Mujhe yakeen hai ke jab hisab kitab hoga to Allaah pak ye nahi poochaingay ke tum shia ko :naooz: kafir ya sunni ko :naooz: kafir sabit karne mai aur aapis mai naa ittefaaqi phailaanay mai kitne kaamyaab hue balke ye zaror poochaingay ke jab main ne Quran Pak mai farmaya ke Allah ki rassee ko mazboori se thaamo aur tafarruka na karo to phir uski na farmaani kyon ki... Deen koe itni mamooli cheez nahi hai bhai ke bagher ilam ke itne sensitive issue per baat ki jaaye. Aur ye b sach hai ke agar koe kisi le eemaan ke bare mai ghalat baat karke apna eemaan kharab kare to dosre ko ye nahi karna chahiye kewo b wahi bewakoofi karke apna eemaan kharab karay. Agar kisi ki islah nahi kar sakte to bagher ilam ke kisi per chaapa nahi lagana chahiye ke tum ye ho wo ho jis se apna hi eemaan kharab ho. Allah paak ne Quran aur Hazrat Muhammadpbuh ne Hadees Shareef mai wazih bata diya hai k konsa rasta sahi hai. Apne eemaan ki hifazat karni chahiye. Khuda ka kaam khuda per chorna chahiye ke kis ki bakhshish hogee, kaun kalma parh ke is duniya se gaya aur kaun namuraad.
Thread starter bhai aur doosray nafrat aur na ittefaaqqi phailanay wale hazraat thanday dil aur demagh se is bare mai zaror sochain. Mai aik baar phir kahonga ke bagher ilam deeni mamilaat per baat karke apna eeman kharab na karen kyon ke zindagee ka koe bharosa nahi hai... :jazak:
Khan Sb,
Islam deegar mazahib ki tarah Padri ya Pundit kay haaton tak mehdud nahi kay hum unkay beghair kuch nahi ker saktay
Jab bacha paida hota hai to koi bhi azaan day sakta hai aur jub waqt-e-wafaat hota hai to koi bhi janaza parha sakta hai
Quran shareef, anhadees aur deegar Islami kitaabain sab ko muyassir hain aur gher mazhabon ki tarah kisi pandit ya paadri tak mehdud nahi jo apnay girjaghar ya mandir main lay ker ilm ko ghus jaain
humara waahid deen hai jo chota hotay hi bachay ko samajhnay ki silahiyat peda kernay ka dars daita hai aur bachay kuch aur seekhain na seekhain, Quran e pak aur Namaaz parhna zarur seekhtay hain
is liye, yeh kehna kay tumhain haq nahi is per behes kero to nihayat hi ghalat baat hai kyunkay humaray deen ko kisi maulvi ya mullah kay hawalay nahi kiya jaa sakta jiskay peechay hum lag jaain, bayt kerain ya andhi taqleed kerain
yeh humara deen nahi aur isi wajah say gher mazahib main maqbul hai kyunkay iski koi "membership" nahi hoti, koi bhi, kabhi bhi, kisi bhi masjid main sirf 2 nafl ada ker kay ibadat shuro ker sakta hai
aur to aur, 5 khusoosiyaat main say aik khusoosiyat jo ummat-e-muhammadi SAW ko di gayi hain, un main say aik yeh, kay poori dunya humari masjid hai
hum kabhi bhi, kahien bhi, sar jhuka ker namaaz parh saktay hain aur safar main bhi hon to agar qiblay ka nahi pata to kahien bhi rukh ker kay ba jamaat namaz parh saktay hain
isaiyat aur hindu mazhab main beghair paadri ya pandit kay, "jamaat" nahi qaaim ki jasakti
Jahan apnay sar ko jhuka diya
Wahan maine Ka'aba bana diya