Sister, dunya main kahi bhi peenay k liye, ya roads dhonay k liye samandar ka pani use nahi hota aur na kiya ja sakta hai.
Baki rahi apkay Lahore k development ki baat toh pehli baat toh yeh hai k Lahore ki development kisi aek party ne nahi ki balkay yeh silsila 1985 say zia ul haq k dor say chalta aay hai, Phir chahay PPP ho, Musharraf ho, PML-Q ho, ya ab PML-N sab ne lahore par tawaja di hai q k Lahore Punjab ka capital hai, aur jiskay pas Punjab hai oskay pas Federal government. Dusri baat yeh k punjab ka budget Sindh say Dugna aur KPK say 3 gunaah hai, aur Punjab government Punjab k funds ka aek barha hissa, jo aam tor par pooray Sindh ya pooray KPK k budget say barha hota hai sirf Lahore par lagaati rahi hai, toh aese main Lahore ne toh wese hi aagay barh jana hai. Lakin sawaal yahi hai k PML-N ne 30 saal say Lahore/Punjab par governance ki hai lakin unkay pas sirf Lahore ki development dikanay k ilawa kuch nahi hai.. Jabkay unkay muqablay main PTI ne sirf 5 saal main Punjab say 3 gunaah kam budget main apna loha manwaya hai. So agar sahi tor par Logo k vote par kisi ka haq banta hai toh woh PTI hai...