ایک وعدے اور ایک قانون کی ضرورت - سیلم صافی

atensari

(50k+ posts) بابائے فورم
06_06.gif
 

s_as

Politcal Worker (100+ posts)
سلیم صافی صاحب ! کیوں بھینس آگے بین بجا رہے ہیں
 

Young_Blood

Minister (2k+ posts)
Nice Article.. Saleem Safi ka aik sentence shaied mujhey saari zindagi ab yaad rahay ga " Musharaf to 10 saal hakoomat k mazay loot k khud araam wa sakoon se bahir ke countries main azaadi se reh raha hai" magar uss ke policies ko to ham he face ker rahay hein na,,, issi terha aaj k hukmaran bhe aanay walay waqt main yaha se farar ho jaien gay, barey barey mahloo main sakoon ke zindagi guzarein gay, aur un ke policies ko sirf ham jhaylein gay,,,
Kya nation hai hamari, sab kuch apni Eyes se dekhti hai, magar phir bhe in he parties ke gulami karti hai,,
Pakistan ka aaj ka era acha hai ya pathro ka dour? kya koi faraq hai? ham kal bhe wese thay ham aaj bhe wese he hein,, kal bhe zalim hukmaran zalim samaaj tha, aaj bhe zalim hukmaran aur zalim samaaj hai, kal bhe sirf chund logo k paas sab powers aur pesa tha, aaj bhe chund hukmarano k paas sab powers aur pesa hai,, wo khud to azaad hein, blue passport holder hein, aur ham ko to apni he zameen per kafan aur qabar bhe naseeb nahi hoti..
Qassor aakhir kis ka hai? sirf aur sirf ham awaam ka, hum khud qasoor war hein, hum sab kuch jantey hein, sab apni eyes se dekhtey hein, kaano se suntay hein, magar phir dobara in he ko support kerte hein, in he ko vote daltay hein,, WAH KYA NATION HAI HAMARI..

Kiun pakistan main koi aisa Bill paas nahi keeya jata, k koi bhe pakistani bayroon e mulk kisi kisam k koi assets nahi rekh sakta, koi dual nationality nahi rekh sakta, koi bhe aik he party ka hamesha k liay chairman nahi bun sakta, aur kiun koi ye qanoon paas nahi kerta k corruption kerne walay ke saza,, SAZA E MOUT ho ge,, Chori kerne walo k haath kaat diay jaein gay, Aseembly main wahi jaey ga, jo Well educated ho ga, jis k paas masters ke degree ho ge, aur assembly main janay k baad koi bhe apna business nahi ker sakay ga, assembly main aanay k baad assembly se janay k baad apne sarey assets show karey ga, na he apni family member ya dost ko kisi bhe kisam ka faaida pohnachay ga,, kya ye qanoon banana mushkil hai? aur kya iss per implement kerna mushkil hai?
Aakhir kab tak ham berdaasht karein gay? Kab tak ham laashein uthatey rahein gay, kab tak ham mihngaie ka shikaar rahein gay, kab tak hamein insaaf nahi milay ga, kab tak ham in ke gulaami kerte rahein gay, kab tak ham ko jobs nahi millein ge, kab tak ham andhairo se nahi niklein gay, kab tak hamarey mulk main hamarey muashrey main MASAWAT nahi ho ge? Aakhir kab tak?