duniya main insaanu ke liye teen hi soorten ho sakti hen. ya to sab log is duniya main kaafir ho sakte hen, ya phir sab muslamaan ho sakte hen aur yaa phir beech ka dor ho sakta hai, yani kuchh log musalmaan ho sakte hen aur kuchh kaafir.
ye kufar ka dor nahin hai aur na hi ye islam ka dor hai. ye woh dor hai jis main musalmaan bhi hen aur kaafir bhi.
her dor ke apne apne taqaaze hote hen. socho is dor ke musalmaanu ke liye kia taqaaze hen? yahee keh khud ko musalmaan kehlwane waale apne islam ko theek tarah se samjhen aur phir us ko theek tarah se doosrun ko samjhaayen.
agar khud apne islam ko theek tarah se nahin samjho ge to doosrun ko kia samjhaao ge? islam insaan saazi kerta hai warna insaani shakal ka jaanwar jaanwar hi reh jaata hai. gadhe kitaaben uthaane se insaan nahin ban jaate.
insaani shakal ka jaanwar sirf aur sirf baatun ko baamaqsad tareeqe se samajhne se hi asal insaan ban jaata hai ya ban sakta hai warna nahin.