Re: نواز شریف کی منافقت
har woh shakhs jahil hai jo apne paaon par khud kulhardi maar rahaa hai. awaam ki jahaalat ka sab se bada saboot yeh hai keh log aise dastoor aur qawaaneen ki himaayat karen jo khud unhi ke khilaaf hun.
yeh judges, yeh lawyers, yeh mullahs aur yeh deegar khud ko padha likha aur samajhdaar samajhne wale log mujhe yeh bataayen keh duniyaa main in ka kon saa dastoor aur qanoon insaniyat ke haq main hai? koi aik? nahin bataa sakte.
in sab dastoorun aur qawaneen main taaqat ki bunyaad awaam nahin hen halaan keh likha huwa in main yahee hai. kia aap main se kisi aik ne itni baat bhi sochi? yeh duniya ke har dastoor main bunyaadi ghalati hai. power yaa to hukamraanu ke haath main hai yaa mullah ke aur yaa sarmayadaarun ke.
ghor karne ki baat yeh hai datoor banaane ki bunyaad kia honi chhaiye? yahee keh log aik maashra banaana chahte hen. sawaal kijiye apne aap se log maashra banaana kyun chahte hen? is liye keh un ki aik doosre se zaroorten wabasta hen. kia aap apni tamaam zaroorten khud poori kar sakte hen? nahin. isi liye maashra banaane ki zaroorat padhti. jab log maashra banaayen ge to un ko ikatha hona pade ga aur jab ikathe hun ge to phir un ko apne ikathe hone ke liye aghraazo maqaasid hone chahiyen warna ikathe hone ki zaroorat hi kia hai. jab aghraazo maqaasid hun ge ikathe hone ke liye to phir program bhi chhaiye ho ga un aghraazo maqaasid ko poora karne ke liye. isi liye un ko qanoon bhi chahiye ho ga keh woh sab mil kar us raatse par chalen jo un ke maqaasid bhar laa sake warna saari mehnat koi nateeja nahin laa sake gi.
is baat se kia aap ko maloom huwa power kis ke haath main honi chahiye? kia koi ruler hona chhaiye? kia koi mullah hona chahiye, kia koi sarmayadaar hona chhaiye? yahan par tazaad peda hota hai keh woh aghraazo maqaasid bhulaa diye jaate hen jin ke liye log ikathe hote hen taa keh aik maashra tashkeel den apni zarooriyaat zindagi poora karne ke liye. kia ruler yaa mullah yaa sarmayadaar in ki zaroorten poori karne ke liye darkaar hen? jawaab sirf aur sirf nafi main hai. logoon ko apni zaroorten poori karne ke liye na hukamraanu ki zaroorat hai, na mullah ki aur na sarmayadaarun ki. bas itna hi karne ki zaroorat hai keh woh munazzam hun aur khud ko regulate karen apni zaroorten poori karne ke liye.
is baat se ham ko maloom ho jaana chhaiye keh power awaam khud hen na keh hukamraan, mullah aur sarmayadaar. ab in awaam ka kaam hai apni zaroorten poori karne ke liye mil baith kar tamaam zaroori cheezen ko work out karen aur phir action plan bnaaayen aur un par amal karen. itni baat ke liye administartion ki bhi zaroorat nahin hai. aap ke paas tamaam instruction hen un ko dekh kar aap un par amal karte jaayen kaam ho jaaye ga.
administration ki zaroorat kyun padti hai? ta ke har maamle main intazaami umoor par nazar rakhi jaa sake aur yeh nazar rakhni is liye zaroori hai taa keh saare kaam hote rahen munazzam tareeqe se aur kaheen koi rakhna na pade. is liye awaam main hi se kuchh log jo is nigraani ke ehal hun un ko chun liya jaaye aur un ke zariye nazmo zabt ko jaari rakha jaa sake. aap ne samajh liya hai keh adminitration ka ka kaam hakoomat karna nahin hai logoon hi ki khidmat karna hai. awaam apne maqaasid ke liye adminiostration banaati hai adminitration bazaate khud koi hesiyat nahin rakhti. yahee wajah hai jab bhi administration kaam na kare awaam ki worker hone ki wajah se is ko kaan pakad kar nikaal diya jaa sakta hai aur aisa kiya bhi jaana chahiye warna nikamme log agar administration main laaye jaayen ge to awaam ki zaroorten poori nahin hun gi aur maashra banaane ki bunyaadi wajah hi awaam ki zaroorton ka poora kiya jaana hai.
in tafsilaat ki roshni main aap dekhiye kia duniya ke kisi mulak ka dastoor bhi insaani zaroortun ko poora kar rahaa hai? har mulak ke awaam isi liye ro rahe hen keh jin logoon ko awaam ka nokar hona chhaiye unhune awaam ko bewaqoof banaa kar un par hakoomat karni shuroon kar di hai. aap ne dekha dastooro qawaneen main tazadaat kaise aaye aur laaye ge? yahee wajah hai aaj ham sadkoon par hen aur yahee wajah hai agar awaam hukamraanu se apna haq waapas lena chhaite hen to un ko har mulak main apne apne hukamraanu se jang karni ho gi aur in ko waapis apna khidmatgaar banaana ho ga.
pakistan main bhi hakoomat awaam ke matehet honi chahiye na ke awaam ke oopar. yahee hamaare dastoor main bhi bunyaadi ghalati hai. hamaari foj bhi isi hukamraani tole ki rakhwaali hai awaam ki nahin kyunkeh hukamraanu ne dastoor banaaya hi is liye hai keh woh awaam aur foj ko apne matehet rakhen aur jab tak awaam is baat ko samjhe gi nahin keh awaam ke haq main achha nahin ho ga woh in logoon se apna haq chheene gi nahin.
is tafseeli guftgoo ke baad ab aap bataaiye kia aap ko un logoon ko support karna chahiye jo aap ke haqooq ke liye lad rahe hen yaa un ke khilaaf? agar aap un ke khilaf lad rahe hen jo aap ki jang lad rahe hen to phir aap khud hi faisla kar lijiye aap insaan ho yaa jaanwar?
aap jis mahire dastoor aur qanon ko chahyen mujh se debate karwaa sakte hen kisi bhi mulak main chahye woh kisi bhi mazhab se taaluq rakhta ho aur main saabit karoon ga beyond any reasonable doubt keh pakistan ke dastoor main bunyaadi ghalati power structure ki hai aur jab tak aap is ghalti ko theek nahin karen ge maamlaat poori tarah theek nahin hun ge. imran sb aur qadri sb ke asal karne ka kaam yahee hai.
meri is baat ko khud samajh kar doosrun tak na sirf pohnchaayen balkeh un ko samjhaa bhi den.