Muje khushi hoi ye jaan ke aap ko mere char aima ki bat samjh agayee. Or aap ne mazeed uss per koi sawal nahee kia. Or ye bhee ke aap ko imamat ka bunaydi farq samajh aya shia or hamara. Aapka sawal bohet hee jaiz or maqool hay. aap ne refer kia hay ghaliban Sahe Muslim kee uss riwayat kee taraf jis men NABI saw ne kaha hay ke jis ka mafhoom hay'' Islam fatah yab rahe ga, Ghalib rahe ga jab tek ke uss men 12 khulfa nahe ho jate, Jo Quraish se hongay''. Aap please internet pe Saheeh Muslim ko search ker len aap ko ik se ziada hadeeth milen gee. Saheeh Muslim Kitabul AMMARA men.
Abh sunye iss men kia bayan kia gaya hay or shia ne kia akhaz kia hay. Sab se pehli bat ke ye Nabi ki paishan goi hay, bilkul is tara jese nabi SAW ne Eesa AS ke anay kee or dajjal ke aanay ki pasahn goi kee hay. Nabi SAW kee pashan goi per aap khoob behas ker saktay hen .... Koi kahe ga ke dajjal achuka hay koi kahay ga Mehdi ka zahoor ho gaya hay etc etc. Mager aap ko chand baten malhooz e khatir rakhnee chayyen. 1) Pehli bat is hadees men Khulfa ka Ziker hay na ke Imam ka. Ager Imam ka hota to Imam kehne men koi aar nahee thee. Aap sari riwayat perh len sab men Khulfa ka ziker hay na ke aima ka. Aima ka wo tasawur hee nahee hamaray han. Isliye Nabi SAW ne bayan hee nahee kia imam hone ka. Verna kia muzaiqa tha ye keh dena ke 12 imam honge.
2) Doosri bat...... Saaray Khulfa QURAISH se honge. Jaan lijiye yahan quarishi hone ka ziker hay na ke sirf Banu Hashim hone ka. Ye nabi SAW ne kaha hay.Wo keh sakte thay 12 khulfa honge bani hashim se. Mager nahe kaha. Jaan lijiye ke pehle 4 khulfa or unke baad bohet saray Quraish se thay. Or unki tadaad 12 se kheen zaiad hay. To Banu hashim hergiz nahe kaha gaya.
3) Teesri baat ... Islam Fatah yab rahe ga ... jab tek ke 12 khulfa quraish se nahe ho jate. Aap khud batayye hazret ke islam ki fatah kab shuru hui or kis khalifa ne islam ke jhanday mashriq o maghreb men ghaarhay. Pehle khulfa to yaqeenan shamil hen. Phir iss ke baad Ulema men ik behas hay. Jo kisi bhee paishan goi per amooman hoti hay.
4) Phir chothi bat yad rakhyee ke Shia ager apne imamon ki taraf is bat ko mansoob kerte hen to unke haan 3 rukawaten hen, men ne ooper bayan ker deen, jo wo uboor nahee ker sakte. Pehle 12 khulfa naa ke Imam, doosra Quraish na ke Banu Hashim, teesra Islam fatah yab rahe ga ... or aap jante hen abhi islam or muslamano ka kia hal hay. Imam mehdi abhi b zinda or mojood hen baqol shia or islam ka ye hal hey ke fatah yab to door kee bat maghloob or ghulaam hen ummat e muslima. Hadees batai hay 12th khalifa ke rehne tek islam fatah yab rahe ga. SO ye bat bhee nahee banti.
5) Akhiri bat bhee arz kerta chaloon. Saheeh muslim men (yaqeenan) ye hadees bhee hay ke meri umaat men 12 munafiq paida honge. Abh ager koi 12 ke hindsay se itnee muhabbat kerta hay to is hadees ka kia jawaz de gaa. NaozuBILLAH. Yahee men arz ker arha hoon ke ye ik pashan goi hay. IS per sab ko behas kerne ka haq hay. Mager ye Qurans sabit nahee. Asal bat hay Quran se Aqeeda sabit kerna. Abh un 12 men kon kon ho ga, yaqeenan wo khilafa e waqt ho ga, yaqeenan wo Qureshi ho ga, Yaqeenan us ke hath islam fatah yab rahe ga. ALLAH sab ko samjh de