Which One is The Best Religion - An Old Man Ask To Zakir Naik! Watch His Reply!

remykhan

Chief Minister (5k+ posts)
All the religions in the world make people slave psychologically. religions and guidance are not bad, its the people who like to shed blood on the name of religion.
 

Mughal1

Chief Minister (5k+ posts)
log jab tak deeno mazhab ka farq maloom karne ki koshish nahin karte baat banane waali nahin hai.

mazhab us insaani soch ka naam hai jo log khudaa ke baare main rakhte hen. jis ki wajah se woh khudaa ke baare main mukhtalif tasawuraat qaaim karte hen.

un ki kon si soch kahaan tak saheeh yaa ghalat hai is ke liye koi mayaar chahiye aur woh mayaar deene islam hai aur yeh mayaar sirf aur sirf is liye hai keh yeh khudaa ka insaanu ke liye wahee karda zindagi guzaarne ka raasta hai jo un ko amno salaamati aur khushgawaar zindagi ki taraf le jaa sakta hai basharte ke woh is ko theek tarah se samjhen aur phir is per poori tarah aur theek tarah se amal karen.

abhi tak khud musalmaan kehlwaane waalun ki bahot hi badi tadaad in bunyaadi baatun se naawaaqif hai ghairmuslim to thehre aik taraf. jab tak khud musalamaan apne deen ko theek se nahin samajhte aur is per saheeh traah se amal nahin karte in ko joote padte rahen ge saari duniya main. yeh joote hi shaaid in ko aqlo fikar se kaam lene ke liye majboor karen ge warna to yeh log deene islam ko jaanane ki koshish karne waale maloom nahin hote. sadyan guzar gayeen magar logoon ne aqlo fikar se kaam nahin liye ulta unhi logoon ko koste rahe jo in ko aqlo fikar ki dawat dete rahe.

jab bhi khudaa ko maanane ke dawedaarun ne apna imaan sirf lafzi had tak hi rakha un per zillat musallat rahee aur aaj ummat ka yahee haal hai. ham ko chahiye ham khudaa ke mutaliq apne tasawuraat ko drust karne ki fikar karen aur phir deene islam ko soch samajh kar poori tarah se apnaayen warna ham log barbaadi aur tabahi se bach hi nahin sakte apne ghalat tasawuraat ki wajah se khudaa ke deen ke baare main kyunkeh unhi ghalat tasawuraat ki bunyaad per hi ham karte hen jo kuchh bhi karte hen khudaa ke naam per. aur kon nahin jaanta keh ghalat kaamun ka nateeja ghalat hi huwa karta hai. aur ghalat kaam insaan ghalat khayaalaato nazriyaat hi ki wajah se karta hai. is liye khayalaato nazriyaat ka drust karna bahot hi zaroori hota hai.

For help with proper study of the quran see HERE and HERE.
 
Last edited:

Back
Top