Who can be the best caretaker PM in your View?

  • Justice (R) Nasir Aslam Zahid

    Votes: 13 11.6%
  • Mehmood khan Achakzaee

    Votes: 36 32.1%
  • Justice (R) Khalil ur Rehman Ramday

    Votes: 12 10.7%
  • Dr. Tahir ul Qadri

    Votes: 13 11.6%
  • Lt Gen (R) Hameed Gul

    Votes: 22 19.6%
  • Justice (R) Khawaja Sharif

    Votes: 1 0.9%
  • Dr Shoaib Suddle

    Votes: 15 13.4%

  • Total voters
    112
Status
Not open for further replies.

Sohraab

Prime Minister (20k+ posts)
is k ilawah kisi aor ko nawaz or zardari kam hi naheen krnay dain gay ..... aor is ko woh qabool hi naheen krain gay .

sab kuch nawaz aur zardari nahi karte nuzhat , bus yehi meri aur aap ki soch main farq hai , main bhi jab bacha tha to pakistan k tamaam problems ka sab se barra responsible politicians ko hi samajhta tha .... pehle meri aksar aap ke saath army yah hamid meer ke threads main sakht kalami yah harsh reply ho jate thay meri taraf se lekin phir main ne aap ko Quote karna chor diya , yeh soch kar ke yeh aap ki soch hai
 
nuzhatghazali

Minister (2k+ posts)

yeh kub ki bat hay ???[hilar]

abhi tk app ki smjh main yeh naheen aya keh nawaz or zardari k doosra nam istatus q hay or yeh pakistan ki nes nes main dor rha hay yeh itni asani say janay wala naheen hay .....
 
Sohraab

Prime Minister (20k+ posts)
yeh kub ki bat hay ???[hilar]

abhi tk app ki smjh main yeh naheen aya keh nawaz or zardari k doosra nam istatus q hay or yeh pakistan ki nes nes main dor rha hay yeh itni asani say janay wala naheen hay .....

kam az kam 10 / 12 saal purani baat to hogi :)

main ne kab kaha ke yeh status quo nahi ??

main to yeh keh raha hoon ke is mulk main pichle 65 saal se jo kuch bura hua hai woh sirf politicians ka karnama nahi.
 
nuzhatghazali

Minister (2k+ posts)
kam az kam 10 / 12 saal purani baat to hogi :)

main ne kab kaha ke yeh status quo nahi ??

main to yeh keh raha hoon ke is mulk main pichle 65 saal se jo kuch bura hua hai woh sirf politicians ka karnama nahi.

acha 10/12 years nay koi apnay nishan naheen choray ? just joking(bigsmile)

main nay is say kab inkar kiya hay keh sirf politicians he qasoorwar naheen hain , army jernals bhi brabr k shareek hain ..... lekin ab un ko corner kr dena bhi pakistan k haq main behtr naheen hay .
 
Sohraab

Prime Minister (20k+ posts)
acha 10/12 years nay koi apnay nishan naheen choray ? just joking(bigsmile)

main nay is say kab inkar kiya hay keh sirf politicians he qasoorwar naheen hain , army jernals bhi brabr k shareek hain ..... lekin ab un ko corner kr dena bhi pakistan k haq main behtr naheen hay .

main samjha nahi is nishan wali baat ko :)

un ko koi corner nahi kar raha , un se to aik pakistani umeed kar raha hai ke jo problems un hi ka bhai musharraf pakistan k liye bana kar gaya hai , un problems ke liye aage barrh kar kuch kar lain aur koi naik aami kama lain
 
nuzhatghazali

Minister (2k+ posts)
main samjha nahi is nishan wali baat ko :)

un ko koi corner nahi kar raha , un se to aik pakistani umeed kar raha hai ke jo problems un hi ka bhai musharraf pakistan k liye bana kar gaya hai , un problems ke liye aage barrh kar kuch kar lain aur koi naik aami kama lain

mazaq to smjh main na bhi ayay to fikr na krain :P or han zikr bhi na krain :P

agr ham mulk k halat sirf politicians pr chorain aor un ka check n balance na ho to woh bhi bht bura hay agr armi yay i.s.i na hoti to pakistan to memo gate scandel main hi kub ka apnay nukes say hath dho bethta. yeh mulk sir siyasatdanon k rehm-o-kram pr naheen chora ja skta.
 
chalain theek hai us mazaq wali baat ka nahi poochta aur zikar bhi nahi karta :)

aap ne check and balance ki baat ki to mohtarma un par check and balance koon rakhay ga jinho ne jamhooriyat ko baar baar de rail kia

Yeh bohut taweel behes hai , lekin main aake notice main sirf 2 baatain laon ga

Pehli baat ke jab Pakistan ke pehle wazeer e azam Liaquat ali khan thay to un ke khilaaf aik sazish taiyaar hui jis ka naam Rawalpindi sazish case tha , woh sazish Pakistan ke pehle Wazeer e azam ko ki hakumat ka takhta ulatne ki sazish thi jo khush kismati se pakri gayi

Aur Dosri baat ke Pakistan ka Pehla Martial Law kuin lagaya gaya ?? kia aap ke ilm main hai ke Pakistan ka pehla Martail law sirf is liye lagaya gaya ke Pakistan main Khattm e Nabuwwat ki Tehreek zooron par thi , woh Tehreek kisi ke control main nahi aa rahi thi , sirf is aik Tehreek e Khattam e Nabuwwat ko Sabootage karne k liye Pakistan ka Pehla martial law lagaya gaya , us ke baad phir jo jo kuch hua woh taweel dastan aur aik na khattam hone wali behes hai , kabhi mauqa mila to aap se aik book share karoon ga
 
mujhay aik cup tea ki shadeed zaroorat hay .... jawab zaroor doon gi lekin chaya pi kr ,ok:)
 
hawkeyeblue

Senator (1k+ posts)
Mehmood Khan Achakzai's integrity is implacable and my most favorite political personality and we want to see him in next parliament where he always shined liked a star and always contributed. Nonetheless there is conflict of interest after all Mr. Achakzai has a political aspirations which can be perceived as conflict, moreover Mr. Achakzai lakes strong administrative skill which essentially needed for caretaker PM, hence I think Dr Shoaib Suddle more suited for the job.
 
Last edited:
Status
Not open for further replies.