افغانی پیاز کے ساتھ روٹی کھالیں گے، لیکن دباؤ میں نہیں آئیں گے

Mughal1

Chief Minister (5k+ posts)
جس اقلیت کے پاس قوت خرید ہے وہ افغانستان میں بھی پیٹ بھری ہے​

azeezam atensari sb, yahee haraami pan hai jo mullaan ne phelaaya hai deene islam ke naam per. kia jo log bhai bhai hote hen woh aik doosre se chheena chhapti ker sakte hen? woh to aik doosre ke liye qurbaani ke jazbe se sarshaar hote hen khudaa ke waaste. yahee asal deene islam ki asal taleem thi aur hai jis ki wajah se deene islam main malukiyat haraam hai. doosrun ko apna ghulaam banaana haraam hai aur sarmayadaari nizaam haraam hai. khud mullaism haraam hai issi wajah se. baadshah, sarmayadaar aur mullaan sab aik hi theli ka maal hen jo doosrun ko apne gande zaati maqaasid ke liye istemaal kerte hen apni taaqat, maal aur bekaar baatun ke zariye.

regards and all the best.
 
Last edited:

atensari

(50k+ posts) بابائے فورم
azeezam atensari sb, yahee haraami pan hai jo mullaan ne phelaaya hai deene islam ke naam per. kia jo log bhai bhai hote hen woh aik doosre se chheena chhapti ker sakte hen? woh to aik doosre ke liye qurbaani ke jazbe se sarshaar hote hen khudaa ke waaste. yahee asal deene islam ki asal taleem thi aur hai jis ki wajah se deene islam main malukiyat haraam hai. doosrun ko apna ghulaam banaana haraam hai aur sarmayadaari nizaam haraam hai. khud mullaism haraam hai issi wajah se. baadshah, sarmayadaar aur mullaan sab aik hi theli ka maal hen jo doosrun ko apne gande zaati maqaasid ke liye istemaal kerte hen.

regards and all the best.
محترم میں اشرافیہ کی چور بازی اور اس کے نتیجے میں پیدا ہونے والے حرامی پن کا الزام بڑی آسانی سے منکرین حدیث پر لگا سکتا ہوں
 

Mughal1

Chief Minister (5k+ posts)
محترم میں اشرافیہ کی چور بازی اور اس کے نتیجے میں پیدا ہونے والے حرامی پن کا الزام بڑی آسانی سے منکرین حدیث پر لگا سکتا ہوں

azeezam atensari sb, main ilzaam nahin lagaa rahaa hun balkeh ye baaten saaf saaf saabit bhi ker chuka hun asal deene islam ke drust context main. aap ko chahiye woh baaten aap khud bhi padhen aur samajhne ki koshish karen taa keh aap apne ghalat khayalaat ko chhor ker drust nazriyaat ki taraf aa saken.

rahee app ki baat munkareene hadis ke mutaliq to agar aap ne meri posts padhi hotin to aap ko saaf saaf maloom ho jaata mera zaati stance in cheezun ke baare main kia hai. behtar hai aap apni tang nazri se jaan chhuraayen warna ye aap ko le doobe gi. aap mazhab aur secularism phelaane wale hen aur main mazhab aur secularism ko ghalat samajhta hun deene islam ke muqaable main aur un ko ghalat saabit bhi kerta hun.

regards and all the best.
 

MS pakistani

Politcal Worker (100+ posts)
azeezam ms pakistani sb, main ne apni soch samajh ke mutaabiq asal deene islam ka asal paighaam logoon ke saamne rakh diya hai. ab ye un ki apni marzi hai usse faaida uthaayen ya nahin. ham sab insaanu ko quraan ka bunyaadi hukam bas itna hi hai keh ham sab insaan jin tak quraan pohncha hai woh is ko theek tarah se samjhen aur samajhne ke baad is ko doosre logoon ko theek tarah se samjhaane ke liye taaqatbar apna fareeza poora karen. kiso ko zabardasti na quraan thamaaya jaa sakta hai aur na hi samjhaaya jaa sakta hai. ye her aik ka apna zaati maamla hai. albatta jo log quraan ke ghalat tarjamen aur tafseeren phelaayen un ko jawaab dena bhi zaroori hai.

rahee ye baat keh main link kyun deta hun. is ki do wajohaat hen. aik to nai nai log website pe aate rehte hen lihaaza un ko is ka ilm ho jaata hai aur doosra main ne sab kuchh chand aik thread per likha huwa hai taa keh logoon ko baat samajhne main asaani rahe. isse mujhe baar baar aik hi baat ko her jaga likhne ki zaroorat hi nahin rehti. bas thread ka hawaala dedo itna hi kaafi hai samajhdaar logoon ke liye jo asal deene islam ko theek tarah se samajhna chahen.

regards and all the best.
well mughal sb carry on. ap jisko sahi islam ka paigham kehtay hy us pay mujh samet mostt of members ko aiteraz hy, hr kisi ko apni baat sahi lgti hy ye insan ki nature hy.
 

Mughal1

Chief Minister (5k+ posts)
well mughal sb carry on. ap jisko sahi islam ka paigham kehtay hy us pay mujh samet mostt of members ko aiteraz hy, hr kisi ko apni baat sahi lgti hy ye insan ki nature hy.

azeezam ms pakistani sb, aap ki baat is had tak drust hai keh aam insaani rawiya yahee hai issi liye bahot hi ziyaada tadaad main insaaniyat abhi tak ussi maqaam per khadi hai jahaan se is ki abtadaa hui thi. sawaal peda hota hai aisa kyun hai? ye is liye hai kyunkeh insaan baatun ko saheeh tarah se sochne samajhne ki takleef gawaara kerne ko asaani se tayaar hi nahin hote. aisa maloom hota hai keh insaan sirf aur sirf apni zaati zaroortun ka hi ghulaam hai isse aage kuchh nahin. aik insaani bacha taleem haasil kerne ke bajaaye apna waqt khail kood main zaaya kerne ko terjeeh deta hai. aik shakhs jo soya ho woh jagaaya jaana pasand hi nahin kerta, jo leta ho wah uthaa ker bithaaya jaaye pasand nahin kerta, jo baitha ho woh khadaa kiya jaaye pasand hi nahin kerta. matlab ye keh her koi apne comfort zone se nikalna hi nahin chahta. yahee wajah hai log jo kuchh bhi kerte hen kisi majboori ke teht hi kerte hen. issi liye agar kisi se kuchh kaam lena ho to us ko koi na koi aisa laalach diya jaata hai jo us ko kuchh kerne per majboor kare.

issi wajah se duniya main aaj communism, capitalism aur socialism ka raaj hai deene islam ka nahin. kyunkeh deene islam insaanu ko khudaa ke liye kaam kerne ki dawat deta hai ussi ka maqsade takhleeq poora kerne ke liye. deene islam ki taraf log tab aayen ge jab woh itne aqalmand ho jaayen ge aur ye jaan len ge keh jin baatun ke laalach main woh sab kuchh kerte hen woh sakht nuqsaandeh baaten hen. is liye keh insaanu main aapas main jango jadal kerwaati hen apne apne chhote chhote zaati mufadaat ki khaatir. jabkeh deene islam insaanu ko aik behtareen zindagi dena chahta hai aik doosre ki poori poori madad se. issi liye deene islam insaanu ko aik ummat ban ker kaam kerne ki dawat deta hai aik khaas maqsad ke liye jis main insaaniyat ka faaida hi faaida hai nuqsaan kuchh bhi nahin.

asal deene islam kia hai ya kia hona chahiye ye meri baat nahin hai balkeh jab is baat ko drust pemaanu per perkha jaaye to ye baat khud bakhud khul ker saamne aa jaati hai. shart sirf ye hai keh perkhne waale ko asal thos pemaanu ka ilm hona chahiye keh woh kia hen, kahaan se aaye hen, kaise aaye hen aur un ki zaroorat insaanu ko pesh kyun ayee hai. main ne deene islam ko jin pemaanu ki bunyaad per samjha hai woh main ne sab ke saamne rakh diye hen agar woh ghalat hen to jo main samjha hun woh ghalat hai aur agar woh drust hen to bhi jo main samjha hun woh zaroori nahin hai keh drust hi ho keh insaan ko ghalati bhi lag sakti hai. agar formula drust ho tab bhi zaroori nahyin hai keh sawaal ka hal drust ho. magar baat drust hai ya ghalat is ka faisla sirf aur sirf wohee ker sakta hai jis ko in sab baatun ka ilm ho na keh aik jahil mutlaq jo kisi baat ko jaanta bhoojta hi na ho. You can find all this sort of information in the links given HERE.

regards and all the best.