Janab ap ne kha mukha ki taqreer ker di meri bat oper dobara perhen. Men ne kaha k koi bhi bat jis ko log Deen bta rahe hon us ko pehle Quran r phr sahih hadees ki roshni men perkha jaey ga, Sahih Hadees ko Quran ki roshni men nai dekha ya perkha jaey ga. Kiun k Quran r Sahih Ahadees apas men nai takratin kabi bhi. Quran bhi theek r Sahih Hadees bhi theek, Doono deen han. Quran r Sahih Hadees men koi muqabla,Takrao r mawazna nai r na men ne aesa kaha. Mawazna koi nai ker raha bas jo sahih ha wo sahih ha. Sahih Hadees ka mafhoom ya base ager Quran men nai bhi ha to bhi Hadees ko mana jaey ga kiun k sahih hadees k mafhoom se Quran kabi takrata hi nai ha. Aese log Allah ne is ummat men peda kiye the r kerta rahe ga jo Ahadees men sahih r zaeef ki pehchan rakhte han r Zaeef ya Mangharat Ahadees ko Sahih se Alag kerte han. In short Allah ne pora Sahih Asal deen hi Qayamat tak qaim rakhna ha Hujat tamam kerne k liye aesa nai ho sakta k deen ka kuch hisa ghaib ho jaey, kahin gum ho jaey r Ummat mehroom ho jaey, Phr hujat tamam hi nai ho sakti. So kisi fard e wahid jese Ghamidi ya Pervez sahb ki bajaey Ijmaa e ummat r itefaq e ummat ko mana jaey ga r in ka rad kia jaey ga. Jin Ahadees ko ummat ne sahih mana ha unka mafhoom ya base quran men ho ya na ho unko mana jaey ga.
Anyway Ap k hazrat Pervez sahb to khulam khula hadees k munkar the i think, Ghamidi sab ki tarah chupe hoe nai the So ap se behs nai kerni Ap k hazrat ka zamana guzar gaya. Jo Aj mojood han un ko expose kerna zaroori ha