har amal ke nateeje main kuchh deegar najaaij bhi saamne aate hen yahee wajah hai achhe amaal main bhi koi na koi burayee ka pehu nikal aata hai aur bure amal se bhi koi na koin achhi baat nikal aati hai. logoon ko chahiye woh aise kaam karen jin ke nataaij ziada tar achhe hi hun ta keh dunya aur aakhirat main insaaniyat ki bhalayee ho.