Sir apki sab batayn apni jaga theek hongi lakin mera bhi kuch sawal hayn.....
1) Apnay kaha jab musalman dunya k hukamran thay tou falan falan zuban thi, kiya aaj bhi muslaman dunya k hukamran hayn? Doosra apnay kaha k kiya wo nakaaam thay, tou mera sawal hy k agar wo itnay hi kamyab thay tou aaj hamaraay pass kiyon koi aik bhi arbi , farsi ya turkish theory nahi, kiyon koi ai k bhi book aisi nahi jisko kisi bhi level pay nisaab mayn shamil kiya jaye?? Iski waja sirf aik hay aur wo yeh k musalman waqai nakaam thay, agar unmayn itna shaoor hota tou taleem pay paisa lagatay, mehnat karwatay na kay daba k ayyashi katay aur gair muslmano k sir qalam kartay... Kitna tazad hay k jab musalman jang mayn hoshyar thay aur aur mulkon pay attack kartay thay tou wo hero qarar paye aur aaj baqi dunya agay hay aur attack karti hay musalman mulkon pay tou wo zaalim hayn..... baat seedhi si hay k jo taqatqar hoga dunya ussi k hisab say chalay gi aur ajkal kon taqatwar hay sab jaantay hayn...
2) App kiss warsay ki baat kartay hayn? Dars Nizami ya fiqah k aloom?? Kiya ilm sirf yehi hay??? doosra jitna aaj urdu pay english ka ghalba hay shayad hi kisi bhi zuban pay ho, uski waja sada si hay k urdu ki koi apni identity nahi, doosri languages ka malghooba hay , tou malghoobay mayn ENglish asani say mix ho jati hay... English k lafz wo ghareeb mareez phir bhi samaj jatay hayn lakin urdu kisko samaj aayyegi, operation har chota bara samajta lakin jarrahat ki kisko samaj aayegi kisi village mayn?
3) tamashay wali baat say mayn muttafiq hoon, kha makha ka tamasha lagaya howa hay, 3,4 faraq faraq nizam bnaye howay hayn, seedha sa aik system ho, choonkay tamam modern aloom English mayn hayn, so English compulsory kardi jaye aur jiska zyada shoq ho , uss k liye urdu mayn optional rakh diya jaye. Yaqeen karayn Sir, 5 % bhi urdu mayn nahi parhayn gay...
4) Qasoor urdu medium ya english medium ka nahi hay matric mayn, wahan hamara nizam e taleem ka kasoor hay jo k sawal karnay ko discourage krta hay, khud ki soch ko discourafge krta hay, hota kiya haybachay lakeer k fakeer bnty hayn..... khud ki koi soch nahi hoti, bus jo ustad ya molvi saab nay keh diya wohi sahi hay, chahay uska haqeeqat say door door tak koi talluq na ho... yahi aik bohat barhi waja hay islam ki pasti ki bhi, k chand logon nay issay apni jageer bana liya hay aur chahtay hayn k sab unki hi interpretation pay muttafiq hon, sawal koi na karay kisi bhi rawayat ko, kisi bhi kahani ko.... bus ankhyn band karkay kisi ko bhi non muslim bana do ya maar do.... aik doosray say larai karo k darhi kitni barhi hogi aur hath kahan bandhnay hayn.... mayn nay aaj tak kisi aik bhi molvui say yeh nahi suna k yeh sab sirf symbols hayn, ibadat ki rooh zaroori hay, usko samjna zaroori hay nakay uskay isharaon ko....
5) Dunya jab aik global village banti jarehi hay aur sab log sab languagues seekhnay ki kohsish kar rahay hayn, hum jo aik international zaban parhatay hayn kiya usko bhi ban kar dayn aur chalay jayen pathar ki age mayn??[/QUOTE]
You you are absalutey right and to the point . Your argument is very solid and based on facts