Re: صدر مملکت نے شیخ السلام کے ساتھ کیے گئے مع
Allah Pak ne Pakistan aur is k awaam par apna fazal farmaya hai aur hukamraan tabqaat ko taufeeq di keh woh halaat ki raftaar ko samjhein aur kisi unhoni se khud ko aur mulk ko bachanay ki koshish karein. Is waqt jab keh hakoomat is par amada ho gai hai keh PPP-PML/N mukmuka ki story lapet kar har qabil-zikr siasi party se mashawarat hi haqeeqi jamhooriyyat ho gi.
Jahan tak is khadshay ki baat hai keh Zardari sahib waadon ki paasdari karein ya naheen ? gheb ka ilm tu sirf Allah ki zaat janti hai lekin chand wajoohaat ki bina par umeed ki kiran nazar aati hai.
1. Jo kuchh Zardari aur Nawaz Shareef k beech hota raha, woh du siasat danu ki chalaakiyaan thein, zaati mafad tha aur parday k peechhay ho raha tha. TUQ aur hakoomat ka naya agreement hukamraan tabqaat aur ek reformer k beech hai. TUQ ne sab kuchh media k samnay qaum ko gawah bana kar sunaya, siasi qayadat ki niyyat par shak is liay bhi nai hota keh yeh koi daao laganay ya mukmuka ka qissa nai, qaum k mustaqbil aur constitution ki baladasti ki baat hai.
2. Hukamraan tabqaat ko yeh bhi andaza hai keh is baar un ka wasta unhi jaisay kisi lappadiay se naheen, ek sahib-e-fikr aur be-los aadami apnay saath naqabil-shikast hosla rakhnay walay Pakistani le aaya hai. jo har tarah ki mushkilaat k bawajood datay rahay aur agar hakoomat aur der kar deti tu shayad Pakistani riyasat k samnay yeh marhala aa jata keh ya tu khudkashi kar ley aur ya qanoon k mutabiq aur awaam ki marzi se chalnay par aamada ho jaey. Allah ka ehsaan keh riyasat ne danishmandi ka muzahira kya.
3. Yaqeenan aglay marahil mein is agreement ki mazeed tafseelat par amal dar-aamad par ghaur ho ga, hukamraan tabqaat k pass is raastay par aagay badhnay k siwa chara bhi naheen kyun keh sabit kar dia gaya hai keh election k naam par luteron ki baaraatein shehnaai ki bajaey khoon kharabay par khatam hun gi, Minhaj-ul-Quran fake elections ko nakaam bananay ki salahiyyat rakhti hai.
4. Allah Pak ki hikmat hi ghalib aati hai, koi soch sakta tha keh nigraan hakoomaton ka ikhtiyaar PPP-PML/N ki bajaey PPP-MUQ k ittefaaq-e-raai k saath ho ga, banday dianat daar aur gher siasi hon gey ? Kal jo gidh NS ki meeting mein thay, un ki aaj halat ka andaza kia ja sakta hai.
5. Ek raasta tay ho gaya hai keh na koi badqamaash assembly mein aa sakay aur na koi pakbaz maulavi us k haath apna aap bech sakay.
6. kal tu dabay alfaaz mein aur aaj khul kar har koi etiraaf kar raha hai keh aisa azeem ijtema'a, itna buland hosla aur is qadar pur-aman ! MUQ ne Pakistani siasi tareekh ki pehli misaal qaim kar di hai.
7. Jo log apnay nazriyaat ki bina par is march k mukhalif thay, woh aaj apna muhasba khud kar saktay hain lekin jin ki becheni k peechhay hawas naak iraday thay, iqtedaar ki raal thi ya zehno mein sajaey huay buton ki pooja ki majbooru thi, un ko intehaai naram alfaaz mein kaha ja sakta hai keh " Gentlemen ! Please have your heads up your rectums today.