G
gotti
Guest
[MENTION=9576]simple_and_peacefull[/MENTION] [MENTION=15977]falcons[/MENTION] [MENTION=8784]zrajput[/MENTION] [MENTION=5463]QaiserMirza[/MENTION] [MENTION=25459]_pakistan[/MENTION] [MENTION=5929]patriot[/MENTION] [MENTION=25544]knower[/MENTION] [MENTION=5051]umer[/MENTION] [MENTION=26079]mubashirrao[/MENTION] [MENTION=27923]Believer12[/MENTION]gotti bhai ki himat hey, jo is tarah ki video dhondtey rehtey hain jis main kuch log Hazrat ayesha r.a ko mazallah bura bhla kehtey hain.
koi musilmaan is tarah ki video su'nay ya dekhney ki jasarat nahin ker sakt.
mere bhai...na to woh video maine dhoondi thi aur na to daali thi...aur na hi mere ander itni bardaasht hai kay main dekh sakun
do dafa delete ki gayi aur maine us ki himayat ki kay kyun kisi ki ghaleez aur bakwaas batain sunain...jis main Hz Aisha r.a. ki bayhurmati ho rahi ho
mera sawaal un hazraat aur khatun say tha jo iss forum per aa ker rona daaltay hain aur kehtay hain kay unkay saath zulm ho raha hai...hata kay syria tak main bhi(serious)
woh iss forum per aa ker gaali galoch kertay hain aur ashab e rasul aur azwaj e rasul (s.a.w.) ki shaan main gustaakhi bhi...jhooti sachi riwayat bhi "quote" kertay hain...
aik sahab nay to aaker Qur'an ki ayat Surah Saffat ki number 130 ka tarjuma kiya keh yeh Rasul Allah (s.a.w.) ki aal per salaam bhejnay kay waastay say naazil ki hai jabkay woh salaam Hz. Ilyas (a.s.) per tha...
aur to aur...yeh bhi kaha kay Hz. Muawiya r.a. ko bad duain di...Hz. Bibi Aisha r.a. nay...nauzobillah...
mazeed bakwaas kay hawalay nahi dunga...
kya unko yeh zulm nahi nazar aata aur kyun woh iski muzammat nahi kertay?
agar hum unkay syasi leaderon (jinka naam ooper likha hai) kay baray main kuch likhain to woh baat firqawariyat kay zimray main aa jaati hai jabke unki "mazhabi" bakwaas sabko qaabil e bardaasht hai..
kya unkay syasi leaderon ko bhi banda kuch na kahay? uskay mazhab ya firqay say kya taaluq?
na to unko ban kiya jaata hai aur woh "takfeeri" "wahabbi" "nasibi" "yazeedi" "shimiri" jaisay alfaaz bhi istemaal kertay hain...kya yeh ghalat nahi?
na to mera maqsad firqawariyat ko farogh dayna hai aur na fasaadaat kerwana...
shukriya
Last edited by a moderator: