parhoo gay khat mery kabhi tasveer dekhoo gay
kabhi hathoon mein jo likhi hai wo taqdeer dekhoo gay
likhoo gi kuch hatheli per parhoo gi kuch kitaboon mein
nazar mein aoon ga sawaloon mein jawaboon mein
kabhi tum muskuraoo gi kabhi ansoo bahoo gi
kisi sey kuch chupaoo gii kisi ko kuch bataoo gi
kabhi khamosh bethoo gay kabhi kuch gungunaoo gay
mein utna yaad aoon gi mujhey jitna bhulaoo gay
Kat Hi Gai Judai Bhi Kab Ye Hua Ke Mer Gaye
One of my most favourite ghazals..
Kat Hi Gai Judai Bhi Kab Ye Hua Ke Mer Gaye
Tere Bhi Din Guzar Gaye Mere Bhi Din Guzar Gaye
Tere Leay Chale Thay Hum Tere Leay Theher Gaye
Tuu Ne Kaha To Jee Uthay Tuu Ne Kaha To Mer Gaye
Waqt Hi Kuch Judai Ka Itna Taweel Ho Gaya
Dil Main Tere Wisaal Ke Jitne Thay Zakhm Bhar Gaye
Hota Raha Muqabla Paani Ka Aur Piyaas Ka
Sehra Umad Umad Paray Darya Bipher Bipher Gaye
Woh Bhi Ghubar-e-Khuwab Tha Hum Bhi Ghubar-e-Khuwab Thay
Woh Bhi Kahin Bikhar Gaya Hum Bhi Kahin Bikhar Gaye
Raah Main Milay Thay Hum Raahain Naseeb Bann Gaeen
Tuu Bhi Na Apne Ghar Gaya Hum Bhi Na Apne Ghar Gaye
Koi Kinar-e-Aab-e-Joo Betha Hua Hay Sir'Nigoon
Kashti Kidhar Chali Gai Janay Kidher Bhanwar Gaye
Aaj Bhi Intizar Ka Waqt Hanoot Ho Gaya
Aisay Laga Ke Hashr Tak Saray Hi Pal Theher Gaye
Barish-e-Wasal Wo Hoi Saraa Ghubaar Dhul Gaya
Woh Bhi Nikhar Nikhar Gaya Hum Bhi Nikhar Nikhar Gaye
Aab-e-Muheet-e-Ishq Ka Beher Ajeeb Beher Hay
Tairay To Gharq Ho Gaye Doobay To Paar Utar Gaye
Itne Qareeb Ho Gaye Itne Raqeeb Ho Gaye
Woh Bhi Adeem Dar Gaya Hum Bhi Adeem Dar Gaye
Uss Kay Salook Per Adeem Apni Hayat-o-Maut Hay
Woh Jo Mila To Jee Uthay Woh Na Mila To Mar Gaye
(Adeem Hashmi)
© Copyrights 2008 - 2025 Siasat.pk - All Rights Reserved. Privacy Policy | Disclaimer|