Shrine Visiting - An Islamic Perspective - Javed Ahmed Ghamidi

Bangash

Chief Minister (5k+ posts)
زرداری ٹولہ ہے جو قبروں پر گروڑوں روپے دیتے ہیں چرس پتے ہیں





50703682.jpg


 

Mughal1

Chief Minister (5k+ posts)
Is saari baat ka nichor yahee hai keh log apni zindagi ko na khud samajhne ki koshsish kar rehe hen aur na hi koi un ko samjhaane ki koshish kar raha hai. sab aqal ko istemaal na karne ka wabaal hai.

islam mazhab nahin hai deen hai. yani yeh nizaame zindagi hai. tamaam infraadi aur ijtamahi khraabiyan isi liye hen keh nizaame zindagi drust nahin hai. jab hamaara nizaame zindagi drust ho jaaye to tamaam aisi khraabiyan khudbakhud hi door ho jaayen gi jo insaanu ki insaanu par ziyadatiyun ki waja se hen.

agar kisi ko kaam mayassar nahin hai to woh pareshan hai, kisi ki bimaari ka ilaaj nahin ho raha to woh fikarmand hai.

kisi ko bachun ke shaadi biyah ki fikar khaaye jaa rahee hai. aur isi tarah ki kaee aur baaten aur yeh is baat ka saboot hai keh ham khud aik doosre ki pareshani ka sabab banrehe hen.

siasi tole, mullah geeri, sarmaayadari yeh sab baaten hi asal kharaabi ki jar hai. ajeeb baat hai in par log guftgoo hi nahin karte. siasatdaan apni siasat ko bachaane ki fikar main hai aur muillah apni mullaiyat ko bachaane ki fikar main aur sarmayadar apni dawlatmandi ko bachaane ki fikar main. isi liye yeh sab ajzaa mil kar insaaniyat ko barbad kar rehe hen.

isi liye quran ham ko makaafaat amal se baar baar agaah kar raha hai. jesa karo ge wesa bharo ge. Allah ne duniya banaane ki waja se aakhrat banayee hai na keh aakhirat ki waja se duniya. duniya aakhirat ki kheti hai. jo duniya main insaanu ke liye behtar zindagi ki koshish kare ga wahee aakhirat main bhi surkhru ho ga.