Yea sab khel, mutaliqa shiddat pasand tanzeemein apna zaati mafad pura karnay ki koshish mein Islam ka sahara lay kar jihad ko torr marorr rahi hain aur unka saath badqismati say ghurbat, zati ghareelo masail, aur sahi islam ki la ilmi dai rahi hain.
Yea dehshatgardi ka khauf aur wardatay tab tak chalti rahain gi jab tak hum khud eik bheji hui kitab ki eik rai na qaim karlein aur usko bagher kisi taasub aur bagher kisi intiha pasandi kay samhajna shura na kardain.
Baqi Allah pay chor do, kay wo hamein naik hidayat ata farmai aur apnay hifz-o-aman mein rakhay; Aameen.